Shoroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Alif Laam Meem Suaad.

2
Ae Muhammad S.A.W. Yeh Kitaab Joh Tum Par Nazil Hui Hai.Is Se Tumhain Tang Dil Nahi Hona Chahiye ,Yeh Nazil Is Liye Hui Hai Ke Tum Is Ke Zariye Se Lougon Ko Dar Sunao Aur Yeh Eemaan Waloun Ke Liye Naseehat Hai.

3
Lougo! Joh Kitaab Tum Par Tumhare Parwardigaar Ke Haan Se Nazil Hui Hai, Us Ki Pairvi Karo, Aur Us Ke Siwa Aur Rafeeqoun Ki Pairvi Na Karo Aur Tum Kam Hi Naseehat Qabool Karte Ho.

4
Aur Kitni Hi Bastiyaan Hain Ke Ham Ne Tabaah Kar Daaleen Jin Par Hamara Azaab Ya Toh Raat Ko Aata Tha, Jab Ke Wo Sote The Ya Din Ko Jab Wo Qailoola (Rest After Lunch) Karte The.

5
Toh Jis Waqt Un Par Azaab Aata Tha Un Ke Moo Se Yeh Hi Nikalta Tha Ke Haaye Ham Apne Oopar Zulm Karte Rahe.

6
Toh Jin Lougon Ki Taraf Paigambar Bhaije Gaye Ham Un Se Bhi Pursish Karen Ge Aur Paigambaroun Se Bhi Poochain Ge.

7
Phir Apne Ilm Se Un Ke Halaat Biyaan Karen Ge Aur Ham Kahin Gayaab Toh Nahi The.

8
Aur Us Roz Aamaal Ka Tulna (Weight) Bar Haq Hai, Toh Jin Lougon Ke Amloun Ke Wazan Bhaari Hounge, Wo Toh Nijaat Pane Wale Hain.

9
Aur Jin Ke Wazan Halke Houn Ge, Toh Yeh Hi Loug Hain Jinhon Ne Apne Taiyee (Themselves) Khasare (Loss) Main Daala, Is Liye Ke Hamari Aayatoun Ke Bare Main Be Insaafi Karte The.

10
Aur Ham Hi Ne Zameen Main Tumhara Thikana Banaya, Aur Us Main Tumhare Liye Samaan-E-Maeeshat Paida Kiye. Magar Tum Kam Hi Shukar Karte Ho.

11
Aur Ham Hi Ne Tum Ko Ibtidaa Main Matti Se Paida Kia, Phir Tumhari Soorat Shakal Banayee, Phir Farishtoun Ko Hukum Dia Ke Aadam A.S Ke Aage Sajda Karo Toh Sab Ne Sajda Kia Lekin Ibleeis, Ke Wo Sajda Karne Main Shamil Na Hua.

12
Khuda Ne Farmaya Jab Main Ne Tujh Ko Hukum Dia Toh Kis Cheez Ne Tujhe Sajde Karne Se Baaz Rakha.Us Ne Kaha Ke Main Is Se Afzal Hoon.Mujhe Tu Ne Aag (Fire) Se Paida Kia Hai Aur Isse Matti Se Banaya Hai.

13
Farmaya Tu Behshat Se Utar Ja Tujhe Shaayan Nahi Ke Yahan Garoor Kare, Pas Nikal Ja.Tu Zaleel Hai.

14
Us Ne Kaha Ke Mujhe Us Din Tak Mohlat Ata Farma Jis Din Loug Qabroun (Graveyards) Se Uthaye Jayen Ge.

15
Farmaya, Acha Tujh Ko Mohlat Di Jati Hai.

16
Phir Shaitaan Ne Kaha Ke Mujhe Toh Tu Ne Maloon Kia Hi Hai, Main Bhi Tere Seedhe Raste Par Un Ko Gumrah Karne Ke Liye Baithoonga.

17
Phir Un Ke Aage (In Front Of Them) Se Aur Peeche(Back) Se Daayen (Right) Se Aur Baayen (Left) Se Gharaz Har Taraf Se Aaoon Ga Aur Un Ki Raah Maarooon Ga Aur Tu Un Main Aksar Ko Shukar Guzaar Nahi Paye Ga.

18
Khuda Ne Farmaya, Nikal Ja Yahaan Se Paaji Mardood .Joh Loug Un Main Se Teri Pairvi Karen Ge, Main Un Ko, Aur Tujh Ko Jahannum Main Daal Kar Tum Sab Se Jahanum Ko Bhar Doonga.

19
Aur Ham Ne Aadam Se Kaha Ke Tum Aur Tumhare Bivi Behshat Main Raho Saho, Aur Jahan Se Chaaho Aur Joh Chaaho Noush (Eat) Jaan Karo Magar Us Darakht(Tree) Ke Paas Na Jana Warna Gunehgaar Ho Jao Ge.

20
Toh Shaitaan Dono Ko Behkaane Laga Taa-Ake Un Ki Sattar Ki Cheezin Joh Un Se Posheeda Theen Khol De, Aur Kehne Laga Ke Tum Ko Tumhare Parwardigaar Ne Us Darakht Se Sirf Is Liye Manaa Kia Hai Ke Tum Farishte Na Ban Jao, Ya Hamesha Jeete Na Raho.

21
Aur Un Se Qasam Kha Kar Kaha Main Toh Tumhara Khair Khuaah Hoon (Well Wisher).

22
Garz Mardood Ne Dhoka De Kar Un Ko Museebat Ki Taraf Khainch Hi Liya, Jab Unhoun Ne Us Darakht (Tree) Ke Phal (Fruit) Ko Kha Liya, Toh Un Ki Sattar Ki Chezain Khul Gayee Aur Wo Behshat Ke Darakhtoun Ke Patte (Leaves) Tor Tor Kar Apne Oopar Chupkaane Aur Sattar Chupane Lage, Tab Un Ke Parwardigar Ne Un Ko Pukara Ke Kia Main Ne Tum Ko Us Darakht Ke Paas Jaane Se Mana Nahi Kia Tha Aur Jatta Nahi Dia Tha Ke Shaitan Tumhara Khulaam Khulla Dushman Hai.

23
Dono Arz Karne Lage Ke Parwardigaar Ham Ne Apni Jaanoun Par Zulm Kia Aur Agar Tu Hamain Nahi Bakhshe Ga Aur Ham Par Rehem Nahi Kare Ga To Ham Tabaah Ho Jaye Ge.

24
Khuda Ne Farmaya Tum Sab Behshat Se Utar Jao Ab Se Tum Aik Doosre Ke Dushman Ho Aur Tumhare Liye Aik Waqt-E-Khaas Tak Zameen Par Thikana Aur Zindagi Ka Samaan Kar Dia Gaya Hai.

25
Yaani Kaha Ke Usi Main Tumhara Jeena Hoga Aur Usi Main Marna Aur Usi Main Se Qiamat Ko Zinda Kar Ke Nikale Jao Ge.

26
Ae Bani Aadam Ham Ne Tum Par Poshaak Utari Ke Tumhara Sattar (Jism)Dhaanke Aur Tumhare Badan Ko Zeenat De Aur Jo Parhaizgaari Ka Libaas Hai Wo Sab Se Acha Hai.Yeh Khuda Ki Nishaniyan Hain Taa-Ake Loug Naseehat Pakrain.

27
Ae Bani Aadam Daikhna Kaheen Shiataan Tumhain Behka Na De, Jis Tarha Tumhare Maan Baap Ko Behka Kar Behshat Se Nikalwa Dia, Aur Un Se Un Ke Kapre Utarwa Diye, Taa-Ake Un Ke Sattar Un Ko Khol Kar Dikha De.Wo Aur Us Ke Bhai Tum Ko Aisi Jaga Se Daikhte Rehte Hain Jahan Se Tum Un Ko Nahi Daikh Sakte. Ham Ne Shaitanoun Ko Unhi Lougon Ka Rafeeq Banaya Hai Joh Eemaan Nahi Rakhte Hai.

28
Aur Jab Koi Be Hayaee Ka Kaam Karte Hain Toh Kehte Hain Ke Ham Ne Apne Buzurgoun Ko Isi Tarha Karte Daikha Hai Aur Khuda Ne Bhi Ham Ko Ye Hi Hukum Dia Hai.Keh Do Khuda Be Hayaee Ke Kaam Karne Ka Har Gizz Hukum Nahi Deta.Bhala Tum Khuda Ki Nisbat Aisi Baat Kion Kehte Ho Jis Ka Tumhain Ilm Nahi.

29
Keh Do Ke Mere Parwardigaar Ne Toh Insaaf Karne Ka Hukum Dia Hai.Aur Yeh Ke Har Namaaz Ke Waqt Seedha Qible Ki Taraf Rukhh Kia Karo Aur Khaas Usi Ki Ibadat Karo Aur Usi Ko Pukaaro.Us Ne Jis Tarha Tum Ko Ibtidaa Main Paida Kia Tha Usi Tarha Tum Phir Paida Hoge.

30
Aik Fareeq Ko Toh Us Ne Hidayat Di Aur Aik Fareeq Par Gumrahi Saabit Ho Chuki.Un Lougon Ne Khuda Ko Chor Kar Shaitanoun Ko Rafeeq Bana Liya Aur Samajhte Yeh Hain Ke Hidayat Yaab Hain.

31
Ae Bani Aadam! Har Namaaz Ke Waqt Apne Taieen (Yourself) Muzzaiyan Kia Karo Aur Khao Aur Piyo Aur Be Ja Na Uraao Ke Khuda Be Ja Urane Waloun Ko Dost Nahi Rakhta.

