Table of Contents

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan,Nihayat Rehem Wala Hai.

1
Alif Laam Meem

2
Khuda Joh Mabood Barhaq Hai Us Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi Zinda Hamesha Rehne Wala.

3
Us Ne Ae Muhammad S.A.W. Tum Par Sachi Kitaab Nazil Ki Joh Pehli Aasmaani Kitabon Ki Tasdeeq Karti Hai Aur Ussi Ne Touraat Aur Injeel Nazil Ki.

4
Yaani Lougon Ki Hidayat Ke Liye Touraat Aur Injeel Utaari Aur Phir Quraan Joh Haq Aur Baatil Ko Alag Alag Kar Dene Wala Hai Nazil Kia Joh Loug Khuda Ki Aayaton Ka Inkaar Karte Hain Un Ko Sakht Azaab Hoga Aur Khuda Zabardast Aur Badla Lene Wala Hai.

5
Khuda Aisa Khabeer-O-Baseer Hai Ke Koi Cheez Us Se Poshida(Hidden) Nahi Na Zameen Main Aur Na Asmaan Main.

6
Wohi Toh Hai Joh Maan(Mother) Ke Pait Main Jaisi Chahta Hai Tumhari Soortain Banata Hai Aus Gaalib Hikmat(Wisdom) Waale Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi.

7
Wohi Toh Hai Jis Ne Tum Par Kitaab Naazil Ki Jis Ki Baaz Aayatain Mohkam(Clear) Hain Aur Wohi Asal Kitaab Hain Aur Baaz Mutshabiha(Difficult) Hain Toh Jin Lougon Ke Dilon Main Kajji Hai Woh Mutshabehat Ke Ittbaa(Follow) Karte Hain Taa-Aake Fitna Barpa Karain Aur Muraad-E-Asli Ka Pata Lagayen Halanke Muraad Asli(Reality) Khuda Ke Siwa Koi Nahi Jaanta Aur Joh Loug Ilm Main Dast Gaah-E- Kamil(Firm Believe) Rakhte Hain Woh Yeh Kehte Hain Ke Ham In Par Eemaan Laye Yeh Sab Hamare Parwardigaar Ki Taraf Se Hain Aur Naseehat(Advice) Toh Aqal Mand Hi Qabool Karte Hain.

8
Ae Parwardigaar Jab Tu Ne Hamain Hidayat Bakhshi Hai Toh Us Ke Baad Hamare Diloun Main Kajji Na Paida Kar Dijiyo Aur Hamain Apne Haan Se Naimat Ata Farma Tu Toh Bara Ata Farmaane Wala Hai.

9
Ae Parwardigaar!Tu Us Roz Jis Ke Aane Main Kuch Bhi Shak Nahi Sab Lougon Ko Apne Huzoor Main Jama Kar Le Ga Be Shak Khuda Khilaaf-E-Waada Nahi Karta.

10
Joh Loug Kaafir Hue Us Din Na Toh Un Ka Maal Hi Khuda Ke Azaab Se Un Ko Bacha Sake Ga Aur Na Un Ki Aulaad Hi Kuch Kaam Aye Gi.Aur Yeh Loug Aatish-E-Jahannum Ka Eendhan(Fuel)Honge.

11
Un Ka Haal Bhi Firowniyo(Firown) Aur Run Se Pehele Lougon Ka Sa Hoga Jinhon Ne Hamari Aayaton Ki Takzeeb(Deny) Ki Thi Toh Khuda Ne Un Ko Un Ke Gunaahon(Sinn) Ke Sabab(Because Of) Azaab Main Pakar Liya Tha Aur Khuda Sakht Azaab Karne Wala Hai.

12
Ae Paigambar Kaafiron Se Keh Do Ke Tum Dunia Main Bhi Anqreeb Maghloob Ho Jao Ge Aur Aakhrat Main Jahaum Ki Taraf Haanke Jao Ge Aur Woh Buri Jagha Hai.

13
Tumhare Liye Do Gurohon(Groups) Main Joh Jang-E-Badar Ke Din Apas Main Bhirr Gaye Qudrat-E-Khuda Ki Azeem-U-Shan Nishani Thi Aur Aik Guroh(Group) Musalmanon(Muslims) Ka Tha Woh Khuda Ki Raah Main Lar Raha Tha Aur Doosra Guroh Kaaafiron Ka Tha Woh Un Ko Apni Aankhon Se Apne Se Dugna(Double) Mushahida(Observation) Kar Raha Tha Aur Khuda Apni Nusrat Se Jis Ko Chahata Hai Madad Daita Hai, Joh Ehl-E-Bisarat Hain Un Ke Liye Is Waqiye(Insident) Main Bari Ibrat Hai.

14
Lougon Ko Un Ki Khuahishon Ki Cheezain Yaani Aurtain Aur Baite(Son) Aur Sone Aur Chandi Ke Bare Bare Dhair Aur Nishaan Lage Hue Ghore(Horse)Aur Mawaishi Aur Khaiti, Bari Zeenat Daar Maloom Hoti Hain Magar Yeh Sab Dunia Hi Ki Zindagi Ke Saamaan Hain Aur Khuda Ke Paas Bohot Acha Thikana Hai.

15
Ae Paigambar Un Se Kaho Ke Bhala Main Tum Ko Aisi Cheez Bataoon Joh In Cheezon Se Kaheen Achi Ho Suno Joh Loug Parhaizgaar Hain Un Ke Liye Khuda Ke Haan Baghaat-E-Bahisht(Gardens) Hain Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain Un Main Woh Hamesha Rahain Ge Aur Pakeeza Aurtain Hain Aur Sab Se Barh Kar Khuda Ki Khushnooodi(Will) Aur Khuda Apne Naik Bandon Ko Daikh Raha Hai.

16
Joh Khuda Se Iltija(Request) Karte Hain Ke Ae Parwardigaar Ham Eemaan Le Aye So Ham Ko Hamare Gunnah Moaaf Farma Aur Dozakh Ke Azaab Se Mehfooz Rakh.

17
Yeh Woh Loug Hain Joh Mushkilaat Main Sabar Karte, Aur Sach Bolte Aur Ibadat Main Lage Rehte Aur Raah-E-Khuda Main Kharch Kate Aur Owqaat-E-Seher Main Gunahon Ki Moaafi Manga Karte Hain.

18
Khuda Toh Is Baat Ki Gawahi Deta Hai Ke Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi Aur Farishte Aur Ilm Waale Loug, Joh Insaaf Par Qaaim Hain Woh Bhi Gawahi Dete Hain Ke Us Gaalib Hikmat Wale Ke Siwa Koi Laaiq-E-Ibadat Nahi.

19
Deen Toh Khuda Ke Nazdeek Islam Hai Aur Ehl-E-Kitaab Ne, Joh Is Deen Se Ikhtilaaf Kia, Toh Ilm Haasil Hone Ke Baad Apas Ki Zidd Se Kia Aur Joh Shakhs Khuda Ki Aayaton Ko Na Maane Toh Khuda Jald Hisaab Lene Wala Aur Saza Dene Wala Hai.

