Shroo Allah Ke  Naam Se Joh Bara Meherban Aur Rehem Wala Hai.

 

1

Khuda Ka Hukum Yaaani Azaab Goya Aahi Pohoncha Toh Kaafiro Us Ke Liye Jaldi Mat Karo.Yeh Loug Joh Khuda Ka Shareek Banate Hain Wo Is Se Paak Aur Balatar Hai.

 

2

Wo Hi Farishtoun Ko Paighaam De Kar Apne Hukum Se Apne Bandoun Main Se Jis Ke Paas Chahata Hai Bhaijta Hai Keh Lougon Ko Bata Do Ke Mere Siwa Koi Maabood Nahi Toh Mujhi Se Daro.

 

3

Ussi Ne Aasmanoun Aur Zameen Ko Mabni Bar Hikmat Paida Kia. Us Ki Zaat Un Kafiroun Ke Shirk Se Oonchi Hai.

 

4

Ussi Ne Insan Ko Nutfe Se Banaya Magar Wo Us Khaliq Ke Bare Main Ailaaniya Jhagarne Laga.

 

5

Aur Chaar Paayon Ko Bhi Ussi Ne Paida Kia. In Main Tumhare Liye Jarawal Aur Bohot Se Faaide Hain Aur Un Main Se Baaz Ko Tum Khate Bhi Ho.

 

 

6

Aur Jab Shaam Ko Unhain Jungle Se Laate Ho Aur Jab Subha Ko Jungle Charane Le Jaate Ho Toh Un Se Tumhari Izzat-O-Shaan Hai.

 

7

Aur Door Daraaz Shehroun(Cities) Main Jahan Tum Zehmat-E-Shaaqa Ke Bagair Pohonch Nahi Sakte,Wo Tumhare Bojh Utha Kar Le Jaate Hain. Kuch Shak Nahi Ke Tumhara Parwardigaar Nihayat Shafqat Wala Aur Meherbaan Hai.

 

8

Aur Ussi Ne Ghore(Hourses) Aur Khachar Aur Gadhe Paida Kiye Taa-Ake Tum Un Par Sawar Ho, Aur Wo Tumhare Liye Ronaq-O-Zeenat Bhi Hain Aur Wo Aur Cheezain Bhi Paida Karta Hai Jin Ki Tum Ko Khabar Nahi.

 

9

Aur Seedha Rasta Toh Khuda Tak Ja Pohonchta Hai.Aur Baaz Raste Tairhe Hain Wo Us Tak Nahi Pohonchte Aur Agar Wo Chahata Toh Tum Sab Ko Seedhe Raste Par Chala Deta.

 

10

Wo Hi Toh Hai Jis Ne Aasmaan Se Paani Barsaya Jisse Tum Peete Ho Aur Us Se Darakht(Trees)  Bhi Shaadab Hote Hain Jin Main Tum Apne Chaarpaayoun Ko Charate Ho.

 

11

Ussi Paani Se Wo Tumhare Liye Khaiti Aur Zaitoon (Olive)Aur Khajoor(Dates) Aur Angoor(Grapes) Aur Be Shumaar Darakht Ugata Hai. Aur Har Tarha Ke Phal(Fruits) Paida Karta Hai, Gour Karne Waloun Ke Liye Is Main Qudrat-E-Khuda Ki Bari Nishani Hai.

12

Aur Ussi Ne Tumhare Liye Raat Aur Din Aur Sooraj(Sun) Aur Chand(Moon) Ko Kaam Main Lagaya. Aur Usse Ki Hukum Se Sitare(Stars) Bhi Kaam Main Lage Hue Hain. Samajhne Waloun Ke Liye Is Main Qudrat-E-Khuda Ki Bohot Si Nishaniyan Hain.

 

13

Aur Joh Tarha Tarha Ke Rangoun(Colours) Ki Cheezain Us Ne Zameen Main Paida Keen Sab Tumhare Zair-E-Farmaan Kar Deen Naseehat Pakarne Waloun Ke Liye Is Main Nishani Hai.

 

14

Aur Wo Hi Toh Hai Js Ne Darya(River) Ko Tumhare Ikhtiyaar Main Kia Taa-Ake Us Main Se Taaza Gosht(Means Sea Food) Khao Aur Uss Se Zaiwar Moti Waigara Nikalo Jisse Tum Pehente Ho. Aur Tum Daikhte Ho Ke Kashtiyan(Boats) Darya Main Paani Ko Phaarti Chali Jati Hain. Aur Is Liye Bhi Darya Ko Tumhare Ikhtiyar Main Kia Ke Tum Khuda Ke Fazal Se Moaash(Earnings) Talash Karo Taa-Ake Us Ka Shukar Karo.

 

15

Aur Ussi Ne Zameen Par Pahaar(Mountains) Bana Kar Rakh Diye Ke Tum Ko Le Kar Kahin Jhuk Na Jaye Aur Nehrain Aur Raste Bana Diye Taa-Ake Aik Maqaam Se Doore Maqaam Tak Asaani Se Ja Sako.

 

16

Aur Raastoun Main Nishanaat Bana Diye Aur Loug Sitaroun Se Bhi Raste Maloom Karte Hain.

17

Toh Joh Itni Makhlooqaat Paida Kare.Kia Wo Waisa Hai Joh Kuch Bhi Paida Na Kar Sake, Toh Phir Tum Ghour Kion Nahi Karte?

