4bc831055735e5e35d52587ce237a3fc

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Rehem Wala Hai

 

1

Sab Taareef Khuda Hi Ko Hai Jis Ne Apne Bande Muhammad S.A.W. Par Ye Kitaab Nazil Ki Aur Is Main Kisi Tarha Ki Kajji Aur Paicheedgi(Mushkil) Na Rakhi.

 

2

Balke Seedhe Aur Salees Utari Taa-Ake Lougon Ko Azaab Sakht Se, Joh Us Ki Taraf Se Aane Wala Hai Daraaye Aur Mominoun Ko, Joh Naik Amal Karte Hain, Khuskhabri Sunaye Ke Un Ke Liye Un Ke Kaamoun Ka Naik Badla Yaani Behshat(Heaven) Hai.

 

3

Jis Main Wo Abad-Ul-Abaad(Forever) Rahain Ge.

 

4

Aur Un Lougon Ko Bhi Daraye Joh Kehte Hain Keh Khuda Ne Kisi Ko Baita Bana Liya Hai.

 

5

Un Ko Is Baat Ka Kuch Bhi Ilm Nahi Aur Na Un Ke Baap Dada Hi Ko Tha. Ye Bari Sakht Baat Hai Joh Un Ke Moonh Se Nikalti Hai Aur Kuch Shak Nahi Ke Ye Joh Kuch Kehte Hain Mehez Jhoot Hai.

 

6

Ae Paigambar S.A.W. Agar Ye Is Kalaam Par Eemaan Na Laayen Toh Shayad Tum Un Ke Peeche Ranj Kar Kar Ke Apne Taiyeen(Yourself) Halaak Kar Do Ge.

 

7

Jo Cheez Zameen Par Hai Ham Ne Us Ko Zameen Ke Liye Aaraaish Banaya Hai, Taa-Ake Lougon Ki Aazmaaish Karain Ke Un Main Koun Ache Amal Karne Wala Hai.

 

8

Aur Joh Cheez Zameen Par Hai Ham Us Ko Nabood Kar Ke Banjar Maidan Kar Diange.

 

9

Kia Tum Khayal Karte Ho Ke Ghaar(Cave) Aur Loh Wale Hamari Naishaniyoun Main Se Ajeeb The.

 

10

Jab Wo Jawan Ghaar(Cave) Main Ja Rahe, Toh Kehne Lage Ke Ae Hamare Parwardigar Ham Par Apne Haan Se Rehmat Nazil Farma. Aur Hamare Kaam Main Durusti Ke Samaan Mohaiyya Kar De.

 

11

Toh Ham Ne Ghaar(Cave) Main Kai Saal(Many Years) Tak Ke Un Ke Kanoun Par Neend Ka Parda Dala Yaani Un Ko Sulaaye Rakha.

12

Phir Un Ko Jaga Uthaya Taa-Ake Maloom Karain Ke Jitni Muddat Wo Ghaar(Cave) Main Rahe Dono Jamaatoun Main Se Us Ki Muqdaar Kisko Khoob Yaad Hai.

 

13

Ham Un Ke Halaat Tum Se Saheeh Saheeh Bayan Karte Hain. Wo Kai Jawan The Joh Apne Parwardigar Par Eemaan Laye The Aur Ham Ne Un Ko Aur Ziada Hidayat Di Thi.

 

14

Aur Un Ke Diloun Ko Marboot Yaani Mazboot Kar Dia. Jab Wo Uth Khare Hue Toh Kehne Lage Ke Hamara Parwaridaar Aasmaanoun Aur Zameen Ka Malik Hai. Ham Us Ke Siwa Kisi Ko Maabood Samajh Kar Na Pukarain Ge. Agar Aisa Kia Toh Us Waqt Ham Ne Baeed Az Aqal(Kam Aqli) Baat Kahi.

 

15

Un Hamari Qoum Ke Lougon Ne Is Ke Siwa Aur Mabood Bana Rakhe Hain. Bhala Yeh Un Ke Khuda Hone Par Koi Khuli Daleel Kion Nahi Late. Toh Us Se Ziada Koun Zalim Hai Joh Khuda Par Jhoot Iftiraa(Baat) Kare.

 

16

Aur Jab Tum Ne Un Mushrikoun Se Aur Jin Ki Yeh Khuda Ke Siwa Ibadat Karte Hain, Un Se Kinara Kar Liya Hai, Toh GHaar(Cave) Main Chal Raho Tumhara Parwardigar Tumhare Liye Apni Rehmat Wasee(Bari) Kar De Ga Aur Tumhare Kaamoun Main Aasaani Ke Samaan Mohaiyaa Kare Ga.