20
Ae Paigambar Agar Yeh Loug Tum Se Jhagarne Lagain Toh Kehna Ke Main Aur Mere Pairvi Karne Wale Toh Khuda Ke Farmabardaar(Obedient) Ho Chuke Aur Ehl-E-Kitaab Aur An Parh(Uneducated) Lougon Se Kaho Ke Kia Tum Bhi Khuda Ke Farmanbardaar Bante Aur Islaam Laate Ho?Agar Yeh Loug Islaam Le Aayain Toh Be Shak Hidayat Paa Lain Aur Agar Tumhara Kaha Na Mane Toh Tumhara Kaam Sirf Khuda Ka Paighaam Pohoncha Dena Hai Aur Khuda Apne Bandon Ko Daikh Raha Hai.

21
Joh Loug Khuda Ki Aayaton Ko Nahi Maante Aur Anbiya Ko Nahaq Qatal Karte Rahe Hain Aur Joh Insaaf Ka Hukum Dete Hain Unhain Bhi Maar Daaalte Hain Un Ko Dukh Dene Wale Azaab Ki Khushkhabri Suna Do.

22
Yeh Aise Loug Hain Jin Ke Aamaal Dunia Aur Aakhrat Dono Main Barbaad Hain Aur Un Ka Koi Madadgaar(Helper) Nahi Hoga.

23
Bhala Tum Ne Un Lougon Ko Nahi Daikha Jin Ko Kitaab-E-Khuda Yaani Touraat Se Behra Dia Gaya Aur Woh Is Kitaab Allah Ki Taraf Bulaaye Jate Hain Taa-Ake Woh Un Ke Tanazaat Ka Un Main Faisla Kar De Toh Aik Fareek Un Main Se Kajj Adaayee Ke Sath Moon Phair Leta Hai.

24
Yeh Is Liye Ke Yeh Is Baat Ke Qaail (Believe)Hain Ke Dozakh Ki Aag Hamain Chand Roz Ke Siwa Choo Hi Nahi Sake Gi Aur Joh Kuch Yeh Deen Ke Bare Main Bohtaan Baandhte Rahe Hain Us Ne In Ko Dhoke Main Daal Rakha Hai.

25
Toh Us Waqt Kia Haal Hoga Jab Ham Un Ko Jama Karen Ge Yaani Us Roz(Qiamat Ke Din) Jis Ke Aane Main Kuch Bhi Shak Nahi Aur Har Nafs Apne Aamaal Ka Poora Pora Badla Paye Ga Aur Un Par Zulm Nahi Kia Jaye Ga.

26
Kaho Ke Ae Khuda Ae Baadshahi Ke Malik Tu Jis Ko Chahe Baadshaahi Bakhshe Aur Jis Se Chaahe Baadshahi Cheen Le Aur Jis Ko Chaahe Izzat De Aur Jise Chahe Zaleel Kare, Har Tarha Ki Bhalayee Tere Hi Hath Hai Aur Be Shak Tu Har Cheez Par Qaadir Hai.

27
Tu Hi Raat Ko Din Main Daakhil Karta Aur Tu Hi Din Ko Raat Main Daakhil Karta Hai Tu Hi Be Jaan Se Jaandaar Paida Karta Hai Aur Tu Hi Jaandaar Se Be Jaan Paida Karta Hai Aur Tu Hi Jis Ko Chahata Hai Be Shumaar Rizq Bakhashta Hai.

28
Momino Ko Chahiye Ke Momino Ke Siwa Kaafron Ko Dost Na Banaye Aur Joh Aisa Kare Ga Us Se Khuda Ka Kuch Ehed Nahi Haan Agar Us Tareeq Se Tum Un Ke Shar Se Bachne Ki Soorat Paida Karo Toh Muzaaiqa Nahi Aur Khuda Tum Ko Apne Gazab Se Darata Hai Aur Khuda Hi Ki Taraf Tum Ko Lout Kar Jana Hai.

29
Ae Paigambar Lougon Se Keh Do Ke Koi Baat Tum Apne Diloun Main Makhfi(Hidden) Rakho Ya Usse Zaahir Karo Khuda Us Ko Jaanta Hai Aur Joh Kuch Aasmaano Main Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Us Ko Sab Ki Khabar Hai Aur Woh Har Cheez Par Qaadir Hai.

30
Jis Din Har Shakhs Apne Aamaal Ki Naiki Ko Mojood Paa Le Ga Aur Un Ki Barayee Ko Bhi Daikh Le Ga Toh Aarzoo Kare Ga Ke Ae Kaash Is Ain Aur Us Buraiee Main Door Ki Musafat Ho Jati Aur Khuda Tum Ko Apne Gazab Se Darata Hai Aur Khuda Apne Bandon Par Nihayat Meherbaan Hai.

31
Ae Paigambar Lougon Se Keh Do Ke Agar Tum Khuda Ko Dost Rakhte Ho Toh Meri Pairvi Karo Khuda Bhi Tumhain Dost Rakhe Ga Aur Tumhare Gunnah Moaaf Kar De Ga Aur Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
32

Keh Do Ke Khuda Aur Us Ke Rasool Ka Hukum Maano Agar Na Maanain Toh Khuda Bhi Kaafiron Ko Dost Nahi Rakhta.
33
Khuda Ne Adam Aur Nooh Aur Khaandan-E-Ibraheem Aur Khaandaan-E-Imraan Ko Tamaam Jahan Ke Lougon Main Muntakhib(Select) Farmaya Tha.

34
Un Main Se Baaz Baaz Ki Aulaad The Aur Khuda Sunn-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.

35
Woh Waqt Yaad Karne Ke Laaiq Hai Jab Imraan Ki Bivi Ne Kaha Ke Ae Parwardigaar Joh Bacha Mere Pait Main Hai Main Us Ko Teri Nazar Karti Hon Usse Dunia Ke Kamon Se Azaad Rakhoongi Tu Usse Meri Taraf Se Qabool Farma Tu Toh Sunn-Ne Wala Aur Jann-Ne Wala Hai.

36
Jab Un Ke Haan Bacha Paida Hua Aur Joh Kuch Un Ke Haan Paida Hua Tha Khuda Ko Khoob Maloom Tha, Toh Kehne Lageen Ke Parwardigaar! Mere Toh Larki Hui Hai Aur Nazar Ke Liye Larka Mozoon(Suitable) Tha Ke Woh Larki Ki Tarha Natawaa Nahi Hota Aur Main Ne Is Ka Naam Maryam Rakha Hai Aur Main Is Ko Aur Is Ki Aulaad Ko Shaitaan Mardood Se Teri Panaah Main Deti Hoon.

37
Toh Parwardigaar Ne Us Ko Pasandeedgi Ke Sath Qabool Farmaya Aur Usse Achi Tarha Parwarish Kia Aur Zakaria Ko Us Ka Mutkafil Banaya Zakria Jab Kabhi Ibadat Gaah Main Us Ke Paas Jaate Toh Us Ke Paas Khana Paate Yeh Kaifiyat Daikh Kar Aik Din Maryam Se Poochne Lage Ke Maryam Yeh Khaana Tumhare Paas Kahan Se Aata Haii Woh Boleen Khuda Ke Haan Se Aata Ahi Beshak Khuda Jisse Chahata Hai Be Shumaar Rizq Deta Hai.

38
Us Waqt Zakria Ne Apne Parwardigaar Se Dua Ki Aur Kaha Ke Parwardigaar Mujhe Apni Janaab Se Aulad Saaleh Ata Farma Tu Be Shak Dua Sunn-Nwwala Aur Qabool Karne Wala Hai.