 

18

Aur Agar Tum Khuda Ki Naimatoun Ko Shumar Karna Chaho Toh Gin(Count) Na Sako. Be Shak Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

 

19

Aur Joh Kuch Tum Chupate Aur Joh Kuch Zaahir Karte Ho Sab Se Khuda Waqif Hai.

 

20

Aur Jin Lougon Ko Yeh Khuda Ke Siwa Pukarte Hain Wo Koi Cheez Bhi Toh Nahi Bana Sakte Balke Khud Un Ko Aur Banate Hain.

 

21

Wo Laashain Hain Be Jaan. Un Ko Yeh Bhi Toh Maloom Nahi Ke Uthaye Kab Jayen Ge.

 

22

Tumhara Maabood Toh Akaila Khuda Hai. Toh Joh Aakhrat Pe Eemaan Nahi Rakhte Un Ke Dil Inkar Kar Rahe Hain Aur Wo Sarkash Ho Rahe Hain.

 

23

Ye Joh Kuch Chupate Hain Aur Joh Zahir Karte Hain Khuda Us Ko Zaroor Jaanta Hai.Wo Khuda Sarkashoun Ko Har Gizz Pasand Nahi Karta.

 

 

24

Aur Jab In Kaafiroun Se Kaha Jata Hai Ke Tumhare Parwardigar Ne Kia Utara Hai Toh Kehte Hain Ke Wo Toh Pehle Lougon Ki Hikayatain Hain.

 

25

Ae Paigambar Un Ko Bakne Do Yeh Qiamat Ke Din Apne Aamaal Ke Pooore Bojh Bhi Uthayen Ge Aur Jin Ko Yeh Be Tehqeeq Gumrah Karte Hain Un Ke Bojh Bhi Uthayen Ge. Sunn Rakho Ke Joh Bojh Ye Utha Rahe Hain, Bure Hain.

 

26

Un Se Pehle Lougon Ne Bhi Aisi Hi Makkaariyan Ki Theen Toh Khuda Ka Hukum Un Ki Imarat Ke Satoonoun Par Aa Pohoncha Aur Chat Un Par Un Ke Oopar Se Girr Pari Aisi Taraf Se Un Par Azaab Aa Waqee Hua Jahan Se Un Ko Khayal Bhi Na Tha.

 

27

Phir Wo Un Ko Qiamat Ke Din Bhi Zaleel Kare Ga Aur Kahe Ga Ke Mere Wo Shareek Kahan Hain Jin Ke Bare Main Tum Jhagra Karte The. Jin Lougon Ko Ilm Dia Gaya Tha Wo Kahain Ge Ke Aaj Kaafiroun Ki Ruswaai Aur Burai Hai.

 

28

Un Ka Haal Yeh Hai Ke Jab Farishte Un Ki Roohain Qabz Karne Lagte Hain Aur Yeh Apne Hi Haq Main Zulm Karne Wale Hote Hain Toh Mutee-O-Munqaad Ho Jate Hain Aur Kehte Hain Ke Ham Koi Bura Kaam Nahi Karte The.Haan Joh Kuch Tum Kia Karte The Khuda Usse Khoob Janta Hai.

 

 

 

29

So Dozakh Ke Darwazoun Main Dakhil Ho Jao. Hamesha Us Main Raho Ge. Ab Takabbur Karne Waloun Ka Bura Thikana Hai.

 

30

Aur Jab Parhaizgaaroun Se Poocha Jata Hai  Ke Tumhare Parwardigaar Ne Kia Nazil Kia Hai. Toh Kehte Hain Ke Behtreen Kalaam. Joh Loug Naiko Kaar Hain Un Ke Liye Is Dunia Main Bhalai Hai. Aur Aakhrat Ka Ghar Toh Bohot Hi Acha Hai.Aur Parhaizgaaroun Ka Ghar Bohot Khoob Hai.

 

31

Wo Behshat Jaawedaani Hain Jin Main Wo Daakhil Hounge Un Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain Wahan Joh Chahian Ge Un Ke Liye Moyassar(Available) Hoga. Khuda Parhaizgaaroun Ko Aisa Hi Badla Deta Hai.

 

32

Un Ki Kaifiyat Ye Hai Ke Jab Farishte Un Ki Jaanain Nikaalne Lagte Hain Aur Ye Kufur-O-Shirk Se Paak Hote Hain Toh Salam Alaik Kehte Hain Aur Kehte Hain Ke Joh Amal Tum Kia Karte The Un Ke Badle Main Behshat Main Daakhil Ho Jao.

 

33

Kia Yeh Kaafir Is Baat Ke Muntazir Hain Ke Farishte Un Ke Paas Jaan Nikalne Aayan, Ya Tumhare Parwardigar Ka Hukum-E-Azaab Aa Pohnche. Issi Tarha Un Lougon Ne Kia Tha Joh Un Se Pehle The, Aur Khuda Ne Un Par Zulm Nahi Kia Balke Wo Khud Apne Aap Par Zulm Karte The.

 

 

34

Toh Un Ko Un Ke Aamaal Ke Bure Badle Mile Aur Jiss Cheez Ke Sath Wo Thathe(Hansi Mazaak) Kia Karte The Us Ne Un Ko Har Taraf Se Ghair Liya.