32
Poocho Toh, Ke Joh Zeenat-O-Aaraaish Aur Khane Peene Ki Paakeeza Cheezain Kuda Ne Apne Bandoun Ke Liey Paida Ki Hain Un Ko Haraam Kis Ne Kia Hai? Keh Do Key Yeh Cheezain Dunia Ki Zindagi Main Eemaan Waloun Ke Liye Hain Aur Qiamat Ke Din Khaas Un Hi Ka Hissa Houn Gi.Isi Tarha Khuda Apni Aayatain Samajhne Waloun Ke Liye Khol Khol Kar Biyaan Fermata Hai.

33
Keh Do Ke Mere Parwardigaar Ne Toh Be Hayayee Ki Batoun Ko, Zaahir Houn Ya Posheeda Aur Gunah Ko Aur Na Haq Ziaadti Karne Ko Haraam Kia Hai.Aur Is Ko Bhi Ke Tum Kisi Ko Khuda Ka Shareek Banao, Jis Ki Us Ne Koi Sanad Nazil Nahi Ki Aur Is Ko Bhi Ke Khuda Ke Bare Main Aisi Baatian Kaho Jin Ka Tumhain Kuch Ilm Nahi.

34
Aur Har Aik Firqe Ke Liye Mout Ka Aik Waqt Muqarrar Hai.Jab Wo Aa Jata Hai Toh Na Toh Aik Ghari Dair Kar Sakte Hain Na Jaldi.

35
Ae Bani Aadam! Ham Tum Ko Yeh Naseehat Hamesha Karte Rahe Hain Ke Jab Hamare Paigambar Tumhare Paas Aaya Karen Aur Hamari Aayatain Tum Ko Sunaya Karen Toh Un Par Eemaan Laaya Karo, Ke Joh Shakhs Un Par Eemaan La Kar Khuda Se Darta Rahe Ga Aur Apni Haalat Durust Rakhe Ga Toh Aise Lougon Ko Na Kuch Khof Hoga Aur Na Wo Gham Naak Houn Ge.

36
Aur Jinhoun Ne Hamari Aayatoun Ko Jhutlaya Aur Un Se Sartaabi Ki Wo Hi Dozakhi Hain Ke Hamesha Us Main Jalte Rahian Ge.

37
Toh Us Se Ziada Zaalim Koun Hai Joh Khuda Par Jhoot Baandhe Ya Us Ki Aayatoun Ko Jhutlaye.Un Ko Un Ke Naseeb Ka Likha Milta Hi Rahe Ga Yahan Tak Ke Jab Un Ke Paas Hamare Bhaije Hue Farishte Jaan Nikaalne Ayen Ge, Toh Kahain Ge Ke Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa Pukara Karte The Wo Ab Kahan Hain? Wo Kahin Ge Maloom Nahi Ke Wo Ham Se Kahan Gaayab Ho Gaye Aur Iqraar Karen Ge Ke Be Shak Wo Kaafir The.

38
Toh Khuda Farmaye Ga Ke Jinnoun Aur Insaanoun Ki Joh Jamaatain Tum Se Pehle Ho Guzri Hain Un Hi Ke Sath Tum Bhi Dakhil-E-Jahannum Ho Jao.Jab Aik Jamaat Wahan Ja Daakhil Ho Gi Toh Apni Mazhabi Behen Yaani Apne Jaisi Doosre Jamaat Par Laanat Kare Gi.Yahan Tak Ke Jab Sab Us Main Daakhil Ho Jayen Ge Toh Pichli Jamaat Pehli Ki Nisbat Kahe Gi Ke Ad Parwardigaar! In Hi Lougon Ne Ham Ko Gumrah Kia Tha Tu In Ko Aatish-E-Jahannum Ka Dugna (Double) Azaab De, Khuda Farmaaye Ga Ke Tum Sab Ko Dugna Azab Dia Jaye Ga Magar Tum Nahi Jaante.

39
Aur Pehli Jamaat Pichli Se Kahe Gi Ke Tum Ko Ham Par Kuch Bhi Fazeelat Na Hui Toh Joh Amal Tum Kia Karte The Us Ke Badle Main Azaab Ke Maze Chakho.

40
Jin Lougon Ne Hamari Aayatoun Ko Jhutlaya Aur Un Se Sartaabi Ki.Un Ke Liye Na Aasmaan Ke Darwaze Khole Jaye Ge Aur Na Wo Behshat Main Daakhil Hou Ge.Yahan Tak Ke Oont (Camel) Sooi Ke Naake Main Se Na Nikal Jaye Aur Gunnehgaaroun Ko Ham Aisi Hi Saza Dia Karte Hain.

41
Aise Lougon Ke Liye Neeche Bichona Bhi Aatish-E-Jahannum Ka Hoga Aur Oopar Se Orhna Bhi Usi Ka Aur Zaalimoun Ko Ham Aisi Hi Saza Dete Hain.

42
Aur Joh Loug Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe, Aur Ham Amaloun Ke Liye Kisi Shakhs Ko Us Ki Taqat Se Ziada Toh Taklef Dete Hi Nahi.Aise Hi Loug Ehl-E-Behshat Hain Ke Us Main Hamasha Rahain Ge.

43
Aur Joh Keene Un Ke Seenoun Main Houn Ge Ham Sab Nikaal Daalin Ge.Un Ke Mehloun Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Houngi Aur Kahain Ge Ke Khuda Ka Shukar Hai Jis Ne Ham Ko Yahan Ka Rasta Dikhaya, Aur Agar Khuda Ham Ko Rasta Na Dikhata Toh Ham Rasta Na Paa Sakte.Be Shak Hamare Parwardigar Ke Rasool Haq Baat Le Kar Aye The Aur Us Roz Munaadi Kar Di Jaye Gi Ke Tum Un Aamaal Ke Sile Main Joh Dunia Main Karte The Is Behshat Ke Malik Bana Diye Gaye Ho.

44
Aur Ehl-E-Behshat Dozakhiyon Se Pukaar Kar Kahain Ge Ke Joh Waada Hamare Parwardigaar Ne Ham Se Kia Tha Ham Ne Toh Use Sacha Paa Liya.Bhala Joh Waada Tumhare Parwardigaar Ne Tum Se Kia Tha Tum Ne Bhi Usse Sacha Paaya? Wo Kahian Ge Haan, Toh Us Waqt Un Main Aik Pukarne Wala Pukare Ga Ke Be Insaafoun Par Khuda Ki Laanat.
45
Joh Khuda Ki Raah Se Rokte, Aur Us Main Kujji Dhoondte, Aur Aakhrat Se Inkaar Karte The.

46
In Dono Yaani Behshat Aur Dozakh Ke Darmiyaan Aaraaf Naam Ki Aik Deewaar Hogi Aur Aaraaf Par Kuch Aadmi Houn Ge Joh Sab Ko Un Ki Soortoun Se Pehchaan Lain Ge.Toh Wo Ehl-E-Behshat Ko Pukaar Kar Kahinge Ke Tum Par Salamti Ho.Yeh Loug Abhi Behshat Main Daakhil Toh Nahi Hounge Magar Umeed Rakhte Hounge.

47
Aur Jab Un Ki Nigahain Palat Kar Ehl-E-Dozakh Ki Taraf Jayen Gi Toh Arz Karen Ge, Ke Ae Hamare Parwardigaar Ham Ko Zaalim Lougon Ke Sath Shamil Na Kijiyo.

48
Aur Ehl-E-Aaraaf Kaafir Lougon Ko, Jinhian Un Ki Soortoun Se Shanakht Karte Houn Ge Pukare Ge Aur Kahain Ge Ke Aaj Na Toh Tumharia Jamaat Hi Tumhare Kuch Kaam Aye Aur Na Tumhara Takkabur Hi Sood Mand Hua.

49
Phir Momino Ki Taraf Ishara Kar Ke Kahain Ge Kia Ye Wo Hi Loug Hain Jin Ke Bare Main Tum Qasmain Khaya Karte The, Ke Khuda Apni Rehmat Se Un Ki Dastgeeri Na Kare Ga, Toh Momino Tum Behshat Main Daakhil Ho Jao Tumhain Kuch Khof Nahi Aur Na Tum Ko Kuch Ranj-O-Andoh Hoga.

50
Aur Dozakhi Behshatiyon Se Girrgira Kar Kahian Ge Ke Kisi Qadar Ham Par Paani Bahaow Ya Joh Rizq Khuda Ne Tumhain Inayat Farmaya Hai Un Main Se Kuch Hamain Bhi Do, Wo Jawab Dainge Ke Khuda Ne Behshat Ka Paani Aur Rizq Kafiroun Par Haram Kar Dia Hai.

51
Jinhoun Ne Apne Deen Ko Tamasha Aur Khail Bana Rakha Tha Aur Dunia Ki Zindagi Ne Un Ko Dhoke Main Daal Rakha Tha.Toh Jis Tarha Ye Loug Us Din Ke Aane Ko Bhoole Hue Aur Hamari Aayatoun Se Munkir Ho Rahe The.Usi Tarha Aaj Ham Bhi Unhain Bhula Dain Ge.

52
Aur Ham Ne Un Ke Pas Kitaab Pohoncha Di Hai, Jis Ko Ilm-O-Daanish Ke Sath Khol Khol Kar Biyaan Kar Dia Hai Aur Wo Momin Lougon Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Hai.