39
Woh Abhi Ibadat Gaah Main Khare Namaaz Hi Parh Rahe The Ke Farishtoun Ne Awaaz Di Ke Zakria Khuda Tumhain Yahiya Ke Basharat Deta Hai Joh Khuda Ke Faiz Yaani Eesa Ki Tasdeeq Karain Ge Aur Sardaar Honge Aur Aurton Se Raghbat Na Rakhne Wale Aur Khuda Ke Paigambar Yaani Naiko Kaaron Main Honge.

40
Zakria Ne Kaha Ae Parwardigaar Mere Haan Larka Kiyon Kar Paida Hoga Ke Main Toh Budha Ho Gaya Hoon Aur Meri Biwi Baanjh Hai Khuda Ne Farmaya Isi Tarha Khuda Joh Chahata Hai Karta Hai.

41
Zakria Ne Kaha Ke Parwardigaar Mere Liye Koi Nishaani Muqarrar Farma Khuda Ne Farmaya Nishani Yeh Hai Ke Tum Lougon Se Teen Din Ishaate Ke Siwa Baat Na Kar Sako Ge Toh In Din On Main Apne Parwardigaar Ki Kasrat Se Yaad Aur Subh-O-Sham Us Ki Tasbeeh Karna.

42
Aur Jab Farishton Ne Maryam Se Kaha Ke Maryam! Khuda Ne Tum Ko Barguzeeda Kia Hai Aur Paak Banaya Hai Aur Jahaan Ki Aurton Main Muntakhib(Select) Kia Hia.

43
Maryam! Apne Parwardigar Ki Farmanbardari Karna Aur Sajda Karna Aur Rukoo Karne Walon Ke Sath Rukoo Karna.

44
Ae Muhammad S.A.W. Yeh Baatain Akhbaar-E-Gaib Main Se Hain Joh Ham Tumhare Pas Bhaijte Hain Aur Jab Woh Loug Apne Qalam Bator-E-Quraa Daal Rahe The, Ke Maryam Ka Mutkafill Koun Bane Toh Tum Un Ke Paas Nahi The Aur Na Us Waqt Hi Un Ke Paas The Jab Woh Apas Main Jhagar Rahe The.

45
Woh Waqt Bhi Yaad Karne Ke Laaiq Hai Jab Farishton Ne Maryam Se Kaha Ke Maryam Khuda Tum Ko Apni Taraf Se Aik Faiz Ki Bisharat Deta Hai Jis Ka Naam Maseeh Aur Mashoor Eesaa Ibn-E-Maryam Hoga Aur Joh Dunia Aur Aakhrat Main Ba Aabroo(Respectable) Aur Khuda Ke Khaason(Special) Main Se Hoga.

46
Aur Maan Ki Goud (Lap) Main Aur Bari Umar Ka Ho Kar Dono Halaton Main Lougon Se Yaksaan Guftugo Kare Ga Aur Naiko Kaaron Main Hoga.

47
Maryam Ne Kaha Parwardigaar Mere Haan Bacha Kiyonkar Hoga Ke Kisi Insaan Ne Mujhe Hath Tak Na Lagaya Nahi, Farmaya Ke Khuda Issi Tarha Joh Chahata Hai Paida Karta Hai, Jab Woh Koi Kaam Karna Chahat Hai Toh Irshaad Farma Deta Hai Ke Ho Ja, Toh Woh Ho Jata Hai.

48
Aur Woh Unhain Likhna Parhna Aur Danaayee Aur Touraat Aur Injeel Sikhaye Ga.

49
Aur Eesaa Bani Israeel Ki Taraf Paigambar Ho Kar Jaayen Ge Aur Kahain Ge Ke Main Tumhare Paas Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Nishani Le Kar Aaya Hoon , Woh Yeh Ke Tumhare Saamne Matti(Mud) Ki Moorat Bashakal Parinda Banata Hoon Phir Us Main Phoonk Marta Hoon, Toh Woh Khuda Ke Hukum Se Sach Much Janwar Ho Jata Hai Aur Andhe Aur Abras Ko Tandurust Kar Deta Hoon Aur Khuda Ke Hukum Se Murde Main Jaan Daal Deta Hoon Aur Joh Kuch Tum Kha Kar Aate Ho Aur Joh Apne Gharon Main Jama Kar Rakhte Ho Sab Tum Ko Bata Deta Hon Agar Tum Saahib-E-Eemaan Ho Toh In Baton Main Tumhare Liye Qudrat-E-Khuda Ki Nishani Hai.

50
Aur Mujhe Se Pehle Joh Touraat Nazil Hui Thi Us Ki Tasdeeq Bhi Karta Hon Aur Main Is Liye Bhi Aaya Hon Ke Baaz Cheezain Joh Tum Par Haraam Theen Un Ko Tumhare Liye Halaal Kar Doon Aur Main Toh Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Nishani Le Kar Aaya Hoon Toh Khuda Se Daro Aur Mera Kaha Mano.

51
Kuch Shak Nahi Ke Khuda Hi Mera Aur Tumhara Parwardigaar Hai, Toh Usi Ki Ibadat Karo Yeh Hi Seedha Rasta Hai.

52
Jab Eesa Ne Un Ki Taraf Se Nafarmani Aur Niyat-E-Qatal Daikhi Toh Kehne Lage Ke Koi Hai Joh Khuda Ka Taraf Daaar Aur Mera Madadgaar Ho, Hawaari Bole Ke Ham Khuda Ke Tarf Daar Aur Aap Ke Madadgaar Hain, Ham Khuda Par Eemaan Laye Aur Ap Gawah Rahain Ke Ham Farmanbardaar Hain.

53
Ae Parwardigaar Joh Kitaab Tu Ne Nazil Farmayee Hai Ham Us Par Eemaan Le Aye Aur Tere Paigambar Ke Mutbaa(Obedient) Ho Chuke Tu Ham Ko Maan-Ne Waloun Main Likh Rakh.

54
Aur Woh Yaani Yahood Qatal-E-Eesa Ke Bare Main Aik Chaal Chale Aur Khuda Bhi Eesa Ko Bachane Ke Liye Chaal Chala Aur Khuda Koob Chaal Chalne Wala Hai.

55
Us Waqt Khuda Ne Farmaya Ke Eesaa! Main Tumhari Dunia Main Rehne Ki Muddat(Time)Poori Kar Ke Tum Ko Apni Taraf Utha Loon Ga Aur Tumhain Kafiron Ki Sohbat Se Paak Kar Doon Ga Aur Joh Loug Tumhari Pairwi(Follow) Karen Ge Un Ko Kaafiron Par Qiamat Tak Faiq-O-Gaalib Rakhoon Ga Phir Tum Sab Mere Paas Lout Kar Aao Ge Toh Jin Baton Main Tum Ikhtilaaf Karte The Us Din Tum Main Un Ka Faisla Kar Doonga.

56
Yaani Joh Kafir Hue Un Ko Dunia Aur Aakhrat Dono Main Sakht Azaab Doonga Aur Un Ka Koi Madadgaar Na Hoga.

57
Aur Joh Eemaan Laye Aur Naik Amal Karte Rahe Un Ko Khuda Poora Poora Sila De Ga Aur Khuda Zalimon Ko Dost Nahi Rakhta.