 

35

Aur Mushrik Kehte Hain Ke Agar Khuda Chahta Toh Na Ham Hi Us Ke Siwa Kisi Cheez Ko Poojte, Aur Na Hamare Bare Hi Poojte, Aur Na Us Ke Farmaan Ke Bagair Ham Kisi Cheez Ko Haram Tehraate. Ae Paigambar S.A.W. Issi Tarha Un Se Agle Lougon Ne Kia Tha.Toh Paigambaroun Ke Zimme Khuda Ke Ehkaam Ko Khol Kar Suna Dene Ke Siwa Aur Kuch Nahi.

 

36

Aur Ham Ne Har Jamaat(Group) Main Paigambar Bhaija, Ke Khuda Hi Ki Ibadat Karo Aur Buttoun Ki Parastish Se Ijtinaab Karo. Toh Un Main Baaz Aise Hain Jin Ko Khuda Ne Hidayat Di Aur Baaz Aise Hain Jin Par Gumrahi Sabit Hui. So Zameen Par Chal Phir Kar Daikh Lo, Ke Jhutlane Waloun Ka Anjaam Kaisa Hua.

 

37

Agar Tum Un Kuffar Ki Hidayat Ke Liye Lalchaao Toh Jis Ko Khuda Gumrah Kar Deta Hai Us Ko Wo Hidayat Nahi Dia Karta, Aur Aise Lougon Ka Koi Madadgaar Bhi Nahi Hota.

 

 

 

 

 

 

38

Aur Yeh Khuda Ki Sakht Sakht Qasmain Khaate Hain Ke Joh Mar Jata Hai Khuda Usse Qiamat Ki Din Qabar Se Nahi Utahye Ga. Har Gizz Nahi. Yeh Khuda Ka Waada Sacha Hai Aur Us Ka Poora Karna Usse Zaroor Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jante.

 

39

Taa-Ake Jin Batoun Main Yeh Ikhtilaaf Karte Hain Wo Un Par Zahir Kar De Aur Is Liye Ke Kafir Jaan Lain Ke Wo Jhoote The.

 

40

Jab Ham Kisi Cheez Ka Iraada Karte Hain Toh Hamari Baat Yeh Hi Hai Ke Us Ko Keh Dete Hain Ke Ho Ja Toh Wo Ho Jati Hai.

 

41

Aur Jin Lougon Ne Zulm Sehne Ke Baad Khuda Ke Liye Watan Chora Ham Unko Dunia Main Acha Thikana Dainge. Aur Aakhrat Ka Ajar Toh Bohot Bara Hai . Kaash Wo Usse Jaante.

 

42

Yaani Wo Loug Joh Sabar Karte Hain Aur Apne Parwardigaar Par Bharosa Rakhte Hain.

 

43

Aur Ham Ne Tum Se Pehle Mardoun Hi Ko Paigambar Bana Kar Bhaija Tha, Jin Ki Taraf Ham Wahi Bhaija Karte The Agar Tum Loug Nahi Jaante Toh Ehl-E-Kitaab Se Pooch Lo.

 

 

44

Aur Un Paigambarun Ko Daleelain Aur Kitaabain De Kar Bhaija Tha, Aur Ham Ne Tum Par Bhi Yeh Kitaab Nazil Ki Hai, Taa-Ake Joh Irshadaat Lougon Par Nazil Hue Hain Wo Un Par Zahir Kar Do, Aur Taa-Ake Wo Gour Karain.

 

45

Kia Joh Loug Buri Buri Chaalain Chalte Hain Is Baat Se Be Khof Hain Ke Khuda Un Ko Zameen Main Dhansa De, Ya Aisi Taraf Se Un Par Azaab Aa Jaye Jahan Se Un Ko Khabar Hi Na Ho.

 

46

Ya Un Ko Chalte Phirte Pakar Le Wo Khuda Ko Aajiz Nahi Kar Sakte.

 

47

Ya Jab Un Ko Azaab Ka Darr Paida Ho Gaya Ho Toh Un Ko Pakar Le. Be Shak Tumhara Parwardigar Bohot Shafqat Karne Wala Aur Meherbaan Hai.

 

48

Kia Un Lougon Ne Khuda Ki Makhlooqaat Main Se Aisi Chezain Nahi Daikhi Jin Ke Saaye Daayen(Right) Se Baayen(Left) Ko Aur Baayen Se Daayen Ko Lout-Te Rehte Hain, Yaani Khuda Ke Aage Aajiz Ho Kar Sajde Main Pare Rehte Hain.

 

49

Aur Tamaam Jaandar Joh Asmanoun Main Hain Aur Joh Zameen Main Hain Sab Khuda Ke Aage Sajda Karte Hain Aur Farishte Bhi Aur Wo Zara Garoor Nahi Karte.

 

50

Aur Apne Parwardigaar Se, Joh Un Ke Oopar Hai Darte Hain Aur Joh Un Ko Irshaad Hota Hai Us Par Amal Karte Hain.

 

51

Aur Khuda Ne Farmya Hai Ke Do Do Maabood Na Banao. Maabood Wo Hi Aik Hai. Toh Mujh Hi Se Darte Raho.

 

52

Aur Joh Kuch Aasmanoun Main Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Sab Ussi Ka Hai Aur Ussi Ki Ibadat Lazim Hai.Toh Tum Khuda Ke Siwa Auroun Se Kion Darte Ho.