53
Kia Ye Loug Us Ke Waqoo Ke Muntazir Hain.Jis Din Wo Waaqe Ho Jaye Ga, Toh Joh Loug Us Ko Pehle Se Bhoole Hue Houn Ge Wo Bol Uthain Ge Ke Beshak Hamare Parwardigaar Ke Rasool Haq Le Kar Aye The.Bhala Aaj Hamare Koi Sifarshi Hain, Ke Hamari Sifarish Karen, Ya Ham Dunia Main Phir Louta Diye Jayen, Ke Joh Amal-E-Bad Ham Pehle Karte The Won Na Karen Balke Un Ke Siwa Aur Naik Amal Karen.Be Shak Un Lougon Ne Apna Nuqsaan Kia Aur Joh Kuch Ye Iftiraa Kia Karte The Us Se Sab Jaata Raha.

54
Kuch Shak Nahi Ke Tumhara Parwardigaar Khuda Hi Hai, Jis Ne Aasmanoun Aur Zameen Ko Che (6) Din Main Paida Kia Phir Arsh Par Ja Thehra .Wo Hi Raat Ko Din Ka Libaas Pehnata Hai Ke Wo Us Ke Peeche Dorta Chala Aata Hai.Aur Usi Ne Sooraj Aur Chand Aur Sitaroun Ko Paida Kia, Sab Usi Ke Hukum Ke Mutabkq Kaam Main Lage Hue Hain.Diakho Sab Makhlooq Bhi Usi Ki Hai Aur Hukum Bhi Usi Ka Hai. Yeh Khuda-E-Rab-Ul-Aalmeen, Bari Barkat Wala Hai.

55
Lougon Apne Parwardigaar Se Aajzzi Se Aur Chupke Chupke Duaayen Manga Karo.Woh Had Se Barhne Waloun Ko Dost Nahi Rakhta.

56
Aur Mulk Main Islaah Ke Baad Kharabi Na Karna Aur Khuda Se Khof Karte Hue Aur Umeed Rakh Kar Duaayen Maangte Rehna.Kuch Shak Nahi Ke Khuda Ki Rehmat Naiki Karne Waloun Se Qareeb Hai.

57
Aur Wo Hi Toh Hai Joh Apni Rehmat Yaani Meenh (Rain) Se Pehle Hawaoun (Air) Ko Khushkhabri Bana Kar Bhaijta Hai.Yahan Tak Ke Jab Wo Bhaari Bhaari Baadloun Ko Utha Laati Hai, Toh Ham Us Ko Aik Mari Hui Basti Ki Taraf Haank Dete Hain.Phir Baadal Se Meenh(Rain)Barsaate Hain.Phir Meenh(Rain) Se Har Tarha Ke Phal (Fruits) Paida Karte Hain.Isi Tarha Ham Murdoun(Dead)Ko Zameen Se Zinda Kar Ke Bahar Nikaal Lain Ge.Ye Aayaat Is Liye Biyaan Ki Jaati Hain Taa-Ake Tum Naseehat Pakro.

58
Joh Zameen Paakeeza Hai Us Main Se Sabza Bhi Parwardigaar Ke Hukum Se Nafees Hi Nikalta Hai, Aur Joh Kharab Hai Us Main Joh Kuch Nikalta Hai Naqis Hota Hai.Isi Tarha Ham Aayatoun Ko Shukar Guzaar Lougon Ke Liye Phair Phair Kar Biyaan Karte Hain.

59
Ham Ne Nooh A.S. Ko Un Ki Qoum Ki Taraf Bhaija Toh Unhon Ne Un Se Kaha Ae Meri Baradri Ke Lougon Khuda Ki Ibadat Karo Us Ke Siwa Tumahra Koi Maabood Nahi .Mujhe Tumhare Bare Main Bare (Big) Din Ke Azaab Ka Bohot Hi Dar Hai.

60
Toh Joh Un Ki Qoum Main Sardaar The Wo Kehne Lage Ke Ham Tumhain Sareeh Gumhrai Main Mubtila Daikhte Hain.

61
Unhon Ne Kaha Ae Qoum Mujhe Main Kisi Tarha Ki Gumarhi Nahi Hai, Balke Main Parwardigaar-E-Aalam Ka Paigambar Hoon.

62
Tumhain Apne Parwaridigaar Ke Paigaam Pohonchata Hoon Aur Tumhari Khair Khuahi Karta Hoon Aur Mujh Ko Khuda Ki Taraf Se Aisi Baatain Maloom Hain Jin Se Tum Be Khabar Ho.

63
Kia Tum Ko Is Baat Se Taajub Hua Hai Ke Tum Main Se Aik Shakhs Ke Hath Tumahre Parwardigaar Ki Taraf Se Tumahre Paas Naseehat Aye, Taa-Ake Wo Tum Ko Daraaye Aur Taa-Ake Tum Parhaizgaar Bano Aur Taa-Ake Tum Par Rehem Kia Jaye.

64
Magar Un Lougon Ne Un Ki Takzeeb Ki.Toh Ham Ne Nooh Ko Aur Joh Un Ke Sath Kashti Main Sawar The Un Ko Toh Bacha Liya Aur Jin Lougon Ne Hamari Aayatoun Ko Jhutlaya Tha Unhain Garaq Kar Dia. Kuch Shak Nahi Ke Wo Andhe Loug The.

65
Aur Usi Tarha Qoum-E-Aad Ki Taraf Un Ke Bhai Hood Ko Bhaija .Unhon Ne Kaha Ke Bhaiyo Khuda Hi Ki Ibadat Karo.Us Ke Siwa Tumahra Koi Maabood Nahi.Kia Tum Darte Nahi?

66
Toh Un Ki Qoum Ke Sardaar Joh Kafir The Kehne Lage Ke Tum Hamain Ehmaq Nazar Aate Ho Aur Ham Tumahin Jhoota Khayal Karte Hain.

67
Unhoun Ne Kaha Ke Meri Qoum, Mujh Main Himaqat Ki Koi Baat Nahi Hai, Balke Main Rabb-Ul-Aalmeen Ka Paigambar Hoon.

68
Main Tumhain Khuda Ke Paigaam Pohonchata Hoon, Aur Tumhara Amanat Daar Khair Khuah Hoon.

69
Kia Tum Ko Is Baat Se Taajub Hua Hai Ke Tum Main Se Aik Shakhs Ke Hath Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Tumahre Paas Naseehat Aaye, Taa-Ake Wo Tumahin Daraaye Aur Yaad Toh Karo Jab Us Ne Tum Ko Qoum-E-Nooh Ke Baad Sardaar Banaya.Aur Tumhain Phailao Ziada Dia.Pas Khuda Ki Naimatoun Ko Yaad Karo.Taa-Ake Nijaat Hasil Karo.

70
Wo Kehne Lage Ke Tum Hamre Paas Is Liye Aye Ho Ke Ham Akele Khuda Hi Ki Ibadat Karen.Aur Jin Ko Hamre Baap Daada Poojte (Worship) Chale Aye Hain Un Ko Chor Dain? Toh Agar Sache Ho, Toh Jis Cheez Se Hamian Darate Ho, Usse Le Aao.

71
Hood Ne Kaha Ke Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Tum Par Azaab Aur Gazab Ka Naazil Hona Muqarrar Ho Chukka Hai.Kia Tum Mujh Se Aise Namoun Ke Bare Main Jhagarte Ho Joh Tum Ne Aur Tumhare Baap Dada Ne Apni Taraf Se Rakh Liye Hain.Jin Ki Khuda Ne Koi Sanad Nazil Nahi Ki.Toh Tum Bhi Intizar Karo Main Bhi Tumhare Sath Intizar Karta Hoon.

72
Phir Ham Ne Hood Ko Aur Joh Loug Un Ke Sath The Un Ko Nijaat Bakhshi Aur Jinhoun Ne Hamari Aayatoun Ko Jhutlaya Tha Un Ki Jar Kaat Di Aur Wo Eemaan Lane Wale The Hi Nahi.

73
Aur Qoum-E-Samood Ki Taraf Un Ke Bhai Sualeh Ko Bhaija.Toh Sualeh Ne Kaha Ke Ae Qoum! Khuda Hi Ki Ibadat Karo Us Ke Siwa Tumhara Koi Maabood Nahi.Tumhare Paas Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Aik Moajza Aa Chukka Hai.Yaani Yeh Hi Khuda Ki Oontni Tumhare Liye Moajza Hai.Toh Isse Azaad Chor Do Ke Khuda Ki Zameen Main Charti Phire Aur Tum Isse Buri Niyat Se Hath Bhi Na Lagana.Warna Azaab-E-Aleem Tumhain Pakar Le Ga.

74
Aur Yaad Toh Karo Jab Us Ne Tum Ko Qoum-E-Aad Ke Baad Sardaar Banaya Aur Zameen Par Aabaad Kia Ke Narm Zameen Se Matti Le Le Kar Mehel Taameer Karte Ho Aur Paharoun Ko Taraash Taraash Kar Ghar Banate Ho.Pas Khuda Ki Naimatoun Ko Yaad Karo Aur Zameen Main Fisaaad Na Karte Phiro.

75
Toh Un Ki Qoum Main Sardaar Loug Joh Garoor Rakhte The , Gareeb Lougon Se Joh Un Main Se Eemaan Le Aye The Kehne Lage, Bhala Tum Yaqeen Karte Ho Ke Sualeh Apne Parwardigaar Ki Taraf Se Bhaije Gaye Hain? Unhoun Ne Kaha Haan Joh Cheez De Kar Wo Bhaije Gaye Hain Ham Us Par Bila Shuba Eemaan Rakhte Hain.