58
Ae Muhammad S.A.W. Yeh Ham Tum Ko Khuda Ki Aayatain Aur Hikmat Bhari Nasehatain Parh Parh Kar Sunate Hain.

59
Eesa Ka Haal Khuda Ke Nazdeek Adam Ka Sa Hai Ke Us Ne Pehle Matti(Mud) Se Un Ka Qaalib(Heart) Banaya Phir Farmaya Ke Insaan Ho Ja, Toh Woh Insaan Ho Gaye.

60
Yeh Baat Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Haq Hai Toh Tum Har Gizz Shak Karne Walon Main Na Hona.

61
Phir Agar Yeh Loug Eesa Ke Baare Main Tum Se Jhagra Karen Aur Tum Ko Haqeeqat-Ul-Haal Toh Maloom Ho Hi Chali Hai Toh Un Se Kehna Ke Aao Ham Apne Baiton Aur Aurton Ko Bulaayen Aur Tum Apne Baiton Aur Aruton Ko Bulaao Aur Ham Khud Bhi Aayen Aur Tum Khud Bhi Aao Phir Dono Fareeq Khuda Se Dua-O-Iltija Karen Aur Jhooton(Liar) Par Khuda Ki Laanat Bhaijen.

62
Yeh Tamaam Bayanaat Sahee(True) Hain Aur Khuda Ke Siwa Koi Mabood Nahi Aur Beshak Khuda Gaalib Aur Sahib-E-Hikmat Hai.

63
Toh Agar Yeh Loug Phir Jaayen Toh Khuda Mufsidoun Ko Khoob Jaanta Hai.

64
Keh Do Ke Ae Ahl-E-Kitaab Joh Baat Hamare Aur Tumhare Dono Ke Darmiyaan Yaksaan(Same) Tasleem(Accepted) Ki Gai Hai Us Ki Taaraf Aao, Woh Yeh Ke Khuda Ke Siwa Ham Kisi Ki Ibadat Na Karen Aur Us Ke Sath Kisi Cheez Ko Shareek Na Banayen Aur Ham Main Koi Kisi Ko Khuda Ke Siwa Apna Kaar Saaz Na Samjhe, Agar Yeh Loug Is Baat Ko Na Maane Toh Un Se Keh Do Ke Tum Gawah Raho Ke Ham Khuda Ke Farma Bardaar Hain.

65
Ae Ehl-E-Kitaab Tum Ibraaheem Ke Bare Main Kion Jhagarte Ho Halaanke Touraat Aur Injeel Un Ke Baad Utri Hain Aur Woh Pehle Ho Chuke, Toh Kia Tum Aqal Nahi Rakhte.

66
Daikho Aisi Baat Main Toh Tum Ne Jhagra Kia Hi Tha Jis Ka Tumhain Kuch Ilm Tha Bhi, Magar Aisi Baat Main Kion Jhagarte Ho Jis Ka Tumhain Kuch Bhi Ilm Nahi, Aur Khuda Janta Hai Aur Tum Nahi Jaante.

67
Ibrahim Na Toh Yahoodi The Aur Na Eesaaye Balke Sab Se Be Talluq Ho Kar Aik Khuda Ke Ho Rahe The, Aur Usi Ke Farmabardaar The Aur Mushrikon Main Na The.

68
Ibrahim Se Qurb Rakhne Wale Toh Woh Loug Hain Joh Un Ki Pairwi Karte Hain, Aur Yeh Paigambar Aakhir-Uz-Zamaan(Last Messenger) Aur Woh Loug Joh Eemaan Laye Hain, Aur Khuda Mominon Ka Kaarsaaz Hai.

69
Ae Ehl-E-Islaam Baaz Ehl-E-Kitaab Is Baat Ki Khuahish Rakhte Hain Ke Tum Ko Gumrah Kar Dain Magar Yeh Tum Ko Kia Gumrah Karen Ge Apne Aap Ko Hi Gumrah Kar Rahe Hain, Aur Nahi Jaante.

70
Ae Ehl-E-Kitaab Tum Khuda Ki Aayaton Se Kion Inkaar Karte Ho Aur Tum Touraat Ko Maante Toh Ho.

71
Ae Ehl-E-Kitaab Tum Sach Ko Jhoot Ke Sath Ghalalt Malt Kion Karte Ho Aur Haq Ko Kion Chupate Ho Aur Tum Jaante Bhi Ho.

72
Aur Ehl-E-Kitaab Ap Ik Doosre Se Kehte Hain Ke Joh Kitaab Mominon Par Naazil Hui Hai, Us Par Din Ke Shroo Main Toh Eemaan Le Aaya Karo Aur Us Ke Aakhir Main Inkaar Kar Dia Karo, Taa-Ake Woh Islam Se Bargashta(Gaafil)Ho Jayen.

73
Aur Apne Deen Ke Pairo Kaar Ke Siwa Kisi Aur Ke Qaail Na Hona, Ae Paigambar Keh Do, Ke Hidayat Toh Khuda Hi Ki Hidayat Hai Woh Yeh Bhi Kehte Hain, Yeh Bhi Na Maan-Na Ke Joh Cheez Tum Ko Mili Hai Waisi Kisi Aur Ko Mile Gi, Ya Woh Tumhain Khuda Ke Ru Baro Qaail Maqool Kar Sakain Ge, Yeh Bhi Keh Do Ke Buzurgi Khuda Hi Ke Hath Main Hai Who Jisse Chahata Hai Deta Hai, Aur Khuda Kushaaish Wala Aur Ilm Wala Hai.

74
Woh Apni Rehmat Se Jis Ko Chahata Hai Khaas Kar Leta Hai Aur Khuda Bare Fazal Ka Malik Hai.

75
Aur Ehl-E-Kitaab Main Se Koi Toh Aisa Hai Ke, Agar Tum Us Ke Paas Rupee(Rs.) Ka Dhair Amanat Rakh Do, Toh Tum Ko Foran Wapas De De, Aur Koi Is Tarha Ka Hai Ke Agar Us Ke Paas Aik Deenaar Bhi Amanat Rakho, Toh Jab Tak Us Ke Sar Par Har Waqt Khare Na Raho Tumhain De Hi Nahi, Yeh Is Liye Ke Woh Kehte Hain Ke Ummiyo Ke Bare Main Ham Se Mawakhaza Nahi Hoga Yeh Khuda Par Mehez Jhoot Bolte Hain Aur Is Baat Ko Jaante Bhi Hain.

76
Haan Joh Shakhs Apne Iqraar Ko Poora Kare Aur Khud Se Dare Toh Khuda Darne Walon Ko Dost Rakhta Hai.

77
Joh Loug Khuda Ke Iqraaron Aur Apni Qasmon Ko Baich Daalte Hain Aur Un Ke Iwz(Inreturn) Thori Si Qeemat Hasil Karte Hain, Un Ka Aakhrat Main Kuch Hissa Nahi Un Se Khuda Na Toh Kalaam Kare Ga Aur Na Qiamat Ke Roz Un Ki Taraf Daikhe Ga Aur Na Un Ko Paak Kare Ga Aur Un Ko Dukh Dene Wala Azaab Hoga.