17

Aur Jab Sooraj Nikle Toh Tum Daikho Keh Dhoop Un Ke Ghaar(Cave) Se Daahni Taraf Simat Jaye Aur Jab Garoob Ho Toh Un Se Baayen Taraf Katra Jaye Aur Wo Us Ke Maidaan Main The.Ye Khuda Ki Nishaniyoun Main Se Hain.Jis Ko Khuda Hidayat De Wo Hidayat Yaab Hai Aur Jis Ko Gumraah Kare Toh Tum Us Ke Liye Koi Dost Raah Batane Wala Na Paao Ge.

 

18

Aur Tum UnKo Khayal Karo Ke Jag Rahe Hain Halaanke Wo Sote Hain. Aur Ham Un Ko Daayen Aur Baayen Karwat Badlaate The. Aur Un Ka Kutta Chokhat Par Dono Hath Phailaye Hue Tha. Agar Tum Un Ko Jhaank Kar Daikhte Toh Peeth Phair Kar Bhaag Jate Aur Un Se Dehshat Main Aa Jate.

 

19

Aur Ussi Tarha Ham Ne Un Ko Uthaya, Taa-Ake Apas Main Aik Doosre Se Daryaft Karain. Aik Kehne Wele Ne Kaha Ke Tum Yahan Kitni Muddat Rahe? Unhoun Ne Kaha Ke Aik Din Ya Us Se Bhi Kam.Unhoun Ne Kaha Ki Jitni Muddat Tum Rahe Ho Tumhara Parwardigaar Hi Isko Khoob Jaanta Hai. Toh Apne Main Se Kisi Ko Ye Rupiya De Kar Sheher Ko Bhaijo, Wo Daikhe Ke Nafees Khana Koun Sa Hai, Toh Us Main Se Khana Le Aye, Aur Aahista Aahista Aaye Jaaye Aur Tumhara Haal Kisi Ko Na Batayen.

 

20

Agar Wo Tum Par Dastaras Paalain Ge Toh Tumhain Sangsaar Kar Dainge Ya Phir Apne Mazhab Main Dakhil Kar Lainge Aur Us Waqt Tum Kabhi Falah Nahi Paao Ge.

 

 

21

Aur Ussi Tarha Ham Ne Lougon Ko Un Ke Haal Se Khabardaar Kar Dia, Taa-Ake Wo Janain Ke Khuda Ka Waada Sacha Hai, Aur Ye Ke Qiamat Jis Ka Waada Kia Jata Hai Us Main Kuch Shak Nahi. Us Waqt Loug Un Ke Bare Main Baham Jhagarne Lage Aur Kehne Lage Ke Un Ke Ghaar Par Imarat Bana Do. Un Ka Parwardigar Un Ke Haal Se Khoob Waqif Hai. Joh Loug Un Ke Moaamle Main Galba Rakhte The, Wo Kehne Lage Ke Ham Un Ke Ghaar Par Masjid Banaye Ge.

 

22

Baaz Loug Atkal Pichkoo Kahain Ge Ke Wo Teen(3) The Aur Choutha(4th) Un Ka Kutta Tha. Aur Baaz Kahain Ge Ke Wo Paanch(5) The Aur Chata(6th) Un Ka Kutta Tha.Aur Baaz Kahainge Ke Wo Saat(7) The Aur Aathwaan(8th) Un Ka Kutta Tha. Keh Do Ke Mere Parwardigaar Hi Un Ke Shumaar Se Khoob Waqif Hai, Un Ko Jante Bhi Hain Toh Thore Hi Loug Jante Hain, Toh Tum Un Ke Moaamle Main Guftugu Na Karna Magar Sarsari Si Guftugu. Aur Na Un Ke Bare Main Un Main Se Kisi Se Kuch Daryaaft Hi Karna.

 

23

Aur Kisi Kaam Ki Nisbat Na Kehna Keh Main Usse Kal Kar Doonga.

 

24

Magar InshaAllah Keh Kar, Yaani Agar Khuda Chahe Toh Kar Doonga Aur Jab Khuda Ka Naam Lena Bhool Jao Toh Yaad Aane Par Le Lo. Aur Keh Do Ke Umeed Hai Ke Mera Parwardigar Mujhe Is Se Bhi Ziada Hidayat Ki Batain Bataye.

 

 

25

Aur Ashaab-E-Kahf Apne Ghaar Main Nou(9) Oopar Teen Sou(300) Saal Rahe.