76
Toh Sardaaraan-E-Magroor Kehne Lage Ke Jis Cheez Par Tum Eemaan Laye Ho Ham Toh Us Ko Nahi Maante.

77
Aakhir Unhoun Ne Oontni Ki Koonchoun Ko Kaat Daala Aur Apne Parwardigaar Ke Hukum Se Sar Kashi Ki Aur Kehne Lage Ke Sualeh! Jis Cheez Se Tum Hamain Darate The Agar Tum Khuda Ke Paigambar Ho Toh Use Ham Par Le Aao.

78
Toh Un Ko Bhounchaal Ne Aa Pakra, Aur Wo Apne Gharoun Main Oundhe Pare Reh Gaye.

79
Phir Sualeh A.S.Un Se Na Umeed Ho Kar Phire Aur Kaha Ke Meri Qoum! Main Ne Tum Ko Khuda Ka Paighaam Pohoncha Dia Aur Tumhari Khair Khuahi Ki Magar Tum Aise Ho Ke Khair Khuahoun Ko Dost Hi Nahi Rakhte.

80
Aur Isi Tarha Jab Ham Ne Loot A.S. Ko Paigambar Bana Kar Bhaija Toh Us Waqt Unhoun Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Tum Aisi Be Hayaee Ka Kaam Kion Karte Ho Ke Tum Se Pehle Ehl-E-Aalam Main Se Kisi Ne Is Tarha Ka Kaam Nahi Kai.

81
Yaani Khuahish-E-Nafsaani Poora Karne Ke Liye Aurtoun Ko Chor Kar Loundoun Par Girte Ho.Haqeeqat Yeh Hai Ke Tum Loug Had Se Nikal Jane Wale Ho.

82
Toh Un Se Is Ka Jawab Kuch Na Ban Para Aur Bole Toh Yeh Bole Ke In Lougon Yaani Loot Aur Us Ke Ghar Waloun Ko Apne Gaaoun (Village) Se Nikaal Do, Ke Yeh Loug Paak Bann-Na Chahte Hain.

83
Toh Ham Ne Un Ko Aur Un Ke Ghar Waloun Ko Bacha Liya Magar Un Ki Bibi Na Bachi Ke Wo Peeche Rehne Waloun Main Thi.

84
Aur Ham Ne Un Par Patharoun (Stones) Ka Meenh(Rain) Barsaya.So Daikh Lo Ke Gunnehgaaroun Ka Kaisa Anjaam Hua.

85
Aur Madeen Ki Taraf Un Ke Bhai Shoaib A.S. Ko Bhaija.Toh Unhoun Ne Kaha Ke Ae Qoum! Khuda Hi Ki Ibadat Karo Us Ke Siwa Tumhara Koi Maabood Nahi.Tumhare Paas Tumahre Parwardigaar Ki Taraf Se Nishani Aa Chuki Hai Toh Tum Naap Aur Toul Poori Kia Karo Aur Lougon Ko Cheezain Kam Na Dia Karo.Aur Zameen Main Islaah Ke Baad Kharabi Na Karo.Agar Tum Saahib-E-Eemaan Ho Toh Samajh Lo Keh Ye Baat Tumhare Haq Main Behtar Hai.

86
Aur Har Raste Par Mat Baitha Karo Ke Joh Shakhs Khuda Par Eeemaan Lata Hai Usse Tum Darate Aur Raah-E-Khuda Se Rokte Aur Us Main Kujji Dhoondte Ho Aur Us Waqt Ko Yaad Karo Jab Tum Thore Se The Toh Khuda Ne Tum Ko Jamat-E-Kaseer (Big Group) Kar Dia, Aur Daikh Lo Ke Kharabi Karne Waloun Ka Anjaam Kaisa Hua.

87
Aur Agar Tum Main Se Aik Jamaat Meri Risalat Par Eemaan Le Ayee Hai Aur Aik Jamaat Eemaan Nahi Laye.Toh Sabar Kiye Raho Yahan Tak Ke Khuda Hamare Tumhare Darmiyaan Faisla Kar De Aur Wo Sab Se Behtar Faisla Karne Wala Hai.

88
Toh Un Ki Qoum Main Joh Loug Sardaar Aur Bare Aadmi The, Wo Kehne Lage Ke Shoaib ! Ya Toh Ham Tum Ko Aur Joh Loug Tumhare Sath Eemaan Laye Hain, Un Ko Apne Sheher Se Nikaal Dainge .Ya Tum Hamare Mazhab Main Aa Jao.Unhoun Ne Kaha Khuah Ham Tumhare Deen Se Baizaar Hi Houn Toh Bhi?

89
Agar Ham, Is Ke Baad, Ke Khuda Hamain Is Se Nijaat Bakhash Chukka Hai, Tumhare Mazhab Main Lout Jaayen Toh Be Shak Ham Ne Khuda Par Jhoot Iftiraa Baandha.Aur Hamain Shayaan Nahi Ke Ham Is Main Lout Jayen, Haan Khuda Joh Hamara Parwardigaar Hai Wo Chahe Toh Ham Majboor Hain.Hamare Parwaridigaar Ka Ilm Har Cheez Par Ahaata Kiye Hue Hai.Hamara Khuda Hi Par Bharosa Hai.Ae Parwardigaar Ham Main Aur Hamari Qoum Main Insaaf Ke Sath Faisala Kar De Aur Tu Sab Se Behtar Faisla Karne Wala Hai.

90
Aur Un Ki Qoum Main Se Sardaar Loug Joh Kafir The, Kehne Lage Ke Bhaiyo Agar Tum Ne Shoaib A.S Ki Pairvi Ki Toh Be Shak Tum Khasare Main Par Gaye.

91
Toh Un Ko Bhonchaal Ne Aa Pakra Aur Wo Apne Gharoun Main Oundhe Pare Reh Gaye.

92
Yeh Loug Jinhoun Ne Shoaib A.S. Ki Takzeeb Ki Thi Aise Barbaad Hue The Ke Goya Wo Un Main Kabhi Aabaaad Hi Nahi Hue The, Garz Jinhoun Ne Shoaib A.S. Ko Jhutlya Wo Khasare Main Par Gaye.

93
Toh Shoaib A.S. Un Main Se Nikal Aye Aur Kaha Ke Bhaioyo Main Ne Tum Ko Apne Parwardigaar Ke Paigaam Pohoncha Diye Hain Aur Tumhari Khair Khuahi Ki Thi.Toh Main Kafiroun Par Azaab Nazil Hone Se Ranj-O-Gham Kion Karoon.

94
Aur Ham Ne Kisi Sheher Main Koi Paigambar Nahi Bhaija Magar Wahan Ke Rehne Waloun Ko Joh Eemaan Na Laye Dukhoun Aur Museebtoun Main Mubtila Kia Taa-Ake Wo Aajzi Aur Zaari Karain.

95
Phir Ham Ne Takleef Ko Aasoodgi Se Badal Dia Yahan Tak Ke Maal-O-Aulaad Main Ziada Ho Gaye, Toh Kehne Lage Ke Is Tarha Ka Ranj-O-Rahat Hamare Baroun Ko Bhi Pohonchta Raha Hai, Toh Ham Ne Un Ko Na Gahaan Pakar Liya Aur Wo Apne Haal Main Be Khabar The.

96
Agar Un Bastiyon Ke Loug Eemaan Le Aate Aur Parhaizgar Ho Jate.Toh Ham Un Par Aasmaan Aur Zameen Ki Barkaat Ke Darwaze Khol Dete Magar Unhoun Ne Toh Takzeeb Ki .So Un Ke Aamaal Ki Saza Main Ham Ne Un Ko Pakar Liya.

97
Kia Bastiyon Ke Rehne Wale Is Se Be Khof Hain Ke Un Par Hamara Azaab Raat Ko Waaqe Ho Aur Wo Be Khabar So Rahe Houn.

98
Aur Kia Ehl-E-Sheher Is Se Nidar (Be Khof) Hain Ke Un Par Hamara Azaab Din Charhe Aa Nazil Ho Aur Wo Khail Rahe Houn.

99
Kia Ye Loug Khuda Ke Daao Ka Dar Nahi Rakhte Sun Lo Ke Khuda Ke Daao Se Wo Hi Loug Nidar (Be Khof) Hote Hain Joh Khasara Pane Wale Hain.

100
Kia Un Lougon Ko Joh Ehl-E-Zameen Ke Mar Jane Ke Baad Zameen Ke Malik Hote Hain, Ye Amar Moujab-E-Hidayat Nahi Hua Ke Agar Ham Chahain Toh Un Ke Gunnahoun Ke Sabab Un Par Museebat Daal Dain.Aur Un Ke Diloun (Hearts) Par Mohor Laga Dain Ke Kuch Sun Hi Na Sakain.

101
Yeh Bastiyan Hain Jin Ke Kuch Halaat Ham Tum Ko Sunate Hain.Aur Un Ke Paas Un Ke Paigambar Nishaniyaan Le Kar Aaye.Magar Wo Aise Nahi The Ke Jis Cheez Ko Pehle Jhutla Chuke Houn Usse Maan Lain, Isi Tarha Khuda Kaafiroun Ke Diloun Par Mohor Laga Deta Hai.

102
Aur Ham Ne Un Main Se Aksaroun (Many) Main Ehed Ka Nibah Nahi Daikha.Aur Un Main Aksaroun (Many) Ko Daikha Toh Badkaar Hi Daikha.

103
Phir Un Paigambaroun Ke Baad Ham Ne Moosa A.S. Ko Nishaniyan De Kar Firown Aur Us Ke Aayaan-E-Saltanat Ke Paas Bhaija Toh Unhoun Ne Un Ke Sath Kufur Kia.So Daikh Lo Ke Kharabi Karne Waloun Ka Anjaam Kia Hua.