 

53

Aur Joh Naimatain Tum Ko Moyassar Hain Sab Khuda Ki Taraf Se Hain. Phir Jab Tum Ko Koi Takleef Pohonchti Hai Toh Ussi Ke Aage Chillate Ho.

 

54

Phir Jab Wo Tum Se Takleef Ko Door Kar Deta Hai Toh Kuch Loug Tum Main Se Khuda Ke Sath Shareek Karne Lagte Hain.

 

55

Taa-Ake Joh Naimatain Ham Ne Un Ko Ata Famai Hain Un Ki Na Shukri Karain, Toh Mushriko Dunia Main Faaide Utha Lo. Anqareeb Tum Ko Is Ka Anjaam Maloom Ho Jaye Ga.

 

52

Aur Hamare Diye Hue Maal Main Se Aisi Cheezoun Ka Hissa Muqarrrar Karte Hain Jin Ko Jaante Hi Nahi. Kaafiro! Khuda Ki Qasam, Keh Joh Tum Iftiraa Karte Ho Us Ki Tum Se Zaoroor Purrsish Ho Gi.

57

Aur Yeh Loug Khuda Ke Liye Toh Baitiyaan Tajweez Karte Hain Aur Wo Un Se Paak Hai, Aur Apne Liye Bete Joh Margoob-O-Dilpasand Hain.

 

58

Halanke Jab Un Main Se Kisi Ko Baiti Ke Paida Hone Ki Khabar Milti Hai, Toh Us Ka Moonh(Face) Gham Ke Sabab Kaala Par Jata Hai, Aur Us Ke Dil Ko Daikho Toh Wo Andhohnaak Ho Jata Hai.

 

59

Aur Is Khabar-E-Bad(Bad News) Se Joh Wo Sunta Hai Lougon Se Chupta Phirta Hai, Aur Sochta Hai Ke Aaya Zilaat Bardaast Kar Ke Larki Ko Zinda Rehne De, Ya Zameen Main Gaarh De. Daikho Yeh Joh Tajweez Karte Hain Bohot Buri Hai.

 

60

Joh Loug Aakhrat Pe Eemaan Nahi Rakhte Un Hi Ke Liye Buri Baatain Shayaan Hain. Aur Khuda Ko Sift-E-Aala Zaib Deti Hai Aur Wo Gaalib Hikmat Wala Hai.

 

61

Aur Agar Khuda Lougon Ko Un Ke Zulm Ke Sabab Pakarne Lage Toh Aik Jaandaar Ko Zameen Par Na Chore, Lekin Un Ko Aik Waqt Muqarraar Tak Mohlat Diye Jata Hai. Jab Wo Waqt Aa Jata Hai Toh Aik Ghari Na Peeche Reh Sakte Hain Na Aage Barh Sakte Hain.

 

 

 

 

62

Aur Yeh Khuda Ke Liye Aisi Cheezain Tajweez Karte Hain Jin Ko Khud Na Pasand Karte Hain Aur Zabaan Se Jhoot Bakte Jate Hain Ke Un Ko Qiamat Ke Din Bhalai Yaani Nijaat Hogi. Kuch Shak Nahi Ke Un Ke Liye Dozakh Ki Aag Taiyaar Hai Aur Yeh Dozakh Main Sab Se Aage Bhaije Jayen Ge.

 

63

Khuda Ki Qasam Ham Ne Tum Se Pehli Ummatoun Ki Taraf Bhi Paigambar Bhaije Toh Shaitaan Ne Un Ke Kirdaar-E-Na Shaista Un Ko Aaraastaa Kar Dikhaye Toh Aaj Bhi Wo Hi Un Ka Dost Hai Aur Un Ke Liye Azaab-E-Aleem Hai.

 

64

Aur Ham Ne Joh Tum Par Kitaab Nazil Ki Hai, Toh Us Ke Liye Ke Jis Amar Main Un Lougon Ko Ikhtilaaf Hai, Tum Us Ka Faisla Kar Do. Aur Yeh Mominoun Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Hai.

 

65

Aur Khuda Hi Ne Aasmaan Se Paani Barsaya, Phir Us Se Zameen Ko Us Ke Marne Ke Baad Zinda Kia. Be Shak Is Main Sunn-Ne Waloun Ke Liye Nishani Hai.

 

66

Aur Tumhare Liye Chaar Paaiyoun Main Bhi Maqaam-E-Ibrat-O-Gour Hai Ke Un Ke Paitoun Main Joh Gobar Aur Lahoo Hai Us Se Ham Tumko Khalis(Pure) Doodh(Milk) Pilate Hain Joh Peene Waloun Ke Liye Khushgawaar Hai.

 

 

 

67

Aur Khajoor(Dates) Aur Angoor(Grapes) Ke Maiwoun(Dry Fruits) Se Bhi Tum Peene Ki Cheezain Taiyaar Karte Ho Ke Un Se Sharaab Banate Ho Aur Umda Rizq Khate Ho, Joh Loug Samajh Rakhte Hain Un Ke Liye In Cheezoun Main Qudrat-E-Khuda Ki Nishani Hai.