 

26

Keh Do Ke Jitni Muddat Wo Rahe Usse Khuda Hi Khoob Janta Hai. Ussi Ko Aasmaanoun Aur Zameen Ki Posheeda Batain Maloom Hain. Wo Kia Khoob Daikhne Wala Aur Kia Khoob Sunne Wala Hai. Us Ke Siwa Un Ka Koi Kaarsaaz Nahi Aur Na Wo Apne Hukum Main Kisi Ko Shareek Karta Hai.

 

27

Aur Apne Parwardigar Ki Kitaab Joh Tumhare Paas Bhaiji Jati Hai Parhte Raha Karo. Us Ki Batoun Ko Koi Badalne Wala Nahi. Aur Us Ke Siwa Tum Kahin Panaag Bhi Nahi Paao Ge.

 

28

Aur Joh Loug Subh-O-Sham Apne Parwardigar Ko Pukarte Aur Us Ki Khushnoodi Ke Talib Hain. Un Ke Sath Sabar Karte Raho. Aur Tumhari Nigahain Un Main Se Guzar Kar Aur Taraf Na Dorain, Keh Tum Aaraaish-E-Zindagani Dunia Ke Khuastgaar Ho Jao. Aur Jis Shakhs Ke Dil Ko Ham Ne Apni Yaad Se Gafil Kar Dia Hai Aur Wo Apni Khuahish Ki Pairwi Karta Hai Aur Us Ka Kaam Had Se Barh Gaya Hai Us Ka Kaha Na Maan-Na.

 

 

 

 

 

 

29

Aur Keh Do Ke Lougo Ye Quraan Tumharre Parwardigar Ki Tararf Se Bar Haq Hai, Toh Joh Chahe Eemaan Laaye Aur Joh Chahe Kaafir Rahe. Ham Ne Zaalimoun Ke Liye Dozakh Ki Aag Taiyaar Kar Rakhi Hai, Jis Ki Qanattain Un Ko Ghair Rahi Houngi. Aur Agar Faryaad Karain Ge Toh Aise Kholte Hue Pani Se Un Ki Dad Rasi Ki Jaye Gi, Joh Pighle Hue Taanbe Ki Tarha Garam Hoga, Aur Joh Moohoun Ko Bhoon Dale Ga, Un Ke Peene Ka Paani Bhi Bura Aur Araam Gaah Bhi Buri.

 

30

Aur Joh Eemaan Laye Aur Kaam Bhi Naik Karte Rahe, Toh Ham Naik Kaam Karne Waloun Ka Ajar Zaaya Nahi Karte.

 

31

Aise Lougon Ke Liye Hamesha Rehne Ke Baagh Hain Jin Main Un Ke Mehloun Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain, Un Ke Wahan Sone Ke Kangan Pehnaye Jayen Ge Aur Wo Bareek Deeba Aur Atlas Ke Sabz Kapre Pehna Karain Ge. Aur Takhtoun Par Takiye Laga Kar Baitha Karain Ge. Kia Khoob Badla Aur Kia Khoob Araam Gaah Hai.

 

32

Aur Un Se Do Shakhsoun Ka Haal Bayan Karo, Jin Main Se Aik Ko Ham Ne Angoor Ke Baagh Inayat Kiye The, Aur Un Ke Girdagird Khajooroun Ke Darakht Laga Diye The, Aur Un Ke Darmayan Khaiti Paida Kar Di Thi.

 

33

Dono Baagh Kasrat Se Phal Laate. Aur Uski Paidawaar Main Kisi Tarha Ki Kami Na Hoti, Aur Dono Main Ham Ne Aik Neher Bhi Jaari Kar Rakhi Thi.

34

Aur Is Tarha Us Shakhs Ko Un Ki Paidawaar Milti Rethi Thi Toh Aik Din Jab Ke Wo Apne Dost Se Batain Kar Raha Tha Kehne Laga Keh Main Tum Se Maal-O-Dolat Main Bhi Ziada Hoon Aur Jathe Aur Jamaat Ke Lehaaz Se Bhi Ziada Izzat Wala Hoon.

 

35

Aur Aisi Shaikhiyoun Se Apne Haq Main, Zulm Karta Hua Apne Baagh Main Dakhil Hua. Kehne Laga, Ke Main Nahi Khayal Karta Ke Ye Baagh Kabhi Tabaah Ho.

 

36

Aur Na Khayal Karta Hoon, Ke Qiamat Barpa Ho. Aur Agar Main, Apne Parwardigar Ki Taraf Loutaya Bhi Jaaon Toh Wahan Zaroor Us Se Achi Jaga Paaon Ga.