104
Aur Moosa A.S. Ne Kaha Ke Ae Firown, Main Rab-Ul-Aalmeen Ka Paigambar Hoon.

105
Mujh Par Wajib Hai Ke Khuda Ki Taraf Se Joh Kuch Kahoon Sach Hi Kahoon.Main Tumhare Paas Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Nishani Le Kar Aaya Hoon.So Bani Israail Ko Mere Sath Jaane Ki Rukhsat De Dijiye.

106
Firoun Ne Kaha, Agar Tum Nishani Le Kar Aye Ho Toh Agar Sache Ho Toh Laao Dikhao.

107
Moosa A.S. Ne Apni Laathi (Stick) Zameen Par Daal Di Toh Wo Ussi Waqt Sareeh Azdaha Ho Gaya.

108
Aur Apna Hath Bahar Nikala Toh Ussi Dam (Instantly) Daikhne Waloun Ki Nigaoun Main Safaid Burraq Tha.

109
Toh Qoum-E-Firown Main Joh Sardaar The Wo Kehne Lage Ke Ye Bara Allama Jadugar Hai.

110
Us Ka Irada Yeh Hai Ke Tum Ko Tumhare Mulk Se Nikaal De.Bhala Tumhari Kia Salaah Hai?

111
Unhoun Ne Firown Se Kaha Ke Filhaal Moosa Aur Us Ke Bhai Ke Moaamle Ko Moqoof Rakhiye Aur Shehroun (Cities) Main Naqeeb Rawana Kar Dijieye.

112
Ke Taman Mahir Jadugaroun Ko Aap Ke Paas Le Ayen.

113
Chunacha Aisa Hi Kia Gaya Aur Jadugar Firown Ke Paas Aa Pohonche Aur Kehne Lage Ke Agar Ham Jeet Gaye Toh Hamain Sila Ata Kia Jaye.

114
Firown Ne Kaha Haan Zaroor Aur Us Ke Ilawa Tum Muqarraboun Main Daakhil (Enter) Kar Liye Jao Ge.

115
Jab Fareeqain Roz-E-Muqarrar Par Jama Hue Toh Jadugaroun Ne Kaha Ke Moosa A.S. Ya Toh Tum Jadu Ki Cheez Daalo Ya Ham Daalte Hain.

116
Moosa A.S. Ne Kaha Tum Hi Daalo.Jab Unhoun Ne Jadu Ki Cheezain Daaleen Toh Lougon Ki Aankhon Par Jadu Kar Dia Yani Nazar Bandi Kar Di Aur Laathiyon Aur Rassiyon Ke Saamp Bana Bana Kar Unhain Dara Dara Dia Aur Bohot Bara Jaadu Dikhaya.

117
Aur Us Waqt Ham Ne Moosa A.S. Ki Taraf Wahi Bhaiji Ke Tum Bhi Apni Laathi Daal Do.Wo Foran Saanmp (Snake) Ban Kar Jadu Garoun Ke Banaye Hue Saanmpoun Ko Aik Aik Kar Ke Nigal Jaye Gi.

118
Phir Toh Haq Sabit Ho Gaya Aur Joh Kuch Firowni Karte The Baatil Ho Gaya.

119
Aur Wo Magloob Ho Gaye Aur Zaleel Ho Kar Reh Gaye.

120
Aur Yeh Kaifiyat Daikh Kar, Jadugar Sajde Main Girr Pare.

121
Aur Kehne Lage Ke, Ham Jahaan Ke Parwardigaar Par Eemaan Laye.

122
Yaani Moosa A.S. Aur Haroon A.S. Ke Parwardigaar Par.

123
Firown Ne Kaha Ke Paishtar Is Ke Keh Main Tumhain Ijazat Doon Tum Is Par Eemaan Le Aye? Be Shak Yeh Faraib Hai Joh Tum Ne Mill Kar Sheher (City) Main Kia Hai Taa-Ake Ehl-E-Sheher Ko Yahan Se Nikaal Do.So Anqareeb Is Ka Natija Maloom Kar Lo Ge.

124
Main Pehle Toh Tumhare Aik Taraf Ke Hath Aur Doosri Taraf Ke Paaon Katwa Doon Ga Phir Tum Sab Ko Sooli Charha Doonga.

125
Wo Bole, Ke Ham Toh Apne Parwardigaar Ki Taraf Lout Kar Jaane Wale Hain.

126
Aur Us Ke Siwa Tujh Ko Hamari Koun Si Baat Buri Lagi Hai Ke Jab Hamare Parwardigaar Ki Nishaniyan Hamare Paas Aa Gayeen Toh Ham Un Par Eemaan Le Aye.Ae Parwardigaar Ham Par Sabar-O-Istiqamat Ke Dahaane Khol De Aur Hamain Maariyo Toh Muslamaan Hi Mariyo.

127
Aur Qoum-E-Firown Main Joh Sardaar The Kehne Lage Ke Kia Aap Moosa A.S. Aur Us Ki Qoum Ko Chor Dijiye Ga, Ke Mulk Main Kharabi Karain Aur Aap Se Aur Aap Ke Maaboodoun Se Dast Kash Ho Jayen .Woh Bole Ke Ham Un Ke Larkoun Ko Qatal Kar Dalain Ge Aur Larkiyon Ko Zinda Rehne Dain Ge Aur Be Shuba Ham Un Par Gaalib Hain.

128
Moos A.S. Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Khuda Se Madad Mango Aur Sabit Qadam Raho.Zameen Toh Khuda Ki Hai .Wo Apne Bandoun Main Se Jisse Chahata Hai Us Ka Maalik Banata Hai.Aur Aakhir Bhala Tu Darne Waloun Ka Hai.

129
Wo Bole Ke Tumhare Aane Se Pehle Bhi Ham Ko Azyatain Pohonchti Raheen Aur Aane Ke Baad Bhi.Moosa A.S. Ne Kaha Ke Qareeb Hai Ke Tumara Parwardigaar Tumharae Dushman Ko Halaak Kar De Aur Us Ki Jaga Tumhain Zameen Main Khalifa Banaye Phir Daikhe Ke Tum Kaise Amal Karte Ho.

130
Aur Ham Ne Firowniyon Ko Qehtoun (Famine ) Aur Maiwoun (Dry Fruits) Ke Nuqsaan Main Pakra Taa-Ake Naseehat Hasil Karen.

131
Toh Jab Un Ko Aasaaish Hasil Hoti Toh Kehte Ke Ham Is Ke Mustahiq Hain.Aur Agar Sakhti Pohonchti Toh Moosa A.S Aur Un Ke Refeeqoun Ki Badshagooni Batate. Daikho Un Ki Badshagooni Khuda Ke Haan Muqarrar Hai Lekin Un Main Aksar Nahi Jaante.

132
Aur Kehne Lage Ke Tum Hamare Pas Khuah Koi Hi Nishani Laao Taa-Ake Us Se Ham Par Jaadu Karo. Magar Ham Tum Par Eemaan Lane Wale Nahi Hain.

133
Toh Ham Ne Un Par Toofaan Aur Tiddiyan Aur Jooain Aur Maindak Aur Khoon, Kitni Khuli Hui Nishaniyan Bhaijeen.Magar Wo Takaabur Hi Karte Rahe Aur Wo Loug The Hi Gunnehgaar.

134
Aur Jab Un Par Azaab Waaqe Hota Toh Kehte Ke Moosa A.S. Hamare Liye Apne Parwaridigaar Se Dua Karo.Jaisa Us Ne Tum Se Ehed Kar Rakha Hai.Agar Tum Ham Se Azaab Ko Taal Do Ge Toh Ham Tum Par Eemaan Bhi Le Ayen Ge Aur Bani Israail Ko Bhi Tumhare Sath Jaane Ki Ijazat Dainge.

135
Phir Jab Ham Aik Muddat Ke Liye Jis Tak Un Ko Pohonchna Tha Un Se Azaab Door Kar Dete Toh Wo Ehed Ko Tour (Break) Daalte.

136
Toh Ham Ne Un Se Badla Le Kar Hi Chora Ke Un Ko Darya Main Dibo Dia, Is Liye Ke Wo Hamari Aayatoun Ko Jhutlate Aur Un Se Be Parwayeee Karte The.

137
Aur Joh Loug Kamzor Samjhe Jaate The Un Ko Zameen-E-Shaam Ke Mashriq-O-Magrib Ka Jis Main Ham Ne Barkat Di Thi, Waaris Kar Dia Aur Bani Israail Ke Bare Main, Un Ke Sabar Ki Waja Se, Tumhare Parwardigaar Ka, Waada-E-Naik Poora Hua, Aur Firown Aur Qoum-E-Firown Joh Mehel Banate Aur Angoor Ke Bagh (Garden) Joh Chatriyoun Par Charhaate The Sab Ko Ham Ne Tabaah Kar Dia.

138
Aur Ham Ne Bani Israail Ko Darya Ke Paar Utara To Wo Aise Lougon Ke Paas Ja Pohonche Joh Apne Buttoun Ki Ibadat Ke Liye Baithe Rehte The.Bani Israail Kehne Lage Ke Moosa Jaise In Lougon Ke Maabood Hain.Hamare Liye Bhi Aik Maabood Bana Do.Mooosa Ne Kaha Ke Tum Bare Hi Jaahil Loug Ho.