 

68

Aur Tumhare Parwardigar Ne Shehed Ki Makhiyon(Honey Bee) Ko Irshaad Farmaya Ke Pahaaroun(Mountains) Main Aur Darakhtoun(Trees) Main Aur Oonchi Oonchi Chathriyoun Main Joh Loug Banate Hain Ghar Bana.

 

69

Aur Har Qism Ke Maiwe Kha. Aur Apne Parwardigaar Ke Saaf Rastoun Par Chali Ja. Us Ke Pait Se Peene Ki Cheez Nikalti Hai Jis Ke Mukhtalif Rang Hote Hain, Us Main Lougon Ke Liye Amraaz Ki Shifa Hai. Be Shak Sochne Waloun Ke Liye Is Main Bhi Nishani Hai.

 

70

Aur Khuda Hi Ne Tum Ko Paida Kia. Phir Wo Hi Tumko Mout Deta Hai Aur Tum Main Baaz Aise Hote Hain Ke Nihayat Kharaab Umar Ko Pohonch Jate Hain, Aur Bohot Kuch Jaan-Ne Ke Baad Har Cheez Se Be Ilm Ho Jate Hain. Be Shak Khuda Sab Kuch Jaan-Ne Wala Aur Qudrat Wala Hai.

 

 

 

 

 

 

71

Aur Khuda Ne Rizq-O-Dolat Main Baaz Ko Baaz Par Fazeelat Di Hai Toh Jin Lougon Ko Fazeelat Di Hai,  Wo Apna Rizqq Apne Mumlikoun Ko Toh De Dalne Wale Hain Nahi, Ke Sab Us Main Barabar Ho Jayen.Toh Kai Yeh Loug Naimat-E-Ilaahi Ke Munkir Hain.

 

72

Aur Khuda Hi Ne Tum Main Se Tumhare Liye Aurtain Paida Kee Aur Aurtoun Se Tumhare Bete(Son) Aur Pote(Grand Son) Paida Kiye Aur Khane Ko Tumhain Paakeeza Cheezain Dee.Toh Kia Be Asal Cheezoun Par Aitqaad Rakhte Aur Khuda Ki Naimatoun Se Inkaar Karte Hain.

 

73

Aur Khuda Ke Siwa Aisoun Ko Poojte Hain Joh Un Ko Aasmaanoun Aur Zameen Main Rozi Dene Ka Zara Bhi Ikhtiyaar Nahi Rakhte Aur Na Kisi Aur Tarha Ka Maqdoor Rakhte Hain.

 

74

Toh Lougo Khuda Ke Bare Main Galat Misaalian(Examples) Na Banao.Saheeh Misaloun Ka Tareeqa Khuda Hi Jaanta Hai Aur Tum Nahi Jante.

 

 

 

 

 

 

 

 

 

75

Khuda Aik Aur Misaal Bayan Fermata Hai, Ke Aik Ghulaam Hai Joh Bilkul Doosre Ke Ikhtiyaar Main Hai, Aur Kisi Cheez Par Qudrat Nahi Rakhta Aur Aik Aisa Shakhs Hai Jis Ko Ham Ne Aapne Haan Se Bohot Sa Maal-E-Taiyab Ata Farmaya Hai, Aur Wo Is Main Se Raat Din Posheeda Aur Zahir Kharach Karta Rehta Hai, Toh Kia Yeh Dono Shakhs Barabar Hain? Har Gizz Nahi, Alhamd-Ul-Illah Lekin In Main Se Aksar Loug Nahi Samajh Rakhte.

 

76

Aur Khuda Aik Aur Missal Bayan Fermata Hai Ke Do Aadmi Hain, Aik Un Main Se Goonga Aur Doosre Ki Milk Hai Be Ikhtiyaar-O-Natawaan Ke Kisi Cheez Par Qudrat Nahi Rakhta.Aur Apne Malik Ko Do Bhar Ho Raha Hai Wo Jahan Usse Bhaijta Hai Khair Se Kabhi Bhalai Nahi Laata. Kia Aisa Shakhs Goonga Behra Aur Wo Shakhs Joh Sunta Bolta Aur Lougon Ko Insaaf Karne Ka Hukum Deta Hai, Aur Khud Seedhe Raste Par Chal Raha Hai Dono Barabar Hain?
77

Aur Aasmaanoun Aur Zameen Ka Ilm Khuda Hi Ko Hai Aur Khuda Ke Nazdeek Qiamat Ka Aana Youn Hai Jaise Aankh Ka Jhapakna Balke Is Se Bhi Jald Tar. Kuch Shak Nahi Ke Khuda Har Cheez Par Qadir Hai.

 

7 8

Aur Khuda Hi Ne Tumko Tumhari Maaon(Mothers) Ke Shikam Se Paida Kia Keh Tum Kuch Nahi Jante The.Aur Us Ne Tumko Kaan Aur Aankhain Aur Dil Aur Un Ke Ilawa Aazaa Bakhshe Taa-Ake Tum Shukar Karo.

 

 

79

Kia Un Lougon Ne Parindoun Ko Nahi Daikha Ke Aasmaan Ki Hawa Main Ghirre Hue Urte Rehte Hain. Un Ko Khuda Hi Thaame Rakhta Hai. Eemaan Waloun Ke Liye Is Main Bohot Si Nishaaniyan Hain.