 

37

Toh Us Ka Dost Joh Us Se Guftugo Kar Raha Tha Kehne Laga Ke Kia Tum Us Khuda Se Kufur Karte Ho Jis Ne Tum Ko Matti Se Paida Kia, Phir Nutfe Se Phir Tumhain Poora Mard Banaya.

 

38

Magar Main Toh Ye Kehta Hoon Ke Khuda Hi Mera Parwardigar Hai Aur Main Apne Parwardigar Ke Sath Kisi Ko Shareek Nahi Karta.

 

39

Aur Bhala Jab Tum Apne Baagh Main Daakhil Hue, Toh Tum Ne MashaAllah Kion Na Kaha. Agar Tum Mujhe Maal-O-Aulaad Main Apne Se Kamtar Daikhte Ho.

 

40

Toh Ajab Nahi Ke Mera Parwardigar Mujhe Tumhare Baagh Se Behtar Ata Farmaye Aur Is Tumhare Bagh Par Aasmaan Se Aafat Bhaij De, Toh Wo Saaf Maidaan Ho Jaye.

 

41

Ya Us Ki Neher Ka Paani Gehra Ho Jaye, Toh Phir Tum Usse Na Laa Sako.

 

42

Aur Us Ke Maiwoun Ko Azaab Ne Aa Ghaira Aur Wo Apni Chathriyoun Par Girr Kar Reh Gaya. Toh Joh Maal Us Ne Is Par Kharch Kia Tha, Us Par Hasrat Se Hath Malne Laga Aur Kehne Laga Ke Kaash, Main Apne Parwardigaar Ke Sath Kisi Ko Sharek Na Banata.

 

43

Us Waqt Khuda Ke Siwa Koi Jamaat Us Ki Madadgaar Na Hui Aur Na Wo Badla Le Saka.

 

44

Yahan Se Sabit Hua, Ke Hukumat Sab Khuda-E-Barhaq Ki Hai. Ussi Ka Sila(Reward) Behtar Aur Ussi Ka Badla Acha Hai.

 

45

Aur Un Se Dunia Ki Zindagi Ki Misaal Bhi Bayan Kar Do Wo Aisi Hai Jaise Paani, Jisse Ham Ne Asmaan Se Barsaya. Toh Us Ke Sath Zameen Ki Rooedgi Mill Gai. Phir Wo Choora Choora Ho Gai, Ke Hawayen Usse Uraati Phirti Hain. Aur Khuda Toh Har Cheez Par Qudrat Rakhta Hai.

 

 

46

Maal Aur Baite Toh Dunia Ki Zindagi Ki Ronaq-O-Zeenat Hain. Aur Naikiyan Joh Baqi Rehne Wali Hain Wo Sawab Ke Lehaaz Se Tumahre Parwardigaar Ke Haan Bohot Achi Aur Umeed Ke Lehaz Se Bohot Behtar Hain.

 

47

Aur Jis Din Ham Pahaaroun Ko Chalayen Ge Aur Tum Zameen Ko Saaf Maidaan Daikho Ge Aur Un Lougon Ko Ham Jama Kar Lain Ge, Toh Un Main Se Kisi Ko Bhi Nahi Chorain Ge.

 

48

Aur Sab Tumhare Parwardigar Ke Samne Saff(Lane) Baandh Kar Laye Jayen Ge, Toh Ham Un Se Kahian Ge Keh Jis Tarha Ham Ne Tum Ko Pehli Baar Paida Kia Tha Ussi Tarha Aaj Tum Hamare Saamne Aye, Lekin Tum Ne Toh Ye Khayal Kar Rakha Tha Ke Ham Ne Tumhare Liye Qiamat Ka Koi Waqt Muqarrar Hi Nahi Kia.

 

49

Aur Amaloun Ki Kitaab Khol Kar Rakhi Jaye Gi, Toh Tum Gunnehgaroun Ko Daikho Ge Keh Joh Kuch Is Main Likha Hoga Us Se Dar Rahe Hounge Aur Kahain Ge Haaye Shamat Ye Kaisi Kitaab Hai Ke Na Choti Baat Ko Chorti Hai Na Bari Ko. Koi Baat Bhi Nahi Magar Usse Likh Rakha Hai. Aur Joh Amal Kiye Hounge Sab Ko Hazir Paayen Ge. Aur Tumhara Parwaradigaar Kisi Par Zulm Nahi Kare Ga.

 

 

 

 

 

50

Aur Jab Ham Ne Farishtoun Ko Hukum Dia Ke Aadam Ko Sajda Karo Toh Sab Ne Sajda Kia Magar Iblees Ne Na Kia. Wo Jinnat Main Se Tha, Toh Apne Parwardigar Ke Hukum Se Bahar Ho Gaya. Kia Tum Us Ko Aur Us Ki Aulad Ko Mere Siwa Dost Banate Ho. Halanke Wo Tumhare Dushaman Hain Aur Shaitaan Ki Dosti Zalimoun Ke Liye Khuda Ki Dosti Ka Bura Badal Hai.

