14-Soorah-e-Ibraahim-Aayaat-52

ibrahem-279x160

    Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Wala Hai.

1
Alif Laam Raa. Yeh Aik Purr Noor Kitaab Hai Is Ko Ham Ne Tum Par Isliye Nazil Kia Hai Keh Lougon Ko Andhaire Se Nikaal Kar Roshni Ki Taraf Le Jaao, Yaani Un Ke Parwardigaar Ke Hukum Se Galib Aur Qaabil-E-Taareef Khuda Ke Raste Ki Taraf.

2
Wo Khuda Keh Joh Kuch Aasmaanoun Aur Zameen Main Hai Sab Usssi Ka Hai. Aur Kafiroun Ke Liye Azaab-E-Sakht Ki Waja Se Kharabi Hai.

3
Joh Aakhrat Ki Nisbat Dunia Ko Pasand Karte Aur Lougon Ko Khuda Ke Raste Se Rokte Aur Us Main Kajji Chahate Hain. Yeh Loug Parlle Sire Ki Gumraahi Main Hain.

4
Aur Ham Ne Koi Paigambar Nahi Bhaija, Magar Apni Qoum Ki Zabaaan Bolta Tha Taa-Ake Unhain Ehkaam-E-Khuda Khol Khol Kar Bata De. Phir Khuda Jisse Chahta Hai Gumraah Karta Hai Aur Jisse Chahta Hai Hidayat Deta Hai Aur Wo Galib Aur Hikmat Wala Hai.

5
Aur Ham Ne Moosa A.S. Ko Apni Nishaaniyan De Kar Bhaija Ke Apni Qoum Ko Tareeki Se Nikaal Kar Roshni Main Le Jaao . Aur Un Ko Khuda Ke Din Yaad Dilaao Aur Is Main Un Lougon Ke Liye Joh Saabir-O-Shakir Hain Qudrat-E-Khuda Ki Nishaaniyan Hain.

6
Aur Jab Moosa A.S. Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Khuda Ne Joh Tum Par Meherbaaniyan Ki Hain Un Ko Yaad Karo Jab Ke Tum Ko Firown Ki Qoum Ke Hath Se Mukhlasi Di, Wo Loug Tumhain Bare Azaab Dete, The Aur Tumhare Baiton Ko Maar Daalte The, Aur Aurat Zaat Yaani Tumhari Larkiyoun Ko Zinda Rehne Dete The, Aur Us Main Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Sakht Aazmaaish Thi.

7
Aur Jab Tumhare Parwardigaar Ne Tum Ko Aagaah Kia Ke Agar Shukar Karo Ge Toh Main Tumhain Ziada Doonga Aur Agar Na Shukri Karo Ge Toh Yaad Rakho Ke Mera Azaab Bhi Sakht Hai.

8
Aur Moosa A.S. Ne Saaf Saaf Keh Dia Ke Agar Tum Aur Jitney Aur Loug Zameen Main Hain Sab Ke Sab Nashukrai Karo, Toh Khuda Bhi Be Naiyaaz Aur Qaabil-E-Taareef Hai.

9
Bhala Tum Ko Un Lougon Ke Halaat Ki Khabar Nahi Pohonchi Joh Tum Se Pehle The Yaani Nooh Aur Aad Aur Samood Ki Qoum. Aur Joh Un Ke Baad The. Jin Ka Ilm Khuda Ke Siwa Kisi Ko Nahi, Jab Un Ke Paas Paigambar Nishaaniyan Le Kar Aaye Toh Unhoun Ne Apne Hath Un Ke Moohoun Par Rakh Diye Ke Khamosh Raho Aur Kehne Lage Keh Ham Toh Tumhari Risalat Ko Tasleem Nahi Karte Aur Jis Cheez Ki Taraf Tum Hamain Bulate Ho Ham Us Se Qawi Shak Main Hain.

10
In Ke Paigambaroun Ne Kaha Kia Tum Ko Khuda Ke Bare Main Shak Hai Joh Aasmaanoun Aur Zameen Ka Paida Karne Wala Hai. Wo Tumhain Is Liye Bulata Hai Ke Tumhare Gunnaah Bakhshe Aur Faaida Pohonchane Ke Liye Aik Muddat Muqarrar Tak Tum Ko Mohlat De. Wo Bole Ke Tum Toh Hamare Hi Jaise Aadmi Ho. Tumhari Yeh Manshaa Hai Ke Jin Cheezoun Ko Hamare Bare Poojte Rahe Hain Un Ke Poojne Se Ham Ko Band Kar Do, Toh Acha Koi Khuli Daleel Laao Yaani Mojza Dikhao.