78
Aur Un Ehl-E-Kitaab Main Baaz Aise Hain, Ke Kitaab-E-Touraat Ko Zabaan Maror Maror Kar Parhte Hain Taa-Ake Tum Samjho Ke Joh Kuch Woh Parhte Hain Kitaab Main Se Hai, Halaanke Woh Kitaab Main Se Nahi Hota Aur Kehte Hain Ke Woh Khuda Ki Taraf Se Naazil Hua Hai, Halaanke Woh Khuda Ki Taraf Se Nahi Hota, Aur Khuda Par Jhoot Bolte Hain Aur Yeh Baat Jaante Bhi Hain.

79
Kisi Aadmi Ko Shaayan(Suitable) Nahi Ke Khuda Toh Use Kitaab Aur Hukumat Aur Nabuwat Ata Farmaye, Aur Woh Lougon Se Kahe Ke Khuda Ko Chor Kar Mere Bande Ho Jao, Balke Us Ko Yeh Kehna Sazawaar Hai, Ke Ae Ehl-E-Kitaab Tum Ullmaa-E-Rabbani Ho Jao Kion Ke Tum Kitaab-E-Khuda Parhte Parhate Rehte Ho.

80
Aur Us Ko Yeh Bhi Nahi Kehna Chahiye Ke Tum Farishtoun(Angels) Aur Paigambaron(Messengers) Ko Khuda Bana Lo Bhala Jab Tum Muslamaan Ho Chuke, Toh Kia Use Zaiba(Suitable) Hai Ke Tumhain Kaafir Hone Ko Kahe.

81
Aur Jab Khuda Ne Paigambaron Se Ehed(Promise) Lia Ke Jab Main Tum Ko Kitaab Aur Daanayee Ata Karoon, Phir Tumhare Paas Koi Paigambar Aaye Joh Tumharei Kitaab Ki Tasdeeq Kare, Toh Tumhain Zaroor Us Par Eemaan Lana Hoga Aur Zaroor Us Ki Madad(Help) Karni Hogi, Aur Ehed(Promise) Lene Ke Baad Poocha Ke Bhala Tum Ne Iqraar Kia, Aur Us Iqraar Par Mera Zimma(Responcibility) Liya? Yaani Mujhe Zaamin (Witness) Tehraya, Unhon Ne Kaha Haan Ham Ne Iqraar Kia Khuda Ne Farmaya Ke Tum Is Ehd-O-Paimaan Ke Gawah Raho Aur Main Bhi Tumhare Sath Gawah Hoon.

82
Toh Joh Us Ke Baad Phir Jaayen, Woh Badkirdaar (Bad Character) Hain.

83
Kia Yeh Kaafir Khuda Ke Deen Ke Siwa Kisi Aur Deen Ke Taalib Hain, Halaanke Sab Ehl-E-Aasmaan-O-Zameen Khushi Ya Zabardasti Se Khuda Ke Farmaan Bardaar Hain Aur Usi Ki Taraf Lout Kar Jane Wale Hain.

84
Kaho Ke Ham Khuda Par Eemaan Laye Aur Joh Kitaab Ham Par Naazil Hui Aur Joh Saheefe Ibrahim Aur Ismail Aur Ishaaq Aur Yaqoob Aur Un Ki Aulad Par Utre Aur Jooh Kitaabain Moosa Aur Eesa Aur Doosre Ambia Ko Parwardigaar Ki Taraf Se Milee Sab Par Eemaan Laye Ham Un Paigambaron Main Se Kisi Main Kuch Farq Nahi Karte Aur Ham Usi Khudaa-E-Wahid Ke Farmabardaar Hain.

85
Aur Joh Shakhs Islam Ke Siwa Kisi Aur Deen Ka Talib Hoga, Woh Us Se Har Gizz Qubool Nahi Kia Jaye Ga, Aur Aisa Shakhs Aakhrat Main Nuqsaan Uthane Waloun Main Hoga.

86
Khuda Aise Lougon Ko Kiyon Kar Hidayat De Joh Eemaan Laane Ke Baad Kaafir Ho Gaye Aur Pehle Is Baat Ki Gawahi De Chuke, Ke Yeh Paigambar Barhaq Hai Aur Un Ke Paas Dalaail Bhi Aa Gaye, Aur Khuda Be Insaafon Ko Hidayat Nahi Deta.

87
Un Lougon Ki Saza Yeh Hai Ke Un Par Khuda Ki, Aur Farishton Ki, Aur Insaanon Ki, Sab Ki Laanat Ho.

88
Hamesha Is Laanat Main Giriftaar Rahain Ge, Un Se Na Toh Azaab Halka Kia Jaye Ga, Aur Na Unhain Mohlat Di Jaye Gi.

89
Haan, Jinhon Ne Us Ke Baad Touba Ki Aur Apni Halat Durust Kar Li Toh Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

90
Joh Loug Eeman Laane Ke Baad Kaafir Ho Gaye Phir Kufur Main Barhte Gaye, Aison Ki Touba Har Gizz Qabool Nahi Hogi Aur Yeh Loug Gumrah Hain.

91
Joh Loug Kaafir Hue, Aur Kufur Hi Ki Halat Main Mar Gaye, Woh Agar Nijaat Hasil Karni Chahain, Aur Badle Main Zameen Bhar Kar Sona Dain, Toh Hargizz Qabool Na Kia Jaye Ga, Un Lougon Ko Dukh Dene Wala Azaab Hoga Aur Un Ki Koi Madad Nahi Kare Ga.

92
Momino! Jab Tak Tum Un Cheezon Main Se, Joh Tumhain Azeez Hain, Raah-E-Khuda Main Sarf Na Karo Ge Kabhi Naiki Hasil Na Kar Sako Ge Aur Joh Cheez Tum Sarf Karo Ge Khuda Us Ko Jaanta Hai.

93
Bani Israail Ke Liye Touraat Ke Nazil Hone Se Pehle, Khaane Ki Tamaam Cheezain Halaal Theen, Bajuz Un Ke Joh Yaqoob Ne Khud Apne Oopar Haraam Kar Li Theen, Keh Do Ke Agar Sache Ho Toh Touraat Laao Aur Use Parho Yaani Daleel Paish Karo.

94
Joh Is Ke Baad Bhi Khuda Par Jhoote Iftara Karen, Toh Aise Loug Hi Be Insaaf Hain.

95
Keh Do Ke Khuda Ne Sach Farma Dia Pas Deen-E-Ibrahim Ki Pairwi Karo Joh Sab Se Be Talluq Ho Kar Aik Khuda Ke Ho Rahe The Aur Mushrikon Se Na The.

96
Pehla Ghar, Joh Lougon Ke Ibadat Karne Ke Liye Muqarar Kia Gaya Tha Woh Hi Hai Joh Makke Main Hai, Babarkat Aur Jahaan Ke Liy Moojib-E-Hidayat.(Way Of Hidayat)

97
Is Main Khuli Hui Nishaniyan Hain, Jin Main Se Aik Ibrahim Ke Khare Hone Ki Jagha Hai Joh Shakhs Is Mubarak Ghar Main Daakhil Hua Us Ne Aman Paa Liya, Aur Lougon Par Khuda Ka Haq Yaani Farz Hai Ke Joh Us Ghar Tak Jaane Ka Maqdoor Rakhe Woh Is Ka Haj Kare Aur Joh Is Hukum Ki Taamaeel Na Kare Ga, Toh Khuda Bhi Ehl-E-Alam Se Be Niyaaz Hai.