 

51

Main Ne Un Ko Na Toh Aasmanoun Aur Zameen Ke Paida Karne Ke Waqt Bulaya Tha, Aur Na Khud Un Ke Paida Karne Ke Waqt. Aur Main Aisa Na Tha Ke Gumraah Karne Waloun Ko Madadgaar Banata.

 

52

Aur Jis Din Khuda Farmaaye Ga Ke Ab Mere Shareekoun Ko Jin Ki Nisbat Tum Gumaan-Al-Wahiyat Rakhte The, Bulao Toh Wo Un Ko Bulayen Ge, Magar Wo Un Ko Kuch Jawab Na Dainge.Aur Ham Un Ke Beech Main Aik Halakat Ki Jaga Bana Dainge.

 

53

Aur Gunnehgaar Loug Dozakh Ko Daikhain Ge Toh Yaqeen Kar Lainge, Ke Wo Is Main Parne Wale Hain.Aur Is Se Bachne Ka Koi Rasta Na Payen Ge.

 

54

Aur Ham Ne Is Quraan Main Lougon Ke Samajhane Ke Liye Tarha Tarha Ki Misaalain Bayan Farmai Hain. Lekin Insan Sab Cheezoun Se Barh Kar Jhagraaloo Hai.

 

 

55

Aur Lougon Ke Pas Jab Hidayat Aa Gai Toh Un Ko Kis Cheez Ne Mana Kia Keh Eemaan Laayen. Aur Apne Parwardigar Se Bakhshish Maangain. Bajuz Is Ke Keh Is Baat Ke Muntazir Houn Ke Unhain Bhi Pehloun Ka Sa Moaamla Paish Aaye, Ya Un Par Azaab Saamne Mojood Ho.

 

56

Aur Ham Jo Paigambaroun Ko Bhaija Karte Hain, Toh Sirf Is Liye Ke Lougon Ko Khuda Ki Naimatoun Ki Khushkhabriyan Sunayen Aur Azaab Se Daraayen. Aur Joh Kafir Hain Wo Batil Ki Sanad Se Jhagra Karte Hain, Taa-Ake Uss Se Haq Ko Phusla Dain Aur Unhoun Ne Hamari Aayatoun Ko Aur Jis Cheez Se Un Ko Daraya Jata Hai Hansi Bana Liya.

 

57

Aur Us Se Zalim Koun Jis Ko Us Ke Parwardigar Ke Kalam Se Samjhaya Gaya, Toh Us Ne Is Se Moonh Phair Liya. Aur Joh Aamaal Wo Aage Kar Chukka Us Ko Bhool Gaya. Ham Ne Un Ke Diloun Par Parde Daal Diye, Ke Usse Samajh Na Sakain. Aur Kanoun Mian Saqal(Lock) Paida Kar Dia Hai Ke Sunn Na Sakain, Aur Agar Tum Un Ko Raste Ki Taraf Bulao Toh Kabhi Raste Par Na Ayen Ge.

 

58

Aur Tumhara Parwardigar, Bakhashne Wala Sahib-E-Rehmat Hai. Agar Wo Un Ke Kartootoun Par Un Ko Pakarne Lage. Toh Un Par Jhat Azaab Bhaij De, Magar Un Ke Liye Aik Waqt Muqarrar Kar Rakha Hai, Keh Us Ke Azaab Se Koi Pahan Ki Jaga Na Paayen Ge.

 

 

 

59

Aur Ye Bastiyan Joh Weeraan Pari Hain, Jab Unhoun Ne Kufur Se Zulm Kia Toh Ham Ne Un Ko Tabah(Destroy) Kar Dia. Aur Un Ki Tabahi Ke Liye Aik Waqt Muqarrar Kar Dia Tha.

 

60

Aur Jab Moosa Ne Apne Shagird(Student) Se Kaha Ke Jab Tak Main Do Daryaaon Ke Milne Ki Jaga Na Pohonch Jaaon Hatne Ka Nahi, Khuah Barsoun Chalta Rahoon.

 

61

Jab Un Ke Milne Ke Maqaam Par Pohonche Toh Apni Machli Bhool Gaye, Toh Uss Ne Darya Main Surrang Ki Tarha Apna Rasta Bana Liya.