11
Paigambaroun Ne Un Se Kaha Ke Haan Ham Tumhare Hi Jaise Admi Hain. Lekin Khuda Apne Bandoun Main Se Jis Par Chahta Hai Naboowat Ka Ehsaan Kartra Hai, Aur Hamre Ikhtiyaar Ki Baat Nahi Ke Ham Khuda Ke Hukum Ke Bagair Tum Ko Tumhari Farmaaish Ke Mutabiq Mojza Dikhayen Aur Khuda Hi Par Mominoun Ko Bharosa Rakhna Chahiye.

12
Aur Ham Kion Kar Khuda Par Bharosa Na Rakhain Halanke Un Se Ham Ko Hamare Deen Ke Seedhe Raste Bataye Hain. Aur Joh Takleefain Tum Ham Ko Dete Ho, Us Par Sabar Karen Ge. Aur Ehl-E-Tawakkal Ko Khuda Hi Par Bhaorsa Rakhna Chahiye.

13
Aur Joh Kaafir The Unhoun Ne Apne Paigamaroun Se Kaha Ke Ya Toh, Ham Tum Ko Apne Mulk Se Bahar Naikaal Dainge, Ya Hamare Mazhab Main Daakhil Ho Jao. Toh Parwardigar Ne Un Ki Taraf Wahi Bhiaji Ke Ham Zaalimoun Ko Halak Kar Dainge.

14
Aur Un Ke Baad Tumko Us Zameen Main Aabaad Kar Dainge. Ye Us Shakhs Ke Liye Hai Joh Qiamat Ke Roz Mere Saamne Khare Hone Se Dare Aur Mere Azaab Se Khof Kare.

15
Aur Paigambaroun Ne Khuda Se Apni Fataah Chahi Toh Har Sarkash Ziddi Na Muraad Reh Gaya.

16
Us Ke Peeche Dozakh Hai Aur Usse Peep Ka Paani Pilaya Jaye Ga.

17
Wo Us Ko Ghoont Ghoont Piye Ga Aur Gale Se Nahi Utaar Sake Ga, Aur Har Taraf Se Usse Mout Aa Rahi Hogi, Magar Wo Marne Main Nahi Aaye Ga. Aur Us Ke Peeche Sakht Azaab Ho Ga.

18
Jin Lougon Ne Apne Parwardigaar Se Kufur Kia Un Ke Aamaal Ki Misaal Raakh Ki Si Hai Ke Aandhi Ke Din Us Par Zor Ki Hawa Chale Aur Usse Ura Le Jaye, Issi Tarha Joh Kaam Wo Karte Rahe Un Par Un Ko Kuch Dastaras Na Hogi. Yeh Toh Parle Sire Ki Gumrahi Hai.

19
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Khuda Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Tadbeer Se Paida Kia Hai. Agar Wo Chahe Toh Tum Ko Nabood Kar De Aur Tumhari Jaga Nai Makhlooq Paida Kar De.

20
Aur Ye Khuda Ko Kuch Bhi Mushkil Nahi.

21
Aur Qiamat Ke Din Sab Loug Khuda Ke Saamne Khare Honge, Toh Zaeef-Ul-Aqal (Kam Aqal) Muttbae Apne Roo-E-Saye Muttkabreen Se Kahain Ge Ke Ham Toh Tumhre Pairo The. Kia Tum Khuda Ka Kuch Azaab Ham Par Se Rafaa Kar Sakte Ho. Wo Kahinge Ke Agar Khuda Ham Ko Hidayat Karta Toh Ham Tum Ko Hidayat Karte. Ab Ham Ghabraayain Ya Sabar Karain Hamare Haq Main Barabar Hai.Koi Jaga Guraiz Aur Rihayee Ki Hamare Liye Nahi Hai.

22
Jab Hisab-E-Kitaab Ka Kaam Faisal Ho Chuke Ga, Toh Shaitaan Kahe Ga Joh Waada Khuda Ne Tum Se Kia Tha Wo Toh Sacha Tha, Aur Joh Wada Main Ne Tum Se Kia Tha Wo Jhoota Tha. Aur Mera Tum Par Kisi Tarha Ka Zor Nahi Tha. Haan Main Ne Tum Ko Gumrahi Aur Batil Ki Taraf Bulaya Toh Tum Ne Jaldi Se Aur Be Daleel Mera Kahna Maan Liya. Toh Aaj Mujhe Malamat Na Karo. Apne Aap Hi Ko Malamat Karo. Na Main Tumhari Faryaad Rasi Kar Sakta Hoon Aur Na Tum Meri Faryaad Rasi Kar Sakte Ho. Main Is Baat Se Inkar Karta Hoon Ke Tum Pehle Mujhe Shareek Banate The. Be Shak Joh Zalim Hain Un Ke Liye Dard Dene Wala Azaab Hai.