98
Kaho! Ke Ae Ehl-E-Kitaab! Tum Khuda Ki Aayaton Se Kion Kufur Karte Ho, Aur Khuda Tumhare Sab Amaal Se Ba Khabar Hai.

99
Kaho Ke Ae Ehl-E-Kitaab Tum Mominon Ko Khuda Ke Rashte Se Kiyon Rokte Ho, Aur Bawajood Yeh Ke, Tum Is Se Waaqif Ho, Is Main Kajji(Fault) Nikalte Ho Aur Khuda Tumhare Kaamon Se Be Khabar Nahi.

100
Momino! Agar Tum Ehl-E-Kitaab Ke Kisi Bhi Fareeq (Member) Ka Kaha Maan Lo Ge, Toh Woh Tumhain Eemaan Lane Ke Baad Kaafir Bana Dain Ge.

101
Aur Tum Kion Kar Kufur Karo Ge, Jab Ke Tum Ko Khuda Ki Aayatain Parh Parh Kar Sunayee Jati Hain, Aur Tum Main Us Ke Paigambar Mojood Hain, Aur Jis Ne Khuda Ki Hidayat(Guidence) Ki Rassi(Robe) Ko Mazboot Pakar Liya Woh Seedhe Raste Lag Gaya.

102
Momino! Khuda Se Daro Jaisa Ke Us Se Darne Ka Haq Hai, Aur Marna Toh Musalmaan Hi Marna.

103
Aur Sab Mill Kar Khuda Ki Hidayat Ki Rassi Ko Mazboot Pakre Rehna , Aur Muttfariq(Secterianism) Na Hona, Aur Khuda Ki Is Meherbaani Ko Yaad Karo Jab Tum Aik Doosre Ke Dusman The, Toh Us Ne Tumhare Diloun(Hearts) Main Ulfat(Affection/Love) Daal Di Aur Tum Us Ki Meherbaani Se Bhai Bhai Ho Gaye, Aur Tum Aag Ke Garhe( Fire Hole) Ke Kinare Tak Pohonch Chuke The, Toh Khuda Ne Tum Ko Us Se Bacha Liya, Is Tarha Khuda Tum Ko Apni Aayatain Khol Khol Kar Sonata Hai, Taa-Ake Tum Hidayat Paao.

104
Aur Tum Main Aik Jamaat (Group) Aisi Honi Chahiye Joh Lougon Ko Naiki Ki Taraf Bulaye Aur Ache Kaam Karne Ka Hukum (Order) De Aur Bure Kaamon Se Mana Kare, Yeh Hi Loug Hain Joh Nijaat (Success) Pane Wale Hain.

105
Aur Un Lougon Ki Tarha Na Hona Joh Muttfariq (Secterianism) Ho Gaye Aur Ehkaam Baiyann Aane Ke Baad Aik Doosre Se Khilaaf-O-Ikhtilaaf Karne Lage, Yeh Woh Loug Hain Jin Ko Qiamat Ke Din Bara Azaab Hoga.

106
Jis Din Bohot Se Moon (Faces) Safaid (White) Houn Ge, Aur Bohot Se Siaah (Black), Toh Jin Lougon Ke Moon (Face) Siaah Hounge Un Se Khuda Farmaye Ga Kia Tum Eemaan La Kar Kafir Ho Gaye The? Sou Ab Us Kufur Ke Badle Azaab Ke Maze Chakho.

107
Aur Jin Lougon Ke Moon Safaid Houn Ge Woh Khuda Ki Rehmat Ke Baaghoun (Gardens) Main Houn Ge Aur Un Main Hamesha Rahian Ge.

108
Yeh Khuda Ki Aayatain Hain, Joh Ham Tum Ko Sehat Ke Sath Parh Kar Sunate Hain Aur Khuda Ehl-E-Aalam (People Of World) Par Zulm Nahi Karma Chahta.

109
Aur Joh Kuch Aasmaanon Main,, Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Sab Khuda Hi Ka Hai, Aur Sab Kamon Ka Rujoo Aur Anjaam Khuda Hi Ki Taraf Hai.

110
Momino! Jitni Ummatain(Quomain) Lougon Main Paida Hueen, Tum Un Sab Se Behtar Ho, Ke Naik Kaam Karne Ko Kehte Ho Aur Bure Kaamon Se Mana Karte Ho, Aur Khuda Par Eemaan Rakhte Ho Aur Agar Ehl-E-Kitaab Bhi Eemaan Le Aate Toh Un Ke Liye Bohot Acha Hota, Un Main Eemaan Lane Wale Bhi Hain Lekin Thore(Little) Aur Aksar Na Farmaan(Disobedient) Hain.

111
Aur Yeh Tumhain Khafeef(Minor) Si Takleef Ke Siwa Kuch Nuqsaan Nahi Pohoncha Sakain Ge, Aur Agar Tum Se Larain Ge, Toh Peeth Phair Kar Bhaag Jayen Ge, Phir Un Ko Madad Bhi Kaheen Se Nahi Mile Gi.

112
Yeh Jahaan Nazar Ayen Ge Zillat Ko Daikhain Ge, Ke Un Se Chimat Rahi Hai Bajiz Is Ke Ke Yeh Khuda Aur Musalmaan Lougon Ki Panah Main Aa Jayen, Aur Yeh Loug Khuda Ke Ghazab(Anger ) Main Giriftaar Hain Aur Nadari(Poverty ) In Se Lipat (Embrass )Rahi Hai, Yeh Islieye Ke Khuda Ki Aayaton Se Inkaar Karte The Aur Us Ke Paighambaron Ko Nahaq Qatal Kar Dete The, Yeh Is Liye Key Yeh Nafarmaani (Disobedient) Kiye Jate Aur Had Se Barhe Jate The.

113
Yeh Bhi Sab Aik Jaise Nahi Hain, In Ehl-E-Kitaab Main, Kuch Loug Hukm-E-Khuda Par Qaaim Bhi Hain, Joh Raat Ke Waqt Khuda Ki Aayatain Parhte, Aur Us Ke Aage Sajda Karte Hain.

114
Aur Khuda Par Aur Roz-E-Aakhrat (Qiamat) Par Eemaan Rakhte Aur Ache Kaam Karne Ko Kehte Aur Buri Baatoun Se Mana Karte, Aur Naikion Par Lapakte (To Catch )Hain, Aur Yeh Hi Loug Naiko Kaar Hain.

115
Aur Ye Jis Tarha Ki Naiki Karen Ge Is Ki Naqadri (Poverty ) Nahi Ki Jaye Gi, Aur Khuda Parhaiz Gaaroun(Obedient/Who Cares About Islam ) Ko Khoob Janta Hai.

116
Joh Loug Kaafir Hian Un Ke Maal Aur Aulad Khuda Ke Azaab (Punishment) Ko Har Gizz Nahi Taal Sakain Ge, Aur Yeh Loug Ehl-E-Dozakh Hain Ke Hamesha Uis Main Rahain Ge.

117
Yeh Joh Maal Dunia Ki Zindagi Main Kharch Karte Hain Us Ki Misaal Hawa (Air) Ki Si Hai Jis Main Sakht Sardi Ho, Aur Woh Aise Lougon Ki Khaiti Par Chale, Joh Apne Aap Par Zulm Karte The, Aur Usse Tabah Kar Dain, Aur Khuda Ne Un Par Kuch Zulm Nahi Kia, Balke Yeh Khud (Themselves) Apne Oopar Zulm Kar Rahe Hain.