 

62

Jab Aage Chale Toh Mooosa Ne Apne Shagird Se Kaha, Keh Hamare Liye Khana Laao.Is Safar Se Ham Ko Bohot Thakaan Ho Gai Hai.

 

63

Us Ne Kaha Ke Bhala Ap Ne Daikha, Ke Jab Ham Ne Pathar Ke Paas Araam Kia Tha, Toh Main Machli(Fish) Waheen Bhool Gaya. Aur Mujhe Aap Se Is Ka Zikar Karna Shaitaan Ne Bhula Dia. Aur Us Ne Ajab Tarha Se Darya Main Apna Rasta Liya.

 

64

Moosa Ne Kaha Yeh Hi Toh Wo Maqaam Hai Jisse Ham Talaash Karte The, Toh Wo Apne Paaon Ke Nishaan Daikhte Daikhte Lout Gaye.

 

65

Wahan Unhoun Ne Hamare Bandoun Main Se Aik Banda Daikha, Jis Ko Ham Ne Apne Haan Se Rehmat Yaani Naboowat Ya Naimat Wilayat Di Thi, Aur Apne Paas Se Ilm Bakhsha Tha.

 

66

Moosa Ne Un Se Jin Ka Naam Khizr Tha,  Kaha Keh Joh Ilm Khuda Ki Taraf Se Aap Ko Sikhaya Gaya Hai, Agar Ap Us Main Se Mujhe Kuch Bhalai Ki Batian Sikhayen Toh Main Ap Ke Sath Rahoon.

 

67

Khizr Ne Kaha, Keh Tum Mere Sath Reh Kar Sabar Nahi Kar Sako Ge.

 

68

Aur Jis Bat Ki Tumhain Khabar Hi Nahi, Us Par Sabar Kar Bhi Kion Kar Sakte Ho.

 

69

Moosa Ne Kaha Khuda Ne Chaha To Aap Mujhe Saabir Paayiye Ga. Aur Main Ap Ke Irshaad Ke Khilaf Nahi Karoonga.

 

70

Khizr Ne Kaha Agar Tum Mere Sath Rehna Chaaho Toh Shart Ye Hai,  Mujh Se Koi Baat Na Poochna, Jab Tak Main Khud Is Ka Zikar Tum Se Na Karoon.

 

 

 

 

71

Toh Dono Chal Pare. Yahaan Tak Ke Jab Kashti Main Sawaar Hue Toh Khizr Ne Kashti Ko Phaar Daala. Moosa Ne Kaha Kia Ap Ne Is Ko Is Liye Phara Hai, Ke Sawaroun Ko Gharq Kar Dain, Ye To Aap Ne Bari Ajeeb Baat Ki.

 

72

Khizr Ne Kaha. Kia Main Ne Nahi Kaha Tha, Ke Tum Mere Sath Sabar Na Kar Sako Ge.

 

73

Moosa Ne Kaha, Ke Joh Bhool Mujh Se Hui Us Par Mawakhaza Na Kijiye Aur Mere Moaamle Main, Mujh Par Mushkil Na Daaliye.

 

74

Phir Dono Chale. Yahan Tak Ke, Raste Main Aik Larka Mila Toh Khizr Ne Usse Maar Daala. Moosa Ne Kaha Ke Aap Ne Aik Be Gunnah Shakhs Ko Nahaq Bagair Qassas Ke Maar Dala. Yeh Toh Aap Ne Buri Baat Ki.

 

75

Khizr Ne Kaha Kia Main Ne Nahi Kaha Tha, Keh Tum Se Mere Sath Sabar Nahi Ho Sake Ga.

 

76

Unhoun Ne Kaha Ke Agar Main Is Ke Baad Phir Koi Baat Poochoon, Yaani Aitaraaz Karoon Toh Mujhe Apne Sath Na Rakhiye Ga, Keh Ap Meri Taraf Se Uzar Ke Qabool Karne Main Gayat Ko Pohonch Gaye.

 

 

 

77

Phir Dono Chale.Yahan Tak Ke Aik Gaaoun(Village) Waloun Ke Paas Pohonche, Aur Un Se Khana Talab Kia. Unhoun Ne In Ki Ziafat Karne Se Inkaar Kia. Phir Unhoun Ne Wahan Aik Deewar Daikhi Joh Jhuk Kar Gira Chahti Thi. Toh Khizr Ne Us Ko Seedha Kar Dia. Moosa Ne Kaha Agar Ap Chahte Toh Un Se Is Ka Moaawza Lete Taa-Ake Khane Ka Kaam Chalta.

 

78

Khizr Ne Kaha Ke Ab Mujh Main Aur Tum Main Alaihdgi. Magar Jin Batoun Par Tum Sabar Na Kar Sake, Main Un Ka Tumhain Bhaid Bataye Deta Hoon.