139
Yeh Loug Jis Shugal Main Phanse Hue Hain Wo Barbaad Hone Wala Hai, Aur Joh Kaam Ye Karte Hain Sab Behooda Hain.

140
Aur Ye Bhi Kaha Ke Bhaala Main Khuda Ke Siwa Tumahre Liye Koi Aur Maabood Talash Karoon Halaanke Us Ne Tum Ko Tamaan Ehl-E-Aalam Par Fazeelat Bakhshi Hai.

141
Aur Hamare Un Ehsaanoun Ko Yaad Karo Jab Ham Ne Tum Ko Firowniyon Ke Hath Se Nijaat Bakhshi, Wo Loug Tum Ko Bara Dukh Dete The. Tumahre Baitoun Ko Toh Qatal Kar Daalte The Aur Baitiyon Ko Zinda Rehne Dete The. Aur Us Main Tumahre Parwardigaar Ki Taraf Se Sakht Aazmaaish Thi.

142
Aur Ham Ne Moosa A.S. Se Tees (30) Raat Ki Mayaad Muqarrar Ki . Aur Das (10)Raatain Aur Mila Kar Usse Poora Chilla Kar Dia Toh Us Ke Parwardigaar Ki Chalees (40) Raat Ki Mayaad Poori Ho Gai.Aur Moosa A.S. Ne Apne Bhai Haaroon A.S. Se Kaha Ke Mere Koh-E-Toor Par Jane Ke Baad Tum Meri Qoum Main Mere Jaannasheen Ho, In Ki Islaah Karte Rehna Aur Shareeroun Ke Raste Na Chalna.

143
Aur Jab Moosa A.S Hamare Muqarrar Kiye Hue Waqt Par Koh-E-Toor Par Pohonche, Aur Un Ke Parwardigaar Ne Un Se Kalaam Kia, Toh Kehne Lage Ke Ae Parwardigaar Mujhe Jalwa Dikha Ke Main Tera Deedaar Bhi Daikhoon.Parwardigaar Ne Kaha Ke Tum Mujhe Har Gizz Na Daikh Sako Ge. Haan Pahaar Ki Taraf Daikhte Raho Agar Yeh Apni Jaga Qaaim Raha Toh Tum Mujh Ko Daikh Sako Ge.Jab Un Ka Parwaridaar Pahaar Par Namoodaar Hua Toh Tajjali-E-Anwaar-E-Rabbani Ne Us Ko Raiza Raiza Kar Dia Aur Moosa A.S. Be Hosh Ho Kar Girr Pare.Jab Hosh Main Aye Toh Kehne Lage Ke Teri Zaat Paak Hai Aur Main Tere Huzoor Main Touba Karta Hoon Aur Joh Eemaan Lane Wale Hain Un Main Sab Se Awwal Hoon.

144
Khuda Ne Farmaya Moosa A.S. Main Ne Tum Ko Apne Paigaam Aur Apne Kalaam Se Lougon Se Mumtaaz Kia Hai.To Joh Main Ne Tum Ko Ata Kia Hai Usse Pakar Rakho Aur Mera Shukar Baja Laao.

145
Aur Ham Ne Touraat Ki Takhtiyoun Main Un Ke Liye Har Qisam Ki Naseehat Aur Har Cheez Ki Tafseel Likh Di Phir Irshaad Farmaya Ke Usse Zor Se Pakre Raho Aur Apni Qoum Se Bhi Keh Do Ke In Batoun Ko Joh Us Main Mundarij Hain Aur Bohot Behtar Hain Pakre Rahain. Main Anqareeb Tum Ko Nafarmaan Lougon Ka Ghar Dikhaaon Ga.

146
Joh Loug Zameen Main Nahaq Garoor Karte Hain Un Ko Apni Aayatoun Se Phair Doonga.Agar Ye Sab Nishaniyan Bhi Daikh Lain Tab Bhi Un Par Eemaan Na Layen Aur Agar Raasti Ka Raste Daikhain Toh Usse Apna Rastaa Na Banaye.Aur Agar Gumrahi Ki Raah Daikhe Toh Usse Rasta Bana Lain.Ye Is Liye Ke Unhoun Ne Hamari Aayaat Ko Jhutlaya Aur Un Se Gaflat Karte Rahe.

147
Aur Jin Lougon Ne Hamari Aayatoun Aur Aakhrat Ke Aane Ko Jhutlaya Un Ke Aamaal Zaaya Ho Jaye Ge.Yeh Jaise Amal Karte Hain Waisa Hi Un Ko Badla Mile Ga.

148
Aur Qoum-E-Moosa A.S. Ne Moosa A.S. Ke Baad Apne Zaiwar Ka, Aik Bachra Bana Liya, Wo Aik Jism Tha Jis Main Se Bail Ki Awaz Nikalti Thi. Un Lougon Ne Ye Na Daikha Ke Wo Na Un Se Baat Kar Sakta Hai, Aur Na Un Ko Rasta Dikha Sakta Hai.Us Ko Unhoun Ne Maabood Bana Liya Aur Apne Haq Main Zulm Kia.

149
Aur Jab Wo Nadim Hue Aur Daikha Ke Gumrah Ho Gaye Hain Toh Kehne Lage Ke, Agar Hamara Parwardigaar Ham Par Rehem Nahi Kare Ga Aur Ham Ko Moaaf Nahi Farmaaye Ga
Toh Ham Barbaad Ho Jaye Ge.

150
Aur Jab Moosa A.S. Apni Qoum Main Nihayat Gusse Aur Afsos Ki Halat Main Wapas Aye.Toh Kehne Lage Ke Tum Ne Mere Baad Bohot Hi Bad Atwaari Ki.Kia Tum Ne Apne Parwardigaar Ka Hukum Yaani Mera Apne Paas Aana Jald Chaaha, Yeh Kaha Aur Shiddat-E-Gazab Se Touraat Ki Takhtiyan Daal Deen Aur Apne Bhai Ke Sar Ke Baloun (Hair) Ko Pakar Kar Apni Taraf Khainchne Lage.Unhoun Ne Kaha Ke Bhai Jaan Loug Toh Mujhe Kamzor Samajhte The Aur Qareeb Tha Ke Qatal Kar Dain.Toh Aisa Kaam Na Kijiey Ke Dushman Mujh Par Hansain Aur Mujhe Zalim Lougon Main Mat Milaiye.

151
Tab Unhoun Ne Dua Ki Ke Aie Mere Parwardigaar Mujhe Aur Mere Bhai Ko Moaaf Kar De, Aur Hamain Apni Rehmat Main Daakhil Kar Tu Sab Se Barh Kar Rehem Karne Wala Hai.

152
Khuda Ne Farmaya Ke Jin Lougon Ne Bachre Ko Maabood Bana Liya Tha Un Par Parwardigaar Ka Gazab Waaqe Hoga Aur Dunia Ki Zindagi Main Zillat Naseeb Hogi Aur Ham Iftiraa Pardaazoun Ko Aisa Hi Badal Dia Karte Hain.

153
Aur Jinhoun Ne Bure Kaam Kiye Phir Us Ke Baad Touba Kar Li Aur Eemaan Le Aye Toh Kuch Shak Nahi Ke Tumhara Parwardigaar, Us Ke Baad Bakhash De Ga Wo Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

154
Aur Jab Moosa Ka Gussa Faro Hua Toh Touraat Ki Takhtiyan Utha Lee Aur Joh Kuch Un Main Likha Tha Wo Un Lougon Ke Liye Joh Apne Parwardigaar Se Darte Hain.Hidayat Aur Rehmat Thi.

155
Aur Moosa A.S. Ne Is Miyaad Par Joh Ham Ne Muqarrar Ki Thi Apni Qoum Ke Sattar (70) Aadmi Muntakhiab Kar Ke Koh-E-Toor Par Hazir Kiye.Jab Un Ko Zalzale (Earth Quack) Ne Pakra Toh Moosa Ne Kaha Ke Ae Parwardigaar Agar Tu Chahata Toh In Ko Aur Mujh Ko Pehle Hi Halaak Kar Deta.Kia Tu Is Fail Ki Saza Main Joh Ham Main Se Be Aqal Lougon Ne Kia Hai Hamain Halaak Kar De Ga.Ye Toh Teri Aazmaaish Hai.Iss Se Tu Jis Ko Chahe Gumrah Kare Aur Jis Ko Chahe Hidayat Bakhshe.Tu Hi Hamara Kaar Saaz Hai Tu Hamain Hamare Gunnah Bakhash De Aur Ham Par Rehem Kar Aur Tu Sab Se Behtar Bakhashne Wala Hai.

156
Aur Hamare Liye Is Dunia Main Bhi Bhaliyee Likh De Aur Aakhrat Main Bhi .Ham Teri Taraf Rujoo Ho Chuke.Farmaya , Ke Joh Mera Azaab Hai Use Toh Jis Par Chahata Hoon Nazil Karta Hoon Aur Joh Meri Rehmat Hai Wo Har Cheez Ko Shamil Hai.Main Is Ko In Lougon Ke Liye Likh Doonga Joh Parhaizgaari Karte Aur Zakat Dete Aur Hamari Aayatoun Par Eemaan Rakhte Hain.

157
Wo Joh Muhammad S.A.W. Rasool Allah Ki, Joh Nabi Ummi Hain, Pairvi Karte Hain Jin Ke Ousaaf Ko Wo Apne Haan Touraat Aur Injeel Main Likha Hua Paate Hain.Wo Unhain Naik Kaam Ka Hukum Dete Hain Aur Bure Kaam Se Rokte Hain.Aur Paak Cheezoun Ko Un Ke Liye Halaal Karte Hain Aur Napaak Cheezoun Ko Un Par Haraam Tehrate Hain Aur Un Par Se Bojh Aur Touq Joh Un Ke Sar Par Aur Gale Main The Utarte Hai.Toh Joh Loug Un Par Eemaan Laye Aur Un Ki Rafaqat Ki Aur Unhain Madad Di.Aur Joh Noor Un Ke Sath Nazil Hua Hai Us Ki Pairwi Ki.Wohi Muraad Pane Wale Hain.