118
Momino! Kisi Gair Mazhab(Non Muslim) Ke Aadmi Ko Apna Raaz Daan Na Banana, Ye Loug Tumhari Kharabi Aur Fitna Angaizi Karne Main Kisi Tarha Ki Kotaahi Nahi Karte, Aur Chahate Hain Ke Jis Tarha Ho Tumhain Takleef Pohonche, Un Ki Zabanon Se Toh Dushmani Zaahir Ho Hi Chuki Hai, Aur Joh Keene Un Ke Seenon Mian Makhfi(Hidden ) Hain Woh Kahin Ziada Hain, Agar Tum Aqal Rakhte Ho Toh Ham Ne Tum Ko Apni Aayatain Khol Khol Kar Suna Di Hain.

119
Daikho! Tum Aise Saaf Dil Loug Ho, Ke In Lougon Se Dosti Rakhte Ho Haalaanke, Woh Tum Se Dosti Nahi Rakhte Aur Tum Sab Kitaboun Par Eemaan Rakhte Ho, Aur Woh Tumhari Kitaab Ko Nahi Maante, Aur Jab Tum Se Milte Hain Toh Kehte Hain Ham Eemaan Le Aaye, Aur Jab Alag Hote Hain Toh Tum Par Gusse Ke Sabab Ungliyan Kaath Kaath Khate Hain, Un Se Keh Do Ke Bad Bakhto Gusse Main Mar Jao, Khuda Tumhare Diloun Ki Baton Se Khoob Waqif Hai.

120
Agar Tumahin Aasoodgi (Khushi) Hasil Ho, Toh Un Ko Buri Lagti Hai , Aur Agar Ranj(Dukh) Pohonche Toh Khush Hote Hain, Aur Agar Tum Takleefon Ki Bardaasht Aur Un Se Kinara Kashi Karte Raho Ge ,Toh Un Ka Faraib Tumhain Kuch Bhi Nuqsaan Na Pohoncha Sake Ga, Yeh Joh Kuch Karte Hain Khuda Is Par Ahaata Kiye Hue Hai.

121
Aur Is Waqt Ko Yaad Karo Jab Tum Subha (Morning) Ko Apne Ghar Se Rawana Ho Kar Eemaan Waloun Ko Larayee Ke Liye Morchoun ( ) Par Moqa Ba Moqa Muttaiyan (Fix ) Karne Lage Aur Khuda Sab Kuch Sunta Aur Jaanta Hai.

122
Is Waqt Tum Main Se Do Jamaaton (Groups) Ne Ji Chor Daina Chaha Magar Khuda Un Ka Madadgaar Tha, Aur Mominoun Ko Khuda Hi Par Bharosa Karma Chahiye.

123
Aur Khuda Ne Jang-E-Badar Main Bhi Tumhari Madad Ki Thi, Aur Us Waqt Bhi Tum Be Sar-O-Samaan The, Pas Khuda Se Daro Aur Un K Ehsaano (Ehsaan) Ko Yaad Karo Taa-Ake Shukar Karo.

124
Jab Tum Mominon Se Yeh Keh Kar Un Ke Dil Barha Rahe The, Ke Kia Yeh Kafi Nahi Ke Parwardigaar Teen Hazaar Farishte (Angels) Nazil Kar Ke Tumahin Madad (Help) De.

125
Haan Agar Tum Dil Ko Mazboot Rakho, Aur Khuda Se Darte Raho, Aur Kafir Tum Par Josh Ke Sath Dafaataaan (Jaan Boojh Kar) Hamla (Attack) Kar Dain, Toh Parwardigaar, Paanch Hazaar(5000) Farishte Jin Par Nishaan Hounge, Tumhari Madad Ko Bhiaje Ga.

126
Aur Is Madad Ko Khuda Ne Tumhare Liye Zariya-E-Bisharat Banaya Yaani Is Liye Ke Tumhare Diloun Ko, Is Se Tassali Hasil Ho Warna Madad Toh Khuda Hi Ki Hai Joh Gaalib Aur Hikmat Wala Hai.

127
Yeh Khuda Ne Isl Liye Kia Ke Kaafiron Ki Aik Jamaat Ko Halaak Ya Unhain Zaleel-O-Maglob Kar De Ke Jaise Aye The Waise Hi Nakaam Wapas Jaayen.

128
Ae Paigambar Is Kaam Main Tumhara Kuch Ikhtiyaar Nahi, Ab Do Soortain (Methods) Hain Ya Khuda Un Ke Haal Par Meherbaani Kare Ya Unhain Azaab De, Ke Yeh Zaalim Loug Hain.

129
Aur, Joh Kuch Aasmaano Main Hai, Aur Joh Kuch Zameen Main Hai, Sab Khuda Hi Ka Hai, Woh Jisse Chaahe Bakhsh De, Aur Jise Chahe Azaab Kare Aur Khuda Bakhashne Wala, Meherbaan Hai.

130
Ae Eemaan Walo! Dugna (Double) Chogna (Hackter) Sood (Interest) Na Khao Aur Khuda Se Daro Taa-Ake Nijaat Hasil Karo.

131
Aur Dozakh Ki Aag Se Bacho, Joh Kafiron Ke Liye Taiyaar Ki Gai Hai.

132
Aur Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Itaaa-At(Be Obedient To Rasool) Karo Take Tum Par Rehmat Ki Jaye.

133
Aur Apne Parwardigaar Ki Bakhshish Aur Behshat Ki Taraf Lapko, Jis Ka Arz(Area) Aasmaan Aur Zameen Ke Barabar Hai, Aur Joh Khuda Se Darne Waloun Ke Liye Taiyaar Ki Gai Hai.

134
Joh Aasoodgi Aur Tangi Main Apna Maal Khuda Ki Raah Main Kharch Karte Hain, Aur Ghusse Ko Rokte Aur Lougon Ke Qasoor Moaaf Karte Hain, Aur Khuda Naiko Kaaron Ko Dost Rakhta Hai.

135
Aur Woh , Ke Jab Koi Khulla Gunnah Ya Apne Haq Main Koi Aur Burai Kar Baithete Hain, Toh Khuda Ko Yaad Karte Aur Apne Gunaahon Ki Bakhshish Maangte Hain, Aur Khuda Ka Siwa Gunaah Bakhash Bhi Koun Sakta Hai? Aur Jaan Boojh Kar Apne Affaal (Character/Kirdar) Par Arre Nahi Rehte.

136
Aise Hi Lougon Ka Sila Parwardigaar Ki Taraf Se Bakhshish Aur Baagh (Gardens) Hain, Jin Ke Neeche Nehrain (Lakes) Beh Rahi Hain, Aur Woh Un Main Hamesha Baste Rahian Ge Aur Ache Kaam Karne Waloun Ka Badla Bohot Acha Hai.

137
Tum Lougon Se Pehle Bhi Bohot Se Waaaqiyaat Guzar Chuke Hain, Toh Tum Zameen Main Sair Kar Ke Daikh Lo, Ke Jhutlaane Walon Ka Kaisa Anjaam Hua.

138
Yeh Quraaan Lougon Ke Liye Biyaan-E-Sareeh, Aur Ehl-E-Taqwa Ke Liye Hidayat, Aur Naseehat Hai.

139
Aur Daikho, Be Dil Na Hona Aur Na Kisi Tarha Ka Gham Karna Agar Tum Momin-E-Saadiq (Sache) Ho Toh Tum Hi Ghaalib Raho Ge.