 

79

Keh Wo Joh Kashti Thi Ghareeb Lougon Ki Thi, Joh Darya Main Mehnat Kar Ke Yaani Kashtiyan Chala Kar Guzara Karte The. Aur Un Ke Saamne Ki Taraf Aik Baadshah Tha Joh Har Aik Kashti Ko Zabardasti Cheen Leta Tha, Toh Main Ne Chaha Ke Usse Aib Dar Kar Do Taa-Ake Wo Usse Ghasab Ne Kar Sake.

 

80

Aur Wo Joh Larka Tha Us Ke Maan Baap Dono Momin The, Hamain Andaisha Hua Ke Wo Bara Ho Kar Joh Badkirdar Hoga, Kahin Un Ko Sarkashi Aur Kufur Main Na Phansa De.

 

81

Toh Ham Ne Chaha Ke Un Ka Parwardigar Us Ki Jaga Un Ko Aur Bacha Ata Farmaye, Joh Paak Taiyanati Main Behtar Aur Mohabat Main Ziada Qareeb Ho.

 

 

 

82

Aur Wo Joh Deewaar Thi, So Wo Do Yateem Larkoun Ki Thi Joh Sheher Main Rehte The, Aur Us Ke Neeche Un Ka Khazana Madfooon Tha, Aur Un Ka Baap(Father) Aik Naik Aadmi Tha. Toh Tumhare Parwardigaar Ne Chaha Ke Wo Apni Jawani Ko Pohonch Jaye, Aur Phir Apna Khazana Nikaalain. Yeh Tumhare Parwardigar Ki Meherbaani Hai. Aur Ye Kaam, Main Ne Apni Taraf Se Nahi Kiye. Ye Un Batoun Ki Haqeeqat Hai Jinn Par Tum Sabar Na Kar Sake.

 

83

Aur Tum Se Zulqarnain Ke Bare Main, Daryaft Karte Hain. Keh Do Ke Main Us Ka Kisi Qadar Haal Tumhian Parh Kar Sonata Hoon.

 

84

Ham Ne Us Ko Zameen Main Bari Dastaras Di Thi Aur Har Tarha Ka Saaman Ata Kia Tha.

 

85

Toh Us Ne Safar Ka Aik Samaan Kia.

 

76

Yahan Tak Keh Jab Sooraj Ke Gharoob Hone Ki Jaga Pohoncha, Toh Usse Aisa Paaya Ke Aik Keechar Ki Nadi Main Doob Raha Hai, Aur Us Nadi Ke Paas Aik Qoum Daikhi. Ham Ne Kaha Zulqarnain! Tum Un Ko Khuah Takleef Do Khuah Un Ke Bare Main Bhalai Ikhtiyar Karo Dono Batoun Ki Tum Ko Qudrat Hai.

 

 

 

 

87

Zulqarnain Ne Kaha Ke Joh Kufur-O-Bad Kirdaari Se Zulm Kare Ga, Usse Ham Azaab Dainge. Phir Jab Wo Apne Parwardigar Ki Taraf Loutaya Jaye Ga, Toh Wo Bhi Usse Bara Azaab De Ga.

 

88

Aur Joh Eemaan Laye Ga Aur Amal Naik Kare Ga Us Ke Liye Bohot Acha Badla Hai. Aur Ham Apne Moamle Main Us Par Kisi Tarha Ki Sakhti Nahi Karain Ge Balke Us Se Naram Baat Kahain Ge.

 

89

Phir Us Ne Aik Aur Samaan Safar Ka Kia.

 

90

Yahan Tak Ke Sooraj Ke Tuloo Hone Ke Maqaam Par Pohoncha, Toh Daikha Keh Wo Aise Lougon Par Tuloo Karta Hai, Jin Ke Liye Ham Ne Sooraj Ke Is Taraf Koi Aut(Deewaar) Nahi Banai Thi.

 

91

Haqeeqat-E-Haal Youn Thi Aur Joh Kuch Us Ke Paas Tha Ham Ko Sab Ki Khabar Thi.

 

92

Phir Us Ne Aik Aur Saamaan Kia.

 

93

Yahan Tak Ke Do Deewaron Ke Darmayan Pohoncha Toh Daikha Ke Un Ke Us Taraf Kuch Loug Hain Ke Baat Ko Samajh Nahi Sakte.

 

94

Un Lougoun Ne Kaha Ke Zulqarnain! Yajooj Aur Majooj Zameen Main Fisaad Karte Rehte Hain, Bhala Ham Ap Ke Liye Kharch Ka Intizaam Kar Dain Ke Aap Hamare Aur Un Ke Darmiyan Aik Deewar Khainch Dain.