 

80

Aur Khuda Hi Ne Tumhare Liye Gharoun Ko Rehne Ki Jaga Banaya Aur Ussi Ne Chopaayoun Ki Khaloun Se Tumhare Liye Dere Banaye. Jin Ko Tum Subuk Daikh Kar Safar Aur Hazar Main Kaam Main Laate Ho, Aur Un Ki Oon Aur Raisham Aur Baaloun Se Tum Asbaab Aur Baratne(For Use Purpose) Ki Cheezain Banate Ho Joh Muddat Tak Kaam Deti Hain.

 

81

Aur Khuda Hi Ne Tumhare Aaraam Ke Liye Apni Paida Ki Hui Cheezoun Ke Saye Banaye Aur Paharoun(Mountains) Main Gaarain(Caves) Banayee Aur Kurrte Banaye Joh Tum Ko Garmi Se Bachayen Aur Aise Kurrte Bhi Joh Tum Ko Aslaha-E-Jung Ke Zarrar Se Mehfooz Rakhain.Ussi Tarha Khuda Apna Ehsaan Tum Par Poora Karta Hai Taa-Ake Tum Farmabardaar Bano.

 

82

Aur Agar Yeh Loug Airaaz Karain, Toh Ae Paigambar S.A.W. Tumhara Kaam Faqat Khol Kar Suna Dena Hai.

 

83

Yeh Khuda Ki Naimatoun Se Waqif Hain. Magar Waqif Ho Kar Un Se Inkaaer Karte Hain Aur Yeh Aksar Na Shukre Hain.

 

84

Aur Jis Din Ham Har Ummat Main Se Gawah Yaani Paigambar Khara Karen Ge Toh Na Toh Kuffar Ko Bolne Ki Ijazat Mile Gi Aur Na Un Ke Uzar Qabool Kiye Jayen Ge.

 

85

Aur Jab Zalim Loug Azaab Daikh Lainge Toh Phir Na Toh Un Ke Azaab Hi Main Takhfeef Ki Jaye Gi, Aur Na Unko Mohlat Hi Di Jaye Gi.

 

86

Aur Jab Mushrik Apne Banaye Hue Shareekoun Ko Daikhain Ge Toh Kahain Ge Ke Parwardigaar Ye Wo Hi Hamare Shareek Hain Jin Ko Ham Tere Siwa Pukara Karte The. Toh Wo Un Ke Kalaam Ko Mustarad Kar Dain Ge Aur Un Se Kahain Ge Ke Tum Toh Jhoote Ho.

 

87

Aur Us Din Khuda Ke Saamne Sar Nigoon(Heads Off) Ho Jayen Ge Aur Joh Toofaan Wo Baandha Karte The Sab Un Se Jata Rahe Ga.

 

88

Jin Lougon Ne Kufur Kia Aur Lougon Ko Khuda Ke Raste Se Roka Ham Un Ko Azaab Par Azaab Dain Ge Is Liye Ke Shararat Kia Karte The.

 

 

 

 

 

 

 

89

Aur Us Din Ko Yaad Karo Jis Din Ham Har Ummat Main Se Khud Un Par Gawah Khare Karain Ge. Aur Ae Paigambar S.A.W. Tum Ko Un Lougon Par Gawah Laayen Ge. Aur Ham Ne Tum Par Aisi Kitaab Nazil Ki Hai, Ke Us Main Har Cheez Ka Bayan-E-Muffasil (Tafseel Se Zikar) Hai, Aur Musalmanoun Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Aur Bisharat Hai.

 

90

Khuda Tum Ko Insaaf Aur Ehsaan Karne Aur Rishta Daroun Ko Kharch Se Madad Dene Ka Hukum Deta Hai.Aur Be Hayayee Aur Na Maqool Kamoun Se Aur Sar Kashi Se Mana Karta Hai Aur Tumhain Naseehat Karta Hai Taa-Ake Tum Yaad Rakho.

 

91

Aur Jab Khuda Se Ehed Wasiq Karo Toh Us Ko Poora Karo Aur Jab Pakki Qasmain Khao Toh Un Ko Mat Toro Ke Tum Khuda Ko Apna Zaamin Muqarar Kar Chuke Ho. Aur Joh Kuch Tum Karte Ho Khuda Us Ko Janta Hai.

 

92

Aur Us Aurat Ki Tarha Na Hona Jis Ne Mehnat Se Toh Soot Kaata. Phir Us Ko Tour Kar Tukre Tukre Kar Daala. Ke Tum Apni Qasmaoun Ko Apas Main Is Baat Ka Zarya Banane Lago Ke Aik Groh(Group) Doosre Groh Se Ziada Galib Rahe. Baat Ye Hai Ke Khuda Tumhain Is Se Aazmata Hai. Aur Jin Batoun Main Tum Ikhtilaaf Karte Ho Qiamat Ko Us Ki Haqeeqat Tum Par Zahir Kar De Ga.

 

 

 

93

Aur Agar Khuda Chahta Toh Tum Sab Ko Aik Hi Jamaat(Group) Bana Deta. Lekin Wo Jisse Chahata Hai Gumraah Karta Hai Aur Jisse Chahata Hai Hidayat Deta Hai. Aur Joh Amal Tum Karte Ho Uss Din Un Ke Bare Main Tum Se Zaroor Poocha Jaye Ga.