23
Aur Joh Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Kiye Wo Behshatoun Main Dakhil Kiye Jayen Ge, Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain, Apne Parwardigar Ke Hukum Se Hamesha Un Main Rahain Ge. Wahan Un Ki Sahib-E-Salamat Salam Hoga.

24
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Khuda Ne Paak Baat Ki Kaisi Misaal Bayan Farmayee Hai, Wo Aisi Hai Jaise Pakeeza Darakht, Jis Ki Jar Muzboot Yaani Zameen Ko Pakre Hue Ho Aur Shaakhain Aasmaan Main.

25
Apne Parwardigaar Ke Hukum Se Har Waqt Phal Laata Aur Mewe Deta Ho. Aur Khuda Lougon Ke Liye Misaalian (Examples) Bayan Fermata Hai Taa-Ake Wo Naseehat Pakrain.

26
Aur Napaak Baat Ki Misaal Na Paak Darakht (Tree) Ki Si Hai Na Jar Mustahkam Na Shaakhain Buland, Zameen Ke Oopar Hi Se Ukhair Kar Phaink Dia Jaye, Us Ko Zara Bhi Qaraar-O-Sabaat Nahi.

27
Khuda Mominoun Ke Diloun Ko Sahee Aur Pakki Baat Se Dunai Ki Zindagi Main Bhi Mazboot Rakhta Hai Aur Aakhrat Main Bhi Rakhe Ga, Aur Khuda Be Insafoun Ko Gumraah Kar Deta Hai Aur Khuda Joh Chahta Hai Karta Hai.

28
Kia Tum Ne Un Lougon Ko Nahi Daikha Jinhoun Ne Khdua Ke Ehsaan Ko Na Shukri Se Badal Dia. Aur Apni Qoum Ko Tabahi Ke Ghar Main Utara.

29
Wo Ghar Dozakh Hai. Sab Nashukre Us Main Dakhil Hounge. Aur Wo Bura Thikhana Hai.

30
Aur Un Lougon Ne Khuda Ke Shareek Muqarrar Kiye, Ke Lougon Ko Us Ke Raste E Gumraah Karen. Keh Do Ke Chand Roz Faaide Utha Lo Aakhir Kaar Tum Ko Dozakh Ki Taraf Lout Kar Jana Hai.

31
Ae Paigambar S.A.W. Mere Momin Bandoun Se Keh Do Ke Namaaz Parha Karen, Aur Us Din Ke Aane Se Paishtar Jis Main Na Amaal Ka Soda Hoga Aur Na Dosti Kaam Aye Gi Hamre Diye Hue Maal Main Se Dar Parda Aur Zahir Kharch Karte Rahain.

32
Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Paida Kia Aur Aasmaan Se Meenh (Rain) Barsaya, Phir Us Se Tumhare Khaane Ke Liye Phal Paida Kiye. Aur Kashtiyon Aur Jahaazoun Ko Tumhare Zer-E-Farmaan Kia, Taa-Ake Darya Aur Samandar Main Us Ke Hukum Se Chalin. Aur Nehroun Ko Bhi Tumhare Zer-E-Farmaan Kia.

33
Aur Sooraj Aur Chand Ko Tumhare Liye Kaam Main Laga Dia Ke Dono Din Raat Aik Dastoor Par Chal Rahe Hain. Aur Raat Aur Din Ko Bhi Tumhari Khatir Kaam Main Laga Dia.

34
Aur Joh Kuch Tum Ne Manga Sab Main Ne Tum Ko Inayat Kia. Aur Agar Khuda Ke Ehsaan Gin-Ne Lago Toh Shumar Na Kar Sako. Magar Loug Naimatoun Ka Shukar Nahi Karte. Kuch Shak Nahi Ke Insaan Bara Be Insaaf Aur Na Shukar Hai.

35
Aur Jab Ibrahim Ne Dua Ki Ke Mere Parwardigaar Is Sheher Ko Lougon Ke Liye Aman Ki Jaga Bana De. Aur Mujhe Aur Meri Aulad Ko Is Baat Se,Ke Buttoun Ki Parastish Karne Lagain, Bachaye Rakh.

36
Ae Parwardigaar Unhon Ne Bohot Se Lougon Ko Gumraah Kia Hai.So Jis Shakhs Ne Mera Kaha Mana Wo Mera Hai . Aur Jis Ne Meri Nafarmani Ki
Toh Tu Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

37
Ae Parwardigaar Main Ne Apni Aulad Maindaan-E-Makkah Main Jahan Khaiti Nahi, Tera Izat-O-Adab Wale Ghar Ke Paas Laa Basaye Hai. Ae Parwardigaar Taa-Ake Ye Namaz Parhain ,Toh Lougon Ke Diloun Ko Aisa Kar De Ke In Ki Taraf Jhuke Rahain, Aur Un Ko Maiwoun Se Rozi De Taa-Ake Tera Shukar Karain.