158
Ae Muhammad S.A.W. Keh Do Ke Lougo Main Tum Sab Ki Taraf Khuda Ka Bhaija Hua Hoon, Yaani Us Ka Rasool Hoon.Wo Joh Aasmaanon Aur Zameen Ka Baadshah Hai.Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi Wohi Zindagani Bakhashta Hai Aur Wo Hi Mout Deta Hai.Toh Khuda Par Aur Us Ke Rasool Paigambar-E-Ummi Par Joh Khuda Par Aur Us Ke Tamaam Kalaam Par Eemaan Rakhte Hain Eemaan Laao Aur Un Ki Pairwi Karo Taa-Ake Hidayat Paao.

159
Aur Qoum-E-Moosa Main Kuch Loug Aise Bhi Hain Joh Haq Ka Rasta Batate Aur Usi Ke Sath Insaaf Karte Hain.

160
Aur Ham Ne Un Ko Yaani Bani Israail Ko Alag Alag Kar Ke Baara (12) Qabeela Aur Bari Bari Jamaatain Bana Dia .Aur Jab Moosa A.S. Se Un Ki Qoum Ne Paani Talab Kia Toh Ham Ne Un Ki Taraf Wahi Bhaiji Ke Apni Laathi Pathar Par Maar Do.Toh Us Main Se Baara Chashma Phooot Nikle.Aur Sab Lougon Ne Apna Apna Ghaat Maloom Kar Liya.Aur Ham Ne Un Ke Saroun (Heads) Par Badal (Clouds) Ko Saaibaan Banaye Rakha Aur Un Par Man-O-Salwa (Food) Utaarte Rahe.Aur Un Se Kaha Ke Joh Paakeeza Cheezain Ham Tumhain Dete Hain Unhian Khao.Aur Un Lougon Ne Hamara Kuch Nauqsaan Nahi Kia Balke Joh Nuqsaan Kia Apna Hi Kia.

161
Aur Yaad Karo Jab Un Se Kaha Gaya, Ke Is Sheher Main Sakoont Ikhtiyaar Kar Lo Aur Us Main Jahaan Se Jee Chahe Khana Peena Aur Haan Sheher Main Jana Toh Hittattun (Arabic Word) Kehna Aur Darwaze Main Dakhil Hona Toh Sajda Karna Ham Tumhare Gunnah Moaaf Kar Dainge.Aur Niaki Karne Waloun Ko Aur Ziada Dainge.

162
Magar Joh In Main Zaalim The Unhoun Ne Is Lafz Ko Jis Ka Un Ko Hukum Dia Gaya Tha Badal Kar Us Ki Jaga Aur Lafz Kehna Shroo Kia Toh Ham Ne Un Par Aasmaan Se Azaab Bhaija Isliye Ke Zulm Karte The.

163
Aur Un Se Us Gaaoun (Village) Ka Haal Toh Poocho Joh Lab-E-Darya Waaqe Tha.Jab Yeh Loug Hafte Ke Din Ke Bare Main Had Se Tajawuzz Karne Lage, Yaani Us Waqt Ke Un Ke Hafte Ke Din Machliyaan Un Ke Saamne Paani Ke Oopar Aateen Aur Jab Hafte Ka Din Na Hota Toh Na Aatee.Isi Tarha Ham Un Lougon Ko Un Ki Nafarmaaniyon Ke Sabab Aazmaaish Main Daalne Lage.

164
Aur Jab Un Main Se Aik Jamaat Ne Kaha Ke Tum Aise Lougon Ko Kion Naseehat Karte Ho Jin Ko Khuda Halaak Karne Wala Ya Sakht Azaab Dene Wala Hai, Toh Unhoun Ne Kaha Isliye Ke Tumhare Parwaridgaar Ke Saamne Moaazrat Kar Sakain Aur Ajab Nahi Ke Wo Parhaizgaari Ikhtiyaar Karen.

165
Jab Unhoun Ne In Batoun Ko Farmaosh Kar Dia Jin Ki Un Ko Naseehat Ki Gai Thi, Toh Joh Looug Burai Se Mana Karte The Un Ko Ham Ne Nijaat Di Aur Joh Zulm Karte The Un Ko Bare Azaab Main Pakar Liya Ke Nafarmani Kiye Jate The.

166
Garz Jin Aamaal-E-Badd Se Un Ko Mana Kia Gaya Tha Jab Wo Un Par Israar Aur Hamare Hukum Se Garden Kashi Karne Lage Toh Ham Ne Un Ko Hukum Dia Ke Zaleel Bandar Ho Jao.

167
Aur Us Waqt Ko Yaad Karo Jab Tumhare Parwardigaar Ne
Yahood Ko Aagaah Kar Dia Tha, Ke Wo Un Par Qiamat Tak Aise Shakhs Ko Musallat Rakhe Ga Joh Un Ko Buri Brui Takleefain Deta Rahe.Be Shak Tumhara Parwardigaar Jald Azaab Karne Wala Hai Aur Wo Bakhashne Wala Meherbaan Bhi Hai.

168
Aur Ham Ne Un Ko Jamaat Jamaat Kar Ke Mulk Main Muntashir Kar Dia .Baaz Un Main Se Naiko Kaar Hain Aur Baaz Aur Tarha Ke Yaani Badkaar Aur Ham Aasaaishoun Aur Takleefoun Dono Se Un Ki Aazmaaish Karte Rahe Taa-Ake Hamari Taraf Rujoo Karain.

169
Phir Un Ke Baad Na Khalf Un Ke Qaaim Muqaam Hue Joh Kitaab Ke Waris Bane.Ye Be Taammul Is Duniya-E-Fani Ka Maal-O-Mataa Le Lete Hain Aur Kehte Hain Ke Ham Bakhsh Diye Jaye Ge.Aur Loug Aison Par Taan Karte Hain Agar Un Ke Saamne Bhi Waisa Hi Maal Aa Jata Hai Toh Wo Bhi Use Le Lete Hain.Kia Un Se Kitaab Ki Nisbat Ehed Nahi Liya Gaya Ke Khuda Par Sach Ke Siwa Aur Kuch Nahi Kahain Ge.Aur Joh Kuch Is Kitaab Main Hai Us Ko Unhoun Ne Parh Bhi Liya Hai. Aur Aakhrat Ka Ghar, Parhaizgaroun Ke Liye Behtar Hai Kia Tum Samajhte Nahi.

170
Aur Joh Loug Kitaab Ko Mazboot Pakre Hue Hain Aur Namaz Ka Intizaam Rakhte Hain Un Ko Ham Ajar Dain Ge Ke Ham Naiko Kaaroun Ka Ajar Zaaya Nahi Karte.

171
Aur Jab Ham Ne Un Ke Saroun (Heads) Par Pahaar Utha Kahara Kia, Goya Wo Saaibaan Tha Aur Unhoun Ne Khayal Kia Ke Wo Un Par Girta Hai Toh Ham Ne Kaha Ke Joh Ham Ne Tumhain Dia Hai Use Zor Se Pakre Raho.Aur Joh Us Main Likha Hai Us Par Amal Karo Taa-Ake Bach Jaao.

172
Aur Jab Tumhare Parwaridigaar Ne Bani Aadam Se Yaani Un Ki Peethoun Se Un Ki Aulaaad Nikali Toh Un Se Khud Un Ke Muqaable Main Iqraar Kara Liya Yaani Un Se Poocha Ke Kia Main Tumahra Parwardigaar Nahi Hoon.Wo Kehne Lage Kion Nahi Ham Gawah Hain Ke Tu Hamara Parwardigaar Hai.Yeh Iqraar Isliye Karaya Tha Ke Qiamat Ke Din Kahin Youn Na Kehne Lago Ke Ham Ko Toh
Is Ki Khabar Hi Na Thi.

173
Ya Ye Na Kaho Ke Shirk Toh Pehle Hamare Baroun Ne Kia Tha.Aur Ham Toh Un Ki Aulad The Jo Un Ke Baad Paida Hue.Toh Kia Joh Kaam Ehl-E-Baatil Karte Rahe Us Ke Badle Tu Hamain Halaak Karta Hai.

174
Aur Isi Tarha Ham Apni Aayatain, Khol Khol Kar Biyaan Karte Hain, Taa-Ake Ye Rujoo Karen.

175
Aur Un Ko Us Shakhs Ka Haal Parh Kar Suna Do Jis Ko Ham Ne Apni Aayatain Ata Farmaayen Aur Hift Paarrcha-E-Ilm Sharaae Se Muzaiian Kia Toh Is Ne Un Ko Utaar Dia Phir Shaitaan Us Ke Peeche Laga Toh Wo Gumrahoun Main Ho Gaya.

176
Aur Agar Ham Chahate Toh In Aayatoun Se Us Ke Darje Ko Buland Kar Dete Magar Wo Toh Pasti Ki Taraf Maiel Hogaya Aur Apni Khuahish Ke Peeche Chal Para.Toh Us Ki Misaal Kutte Ki Si Ho Gai Ke Agar Sakhti Karo Toh Zabaan Nikaale Rahe Aur Youn Hi Chor Do Toh Bhi Zabaan Nikale Rahe.Yeh Hi Misaal Un Lougon Ki Hai Jinhoun Ne Hamari Aayatoun Ko Jhutlaya Toh Us Se Ye Qisaa Biyaan Kar Do.Taa-Ake Wo Fikar Karen.