 

94

Aur Apni Qasmoun Ko Apas Main Is Baat Ka Zariya Na Banao Keh Lougon Ke Qadam Jam Chukne Ke Baad Larkhara Jayen, Aur Is Waja Se Keh Tum Ne Lougon Ko Khuda Ke Raste Se Roka Tum Ko Aqoobat Ka Mazah Chakhna Pare. Aur Bara Sakht Azaab Mile.

 

95

Aur Khuda Se Joh Tum Ne Ehed(Promise) Kia Hai Us Ko Mat Baicho, Aur Us Ke Badle Thori Se Qeemat Na Lo. Kion Ke Eefaa-E-Ehed Ka Joh Sila Khuda Ke Haan Muqarrar Hai Wo Agar Samjho Toh Tumhare Liye Behtar Hai.

 

96

Joh Kuch Tumhare Paas Hai Wo Khatam Ho Jata Hai Aur Joh Khuda Ke Paas Hai Wo Baqi Hai, Ke Kabhi Khatam Nahi Hoga Aur Jin Lougon Ne Sabar Kia Ham Un Ko Un Ke Aamaal Ka Bohot Acha Badla Dain Ge.

 

97

Joh Shakhs Naik Amal Kare Ga Mard(Male) Ho Ya Aurat(Female) Aur Wo Momin Bhi Hoga Toh Ham Us Ko Dunia Main Paak Aur Araam Ki Zindagi Se Zinda Rakhain Ge Aur Aakhrat Main Un Ke Aamaal Ka Nihayat Acha Sila Dainge.

 

98

Aur Jab Tum Quraan Parhne Lago, Toh Shaitaan Mardood Se Khuda Ki Panaah Mang Liya Karo.

 

99

Keh Joh Momin Hain Aur Apne Parwardigar Par Bharosa Rakhte Hain Un Par Us Ka Kuch Zor Nahi Chalta.

 

100

Us Ka Zor Un Hi Lougon Par Chlata Hai Joh Us Ko Rafeeq Banate Hain Aur Us Ke Waswase Ke Sabab Khuda Ke Sath Shareek Muqarrar Karte Hain.

 

101

Aur Jab Ham, Koi Ayat Kisi Ayat Ki Jaga Badal Dete Hain. Aur Khuda Joh Kuch Nazil Farmata Hai Usse Khooob Janta Hai Toh Kafir Kehte Hain Keh Tum Toh Younhi Apni Taraf Se Bana Late Ho. Haqeeqat Ye Hai Ke Un Main Aksar Nadaan Hain.

 

102

Keh Do Ke Is Ko Rooh-Ul-Quddus Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Sachaai Ke Sath Le Kar Nazil Hue Hain Taa-Ake Yeh Quraan Mominoun Ko Sabit Qadam Rakhe Aur Hukum Maan-Ne Waloun Ke Liye Toh Yeh Hidayat Aur Bisharat Hai.

 

103

Aur Hamain Maloom Hai Ke Yeh Kehte Hain Ke Is Paigambar Ko Aik Shakhs Sikha Jata Hai.Magar Jis Ki Taraf Talleem Ki Nisbat Karte Hain, Us Ki Zabaan Toh Ajmi Hai Aur Yeh Saaf Arabi Zaban Hai.

 

104

Yeh Loug Khuda Ki Aayatoun Par Eemaan Nahi Laate, Inko Khuda Hidayat Nahi Deta Aur In Ke Liye Azaab-E-Aleem Hai.

 

105

Jhoot Iftiraa Toh Wo Hi Loug Kia Karte Hain Joh Khuda Ki Aayatoun Par Eeman Nahi Laate. Aur Wo Hi Jhoote Hain.

 

106

Joh Shakhs Eemaan Laane Ke Baad Khuda Ke Sath Kufur Kare ,Wo Nahi Joh Kufur Par Zabardasti Majboor Kia Jaye Aur Us Ka Dil Eemaan Ke Sath Mutmaain Ho. Balke Wo Joh Dil Se Aur Dil Khol Kar Kufur Kare. Toh Aisoun Par Allah Ka Gazab Hai. Aur Un Ko Bara Sakht Azaab Hoga.

 

107

Yeh Isliye Ke Unhoun Ne Dunia Ki Zinadgi Ko Aakhrat Ke Muqaable Main Azeez Rakha. Aur Is Liye Ke Khuda Kafir Lougon Ko Hidayat Nahi Deta.

 

108

Yeh Hi Loug Hain Jin Ke Diloun Par Aur Kaanoun Par Aur Aankhon Par Khuda Ne Mohor (Stamp) Laga Rakhi Hai. Aur Ye Hi Gaflat Main Pare Hue Hain.

 

109

Kuch Shak Nahi Ke Yeh Aakhrat Main Khasara(Loss) Uthane Wale Hounge.

 

 

 

 

110

Phir Jin Lougon Ne Aizaayen(Takleef)  Uthane Ke Baad Tark-E-Watan Kia. Phir Jahaad Kiye Aur Sabit Qadam Rahe Tumhara Parwardigar Un Ko Be Shak In Aazmaaishoun Ke Baad Bakhashne Wala Aur Un Par Rehmat Karne Wala Hai.

 

111

Jis Din Har Muttanafis Apni Taraf Se Jhagra Karne Aaye Ga. Aur Har Shakhs Ko Us Ke Aamaal Ka Poora Poora Badla Dia Jaye Ga. Aur Kisi Ka Nuqsaan Nahi Kia Jaye Ga.