 

95

Zulqarnain Ne Kaha Ke Kharch Ka Joh Maqdoor Khuda Ne Mujhe Bakhsha Hai, Wo Bohot Acha Hai. Tum Mujhe Qoowat-E-Baazoo Se Madad Do. Main Tumhare Aur Un Ke Darmiyan Aik Mazboot Aot Bana Doonga.

 

96

Toh Tum Lohe(Iron) Ke Bare Bare Takhte Laao. Chunacha Kaam Jari Kar Dia Gaya. Yahan Tak Ke Jab Us Ne Dono Paharoun(Mountains) Ke Darmiyan Ka Hissa Barabar Kar Dia. Aur Kaha Ke Ab Usse Dhunko. Yahan Tak Ke Jab Us Ko Dhunak Dhunak Kar Aag Kar Dia, Toh Kaha Ke Ab Mere Paas Taamba Lao Ke Is Par Pighla Kar Daal Doon.

 

97

Phir Un Main Ye Qudrat Na Rahi Ke Us Par Charh Sakain Aur Na Taqat Rahi Ke Us Main Naqab Laga Sakain.

 

98

Bola, Ke Ye Mere Parwardigar Ki Meherbani Hai. Jab Mere Parwardigar Ka Waada Aa Pohonche Ga, Toh Is Ka Dha Kar Hamwaar Kar De Ga Aur Mere Parwardigar Ka Wada Sacha Hai.

 

 

 

 

99

Us Roz Ham Un Ko Chor Dainge. Ke Roo-E-Zamen Par Phail Kar Aik Doosre Main Ghuss Jayen Ge, Aur Soor Phoonka Jaye Ga Toh Ham Sab Ko Jama Kar Lainge.

 

100

Aur Us Roz Jahannum Ko Kaafiroun Ke Samne Laayen Ge.

 

101

Jin Ki Aankhain Meri Yad Se Parde Main Theen Aur Wo Sun-Ne Ki Taqat Nahi Rakhte The.

 

102

Kia Kaafir Ye Khayal Karte Hain, Ke Wo Hamare Bandoun Ko Hamre Siwa Apna Kaarsaaz Banaye Ge, Toh Ham Khafa Nahi Houn Ge, Ham Ne Aise Kaafiron Ke Liye Jahannum Ki Mehmani Taiyar Kar Rakhi Hai.

 

103

Keh Do Ke Ham Tumhain Batayen Joh Amaloun Ke  Lehaaz Se Bare Nuqsaan Main Hain.

 

104

Wo Loug Jin Ki Sayee Dunia Ki Zindagi Main Barbaad Ho Gai. Aur Wo Ye Samajhe Hue Hain Ke Ache Kaam Kar Rahe Hain.

 

105

Ye Wo Loug Hain Jinhoun Ne Apne Parwardigar Ki Aayatoun Aur Us Ke Samne Jaane Se Inkar Kia, Toh Un Ke Aamal Zaaya Ho Gaye Aur Ham Qiamat Ke Din Un Ke Liye Kuch Bhi Wazan Qaaim Nahi Karain Ge.

 

106

Ye Un Ki Saza Hai Yaani Jahannum. Is Liye Ke, Unhoun Ke Kufur Kia Aur Hamari Aayatoun Aur Hamrae Paigambaroun Ki Hansi Uraai.

 

107

Joh Loug Eemaan Laye Aur Amal Naik Kiye Un Ke Liye Behshat Ke Baagh Mehmaani Hounge.

 

108

Hamesha Un Main Rahain Ge Aur Wahan Se Makaan Badalna Na Chaahain Ge.

 

109

Keh Do Ke Agar Samandar Mere Parwardigar Ki Batoun Ke Likhne Ke Liye Siyahi(Ink) Ho Toh Qabal(Before) Is Ke Keh Mere Parwardigar Ki Baatain Tamaam Houn, Samandar Khatam Ho Jaye, Agarcha Ham Waisa Hi Aur Us Ki Madad Ko Layen.

 

110

Keh Do Ke Main Tumhari Tarha Ka Aik Bashar Hoon. Albatta Meri Taraf Wahi Aati Hai Ke Tumhara Maabood Wo Hi Aik Maabood Hai. Toh Joh Shakhs Apne Parwardigaar Se Milne Ki Umeed Rakhe, Cahhaiye Ke Amal-E-Naik Kare Aur Apne Parwardigar Ki Ibadat Main Kisi Ko Shareek Na Banaye.

 *******************