38
Ae Parwardigaar Joh Baat Ham Chupate Aur Joh Zahir Karte Hain, Tu Sab Jaanta Hai. Aur Khuda Se Koi Cheez Makhfi (Hidden) Nahi, Na Zameen Main Na Aasmaan Main.

39
Khuda Ka Shukar Hai Jis Ne Mujh Ko Bari Umar Main Ismaail Aur Ishaaq Bakhshe. Be Shak Mera Parwardigar Dua Sun-Ne Wala Hai.

40
Ae Parwardigaar Mujh Ko Aisi Toufeeq Inayat Kar Ke Namaz Parhta Rahoon Aur Meri Aulad Ko Bhi Yeh Toufeeq Bakhash, Ae Parwardigaar Meri Dua Qabool Farma.

41
Ae Parwaredigaar Hisab Kitaab Ke Din Mujh Ko Aur Mere Maan Baap Ko Aur Mominoun Ko Maghfirat Kijiyo.

42
Aur Momino Mat Khayal Karna Ke Ye Zalim Joh Amal Kar Rahe Hain, Khuda Un Se Be Khabar Hai. Wo Un Ko Us Din Tak Mohlat De Raha Hai Jab Ke Dehshat Ke Sabab Aanakhain Khuli Ki Khuli Reh Jayen Gi.

43
Aur Loug Sar Uthaye Hue Maidaan-E-Qiamat Ki Taraf Dour Rahe Hounge, Un Ki Nigaahain Un Ki Taraf Lout Na Sakaingi, Aur Un Ke Dil Mare Khof Ke Hawa Ho Rahe Hounge.

44
Aur Lougon Ko Us Din Se Aagaah Kar Do Jab Un Par Azab Aa Jaye Ga, Tabb Zalim Loug Kahain Ge Keh Ae Hamare Parawardigar Hamain Thori Si Mudaat Mohlat Ata Kar. Taa-Ake Teri Daawat-E-Touheed Qabool Karain, Aur Tere Paigambaroun Ke Peeche Chalain, Toh Jawab Mile Ga Kia Tum Pehle Qasmain Nahi Khaya Karte The, Ke Tum Ko Is Haal Se Jis Main Tum Ho Zawal Aur Qiamat Ko Hisaab-E-Aamaal Nahi Hoga.

45
Aur Joh Loug Ane Aap Par Zulm Karte The, Tum Un Ke Makaanoun Main Rehte The, Aur Tum Par Zahir Ho Chukka Tha Ke Ham Ne Un Lougon Ke Sath Kis Tarha Ka Moaamla Kia Tha Aur Tumhare Samjhane Ke Liye Misalain Bhi Bayan Kar Di Theen.

46
Aur Unhoun Ne Bari Bari Tadbeerain Keen Aur Un Ki Sab Tadbeerain Khuda Ke Haan Likhi Hui Hain, Go Wo Tadbeerain Aisi Gazab Ki Theen Ke Un Se Pahar Bhi Tall Jayen.

47
Toh Aisa Khayal Na Karna Ke Khuda Ne Joh Apne Paigambaroun Se Waada Kia Hai Us Ke Khilaf Kare Ga, Be Shak Khuda Zabardast Aur Badla Lene Wala Hai.

48
Jis Din Ye Zameen Doosri Zameen Se Badal Di Jaye Gi Aur Aasmaan Bhi Badal Diye Jayen Ge Aur Saab Loug Khuda-E-Yagaana-O-Zabardast Ke Saamne Nikal Khare Hounge.

49
Aur Us Din Tum Gunnehgaaroun Ko Daikho Ge Ke Zanjeeroun Main Jakre Hue Hain.

50
Un Ke Kurrte Gandhak (Sulpher) Ke Hounge Aur Un Ke Moohoun (Faces) Ko Aag Lapat Rahi Hogi.

51
Ye Is Liye Ke Khuda Har Shakhs Ko Us Ke Aamaal Ka Badla De. Be Shak Khuda Jald Hisab Lene Wala Hai.

52
Yeh Quraan Lougon Ke Naam Khuda Ka Paigaam Hai Taa-Ake Un Ko Us Se Daraya Jaye, Aur Taa-Ake Wo Jaan Lain Ke Wo Hi Akaila Maabood Hai Aur Taa-Ake Ehl-E-Aqal Naseehat Pakrain.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

By admin