140
Agar Tumhain Zakham-E-Shikast Laga Hai, Toh Un Lougon Ko Bhi Aisa Zakham Lag Chukka Hai Aur Yeh Din Hain, Ke Ham In Ko Lougon Main Badalte Rehte Hain, Aur Is Se Yeh Bhi Maqsood Tha Ke Khuda Eemaan Waloun Ko Mutmaiz Kar De, Aur Tum Main Se Gawah Banaye Aur Khdua Be Insafon Ko Pasand Nahi Karta.

141
Aur Yeh Bhi Maqsood Tha Ke Khuda Eeman Walon Ko Khalis Momin Bana De, Aur Kaafiron Ko Nabood Kar De.

142
Kia Tum Yeh Samajhte Ho Ke Be Aazmaaish Behshat Main Ja Dakhil Ho Gi, Haalaanke Abhi Khuda Ne Tum Main Se Jahaad Karne Walon Ko Toh Achi Tarha Maloom Kia Hi Nahi, Aur Yeh Bhi Maqsood Hai Ke Woh Sabit Qadam Rehne Walon Ko Maloom Kare.

143
Aur Tum Mout-E-Shahdat Ke Aane Se Pehle Us Ki Tamanna Kia Karte The, So Tum Ne Us Ko Aankhoun Se Daikh Liya.

144
Aur Muhammad S.A.W. Toh Sirf Khuda Ke Paigambar Hain, In Se Pehle Bhi Bohot Se Paighambar Ho Guzre Hain, Bhala Agar Yeh Mar Jayain Ya Maare Jayain Toh Tum Ulte Paaoun Phir Jao? Yaani Murrtad Ho Jao? Aur Joh Ulte Paaon Phir Jaye Ga, Toh Khuda Ka Kuch Nuqsaan Nahi Kar Sake Ga, Aur Khuda Shukar Guzaaron Ko Bhara Sawab De Ga.

145
Aur Kisi Shakhs Main Taqat Nahi Ke Khuda Ke Hukum Ke Bagair Mar Jaye, Us Ne Mout Ka Waqt Muqarrar Kar Ke Likh Rakha Hai, Aur Joh Shakhs Dunia Main Apne Aamaal Ka Badla Chahe, Us Ko Ham Yaheen Badla Dain Ge, Aur Joh Aakhrat Main Talib-E-Sawab Ho Us Ko Wahan Ajar Ata Karain Ge, Aur Ham Shukar Guzaron Ko Anqareeb Bohot Acha Sila Dainge.

146
Aur Bohot Se Nabi Hue Hain Jin Ke Sath Ho Kar Aksar Ehl-E-Allah Khuda Ke Dushmanon Se Lare Hain, Toh Joh Museebtain Un Par Raah-E-Khuda Main Waqe Hui, Un Ke Sabab Unhon Ne Na Toh Himmat Haari, Aur Na Buzdili Ki, Na Kaafiron Se Dabe, Aur Khuda Istiqlaal Rakhne Waloun Ko Dost Rakhta Hai.

147
Aur Is Halat Main Un Ke Moon Se Koi Baat Nikalti, Toh Yeh Hi Ke, Ae Parwardigar Hamare Gunnah Aur Ziaadtiyan Joh Ham Apne Kaamoun Main Karte Rahe Hain Moaaf Farma Aur Ham Ko Sabit Qadam Rakh Aur Kafiron Par Fatah Inayat Kar.

148
Toh Khuda Ne Un Ko Dunia Main Bhi Badla Dia Aur Aakhrat Main Bhi Bohot Acha Badla De Ga, Aur Khuda Naiko Karoun Ko Dost Rakhta Hai.

149
Momino! Agar Tum Kaafiron Ka Kehna Maan Lo Ge Toh Woh Tum Ko Ulte Paaon Phair Kar Murrtad Kar Dainge, Phir Tum Bare Khasaare (Loss) Main Par Jao Ge.

150
Yeh Tumhare Madad Gaar(Helper) Nahi Hain Balke Khuda Tumhara Madadgaar Hai Aur Woh Sab Se Behtar Madadgaar Hai.

151
Ham Anqareeb Kafiroun Ke Diloun (Hearts) Main Tumahra Roub Bitha Dainge, Kion Key Ek Khuda Ke Sath Shirk (Shirk Means K Khuda K E Sath Kisi Aur Ko Bhi Ibadat Ke Qabil Samajhna) Karte Hain Jis Ki Us Ne Koi Daleel Nazil Nahi Ki Aur Un Ka Thikana Dozah Hai Woh Zalimon Ka Bohot Bura Thikana Hai.

152
Aur Khuda Ne Apna Waada Sacha Kar Dia Yaani Us Waqt Jab Ke Tum Kaafiroun Ko Us Ke Hukum Se Qatal Kar Rahe The, Yahan Tak Ke Joh Tum Chahate The Khuda Ne Tum Ko Dikha Dia, Us Ke Baad Tum Ne Himmat Haar Di Aur Hukum-E-Paigambar Main Jhagra Karne Lage, Aur Us Ki Nafarmani Ki, Baaz Toh Tum Main Se Dunia Ke Khuawatgaar The Aur Baaz Aakhrat Ke Taalib, Us Waqt Khuda Ne Tum Ko Un Ke Muqaable Se Phiar Kar Bhaga Dia Taa-Ake Tumhari Aazmaaish Kare, Aur Us Ne Tumhara Qasoor Moaaf Kar Dia Aur Khuda Mominon Par Bara Fazal Karne Wala Hai.

153
Woh Waqt Bhi Yaad Karne Ke Laaiq Hai Jab Tum Loug Door Bhage Jate The, Aur Kisi Ko Peeche Phir Kar Nahi Daikhte The, Aur Rasool Allah Tum Ko Tumhare Peeche Khare Bula Rahe The, Toh Khuda Ne Tum Ko Gham Par Gham Pohonchaya, Taa-Ake Joh Cheez Tumhare Hath Se Jati Rahi, Ya Joh Museebat Tum Par Waqe Hui Hai Us Se Tum Andoh Naak Na Ho, Aur Khuda Tumahre Sab Amaal Se Khabardar Hai.

154
Phir Khuda Ne Gham-O-Ranj Ke Baad Tum Par Tassali Nazil Farmayee , Yaani Neend, Ke Tum Main Se Aik Jamaat Par Taari Ho Gai, Aur Kuch Loug Jin Ko Jaan Ke Laale Par Rahe The, Khuda Ke Bare Main Nahaq Ayaam-E-Kufur (Kufur Ke Dinoun) Ke Se Gumaan Karte The, Aur Kehte The Bhala Hamare Ikhtiyaar Ki Kuch Baat Hai? Tum Keh Do Ke Be Shak Sab Batain Khuda Hi Ke Ikhtiyaar Mai Hain, Yeh Loug Bohot Si Batain Diloun Main Makhfi Rakhte Hain, Joh Tum Par Zaahir Nahi Karte The, Kehte The Ke Hamare Bas Ki Baat Hoti Toh Ham Yahan Qatal Hi Na Kiye Jate, Keh Do Ke Agar Tum Apne Gharon Main Bhi Hote Toh Jin Ki Taqdeer