177
Jin Lougon Ne Hamari Aayatoun Ki Takzeeb Ki, Un Ki Misaal Buri Hai Aur Unhoun Ne Nuqsaan Kia Toh Apna Hi Kia.

178
Jis Ko Khuda Hidayat De Wohi Raah Yaab Hai Aur Jis Ko Gumraah Kare Toh Aise Hi Loug Nuqsaan Uthane Wale Hain.

179
Aur Ham Ne Bohot Se Jin Aur Insaan Dozakh Ke Liye Paida Kiye Hain.Un Ke Dil Hain Lekin Un Se Samajhte Nahi Aur Un Ki Aankhain Hain Magar Un Se Daikhte Nahi Aur Un Ke Kaan Hain Par Un Se Sunte Nahi.Yeh Loug Bilkul Chaarpaayoun Ki Tarha Hain Balke Un Se Bhi Bhatke Hue.Yeh Wo Hain Joh Gaflat Main Pare Hue Hain.

180
Aur Khuda Ke Sab Naam Ache Hi Ache Hain.Toh Us Ko Us Ke Namouun Se Pukara Karo Aur Joh Loug Us Ke Namoun Main Kajji Ikhtiyaar Karte Hain Unko Chor Do.Wo Joh Kuch Kar Rahe Hain Anqareeb Us Ki Saza Paayen Ge.

181
Aur Hamari Makhlooqaat Main Se Aik Wo Loug Hain, Joh Haq Ka Raasta Batate Hain Aur Usi Ke Sath Insaaf Kartre Hain.

182
Aur Jin Lougon Ne Hamari Aayatoun Ko Jhutlaya Un Ko Batadreej Is Tareeqe Se Pakrain Ge Ke Unko Maloom Hi Na Hoga.

183
Aur Main Un Ko Mohlat Diye Jata Hoon Meri Tadbeer Bari Mazboot Hai.

184
Kia Unhoun Ne Ghor Nahi Kia Ek Un Ke Fareeq Muhammad S.A.W. Ko Kisi Tarha Ka Bhi Junoon Nahi Hai.Woh Toh Zaahir Zahoor Dar Sunane Wale Hain.

185
Kia Unhoun Ne Aasmaan Aur Zameen Ki Baadshahhat Main, Aur Joh Cheezain Khuda Ne Paida Ki Hain Un Par Nazar Nahi Ki Aur Is Baat Par Khayal Nahi Kia Ke Ajab Nahi Un Ki Mout Ka Waqt Nazdeek Pohonch Gaya Ho.Toh Us Ke Baad Wo Aur Kis Baat Par Eemaan Layen Ge.

186
Jis Shakhs Ko Khuda Gumrrah Kare Us Ko Koi Hidayat Dene Wala Nahi Aur Wo Un Gumrahoun Ko Chore Rakhta Hai Ke Apni Sarkashi Main Pare Behekte Rahain.

187
Ye Loug Tum Se Qiamat Ke Bare Main Poochte Hain, Ke Us Ke Waaqe Hone Ka Waqt Kab Hai.Keh Do Ke Is Ka Ilm Toh Mere Parwardigaar Hi Ko Hai.Wo Hi Usse Us Ke Waqt Par Zaahir Kar De Ga.Wo Aasmaan-O-Zameen Main Aik Bhaari Baat Hogi Aur Nagaahan Tum Par Aa Jaye Gi.Ye Tum Se Is Tarha Daryaaft Karte Hain Ke Goya Tum Is Se Bakhoobi Waqif Ho.Kaho Ke Is Ka Ilm Toh Khuda Hi Ko Hai Lekin Aksar Loug Ye Nahi Jante.

188
Keh Do Ke Main Apne Faaide Aur Nuqsaan Ka Kuch Bhi Ikhtiyaar Nahi Rakhta, Magar Joh Khuda Chaahe, Aur Agar Main Gaib Ki Baatain Janta Hota Toh Bohot Se Faaide Jama Kar Leta, Aur Mujh Ko Koi Takleef Na Pohonchti .Main Toh Momino Ko Dar Aur Khushkhabri Sunane Wala Hoon.

189
Wo Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Tum Ko Aik Shakhs Se Paida Kia Aur Us Se Us Ka Jora Banaya Taa-Ake Us Se Raahat Hasil Kare.So Jab Wo Us Ke Paas Jata Hai Toh Usse Halka Sa Hamal Reh Jata Hai Aur Wo Us Ke Sath Chalti Phirthi Hai.Phir Jab Kuch Bojh Maloom Karti Yaani Bacha Pait Main Bara Hota Hai Toh Dono Miyan Bivi Apne Parwardigaar Khuda-E-Azzojal Se Iltija Karte Hain Ke Agar Tum Hamain Sahi-O-Salim Bacha De Ga, Toh Ham Tere Shukar Guzaar Hounge.

190
Jab Wo Un Ko Sahee-O-Saalim Bacha Deta Hai Toh Us Bache Main, Joh Wo, Un Ko Deta Hai, Us Ka Shareek Muqarrar Karte Hain.Joh Wo Shirk Karte Hain Khuda Ka Rutba Us Se Buland Hai.

191
Kia Wo Aisoun Ko Shareek Banate Hain Joh Kuch Bhi Paida Nahi Kar Sakte Aur Khud Paida Kiye Jate Hain.

192
Aur Na Un Ke Madad Ki Taqat Rakhte Hain Aur Na Apni Hi Madad Kar Sakte Hain.

193
Agar Tum Un Ko Seedhe Raste Ki Taraf Bulao To Tumhara Kaha Na Maanain.Tumahre Liye Barabaar Hai Ke Tum Un Ko Bulao, Ya Chipke Ho Raho.

194
Mushriko Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa Pukaarte Ho Tumhari Tarha Ke Bande Hi Hain Acha Tum Un Ko Pukaro Agar Sache Ho Toh Chahiye Ke Wo Tum Ko Jawab Bhi Dain.

195
Bhala Un Ke Paaon Hain Jin Se Chalain, Ya Hath Hain Jin Se Pakrain, Ya Aankahin Hain Jin Se Daikhain Ya Kaan Hain Jin Se Sunain? Keh Do Ke Apne Shareekoun Ko Bula Lo Aur Mere Bare Main Joh Tadbeer Karni Ho Kar Lo Aur Mujhe Kuch Mohlat Bhi Na Do Phir Daikho Ke Wo Mera Kia Kar Sate Hain.

196
Mera Madadgaar Toh Khuda Hi Hai Jis Ne Kitaab Barhaq Nazil Ki.Aur Naik Lougon Ka Wo Hi Dostdaar Hai.

197
Aur Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa Pukaarte Ho, Wo Na Tumahri Hi Madad Ki Taaqat Rakhte Hain Aur Na Khud Hi Apni Madaad Kar Sakte Hain.

198
Aur Agar Tum Un Ko Seedhe Rasete Ki Taraf Bulao Toh Sun Na Sakain Aur Tum Unhain Daikhte Ho, Ke Bazahir Aankhain Khole Tumharei Taraf Daikh Rahe Hain Magar Filwaaqe Kuch Nahi Daikhte.

199
Ae Muhammad .S.A.W. Uffu Ikhtiyaar Karo, Aur Naik Kaam Karne Ka Hukum Do, Aur Jaahiloun Se Kinara Kar Lo.

200
Aur Agar Shaitaan Ki Taraf Se Tumahre Dil Main Kisi Tarha Ka Waswasa Paida Ho Toh Khuda Se Panaah Mango.Be Shak Wo Sunne Wala Aur Sab Kuch Jaan-Ne Wala Hai.

201
Joh Loug Parhaizgaar Hian Jab Unko Shaitaan Ki Taraf Se Koi Waswasa Paida Hota Hai Toh Chounk Parte Hain Aur Dil Ki Aankhain Khol Kar Daikhne Lagte Hain.

202
Aur Un Kuffar Ke Bhai Unhain Gumrahi Main Khainche Jate Hain Phir Is Main Kisi Tarha Ki Kotaahi Nahi Karte.

203
Aur Jab Tum Un Ke Paas Kuch Dinoun Tak Koi Aaayat Nahi Late, Toh Kehte Hain Ke Tum Ne Apni Taraf Se Kion Nahi Bana Li.Keh Do Ke Main Toh Usi Hukum Ki Pairwi Karta Hoon Joh Mere Parwardigaar Ki Taraf Se Mere Paas Aata Hai.Yeh Quraan Tumahre Parwardigaar Ki Janib Se Daanish-O-Baseerat Aur Momino Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Hai.

204
Aur Jab Quraan Parha Jaye Toh Tawajoh Se Suna Karo Aur Khamosh Raha Karo Taa-Ake Tum Par Rehem Kia Jaye.

205
Aur Apne Parwardigaar Ko Dil Hi Dil Main Aajzi Aur Khof Se Aur Past Awaaz Se Subh-O-Shaam Yaad Karte Raho Aur Daikhna Gaafil Na Hona.

206
Joh Loug Tumhare Parwardigaar Ke Paas Hain Wo Us Ki Ibadat Se Garden Kashi Nahi Karte Aur Us Paak Zaat Ko Yaad Karte Aur Us Ke Aage Sajde Karte Rehte Hain.

^^^^^^^^^^^^^^

SADAQALLAH-UL-AZEEM

By admin