 

112

Aur Khuda Aik Aisi Basti Ki Misaal Bayan Farmata Hai, Ke Har Tarha Aman Chain Se Basti Thi, Har Taraf Se Rizq Ba Faragat Chala Aata Tha. Magar Un Lougon Ne Khuda Ki Naimatoun Ki Nashukri Ki, Toh Khuda Ne Un Ke Aamaal Ke Sabab Un Ko Bhook Aur Khof Ka Libaas Pehna Kar Na Shukri Ka Mazaah Chakha Dia.

 

113

Aur Un Ke Paas Un Hi Main Aik Paigambar Aaya Toh Unhoun Ne Us Ko Jhutlaya So Un Ko Azaab Ne Aa Pakra Aur Wo Zalim The.

 

114

Pas Khuda Ne Joh Tum Ko Halaal-E-Taiyab Rizq Dia Hai Usse Khao. Aur Allah Ki Naimatoun Ka Shukar Karo. Agar Ussi Ki Ibadat Karte Ho.

 

 

 

 

 

115

Us Ne Tum Par Murdaar(Dead) Aur Lahoo(Blood)  Aur Soowar Ka Gosht(Meat) Haram Kar Dia Hai, Aur Jis Cheez Par Khuda Ke Siwa Kisi Aur Ka Naam Pukara Jaye Usko Bhi Haan Agar Koi Nachaar Ho Jaye, Toh Bashart Yeh Keh Gunnah Karne Wala Na Ho Aur Na Had Se Nikalne Wala Toh Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

 

116

Aur Youn Hi Jhoot Joh Tumhari Zabbaan Par Aa Jaye, Mat Keh Dia Karo, Ke Ye Halaal Hai Aur Yeh Haraam Hai, Ke Khuda Par Jhooot Bohtaan Baandhne Lago. Joh Loug Khuda Par Johoot Bohtaan Baandhte Hain, Unka Bhala Nahi Hoga.

 

117

Jhoot Ka Faaida Toh Thora Sa Hai Magar Us Ke Badle Unko Azaab-E-Aleem Bohot Hoga.

 

118

Aur Joh Cheezain Ham Tum Se Pehle Bayan Kar Chuke Hain Wo Ham Ne Yahoodiyoun Par Haraaam Kar Di Theen. Aur Ham Ne Un Par Kuch Zulm Nahi Kia Balke Wo Hi Apne Aap Par Zulm Karte The.

 

119

Phir Jin Lougon Ne, Nadaani Se Bura Kaam Kia. Phir Us Ke Baad Touba Ki Aur Naiko Kaar Ho Gaye, Toh Tumhara Parwardigar Unko Touba Karne Aur Naiko Kaar Ho Jane Ke Baad Bakhashne Wala Aur Un Par Rehmat Karne Wala Hai.

 

 

 

 

120

Be Shak Ibrahim Lougon Ke Imaam Aur Khuda Ke Farmabardaar The. Joh Aik Taraf Ke Ho Rahe The Aur Mushrikoun Main Se Na The.

 

121

Us Ki Naimatoun Ke Shukar Guzaar The. Khuda Ne Unko Burrguzeeda Kia Tha Aur Apni Seedhi Raah Par Chalaya Tha.

 

122

Aur Ham Ne Un Ko Dunia Main Bhi Khoobi Di Thi. Aur Aakhrat Main Bhi Naik Lougon Main Hounge.

 

123

Phir Ham Ne Tumhari Taraf Wahi Bahijai Ke Deen-E-Ibarahim Ki Pairwi Ikhtiyar Karo Joh Aik Taraf Ke Ho Rahe The Aur Mushrikoun Main Se Na The.

124

Hafte Ka Din Toh Un Hi Lougon Ke Liye Muqarrar Kia Gaya Tha. Jinhoun Ne Is Main Ikhtilaaf Kia. Aur Tumhara Parwardigaar Qiamat Ke Din Un Mian In Batoun Ka Faisla Kar De Ga Jin Main Wo Ikhtilaaf Karte The.

 

125

Ae Paigambar S.A.W. Lougon Ko Daanish Aur Naik Naseehat Se Apne Parwardigaar Ke Raste Ki Taraf Bulao. Aur Bohot Hi Ache Tareeqe Se Un Se Manazraa Karo. Joh Us Ke Raste Se Bhatak Gaya, Tumhara Parwardigaar Usse Bhi Khoob Janta Hai Aur Joh Raste Par Cahlne Wale Hain Un Se Bhi Khoob Waqif Hai.

 

 

126

Aur Agar Tum Un Ko Takleef Deni Chaho Toh Utni Hi Do Jitna Takleef Tum Ko Un Se Pohonchti. Aur Agar Sabar Karo Toh Wo Sabar Karne Waloun Ke Liye Bohot Acha Hai.

 

127

Aur Sabar Hi Karo Aur Tumhara Sabar Bhi Khuda Hi Ki Madad Se Hai Aur Un Ke Bare Main Gham Na Karo Aur Joh Ye Bad Andaishi Karte Hain Us Se Tangdil Na Ho.

 

128

Kuch Shak Nahi Ke Joh Parhaizgar Hain Aur Jo Naiko Kaar Hain Khuda Un Ka Madadgaar Hai.

 

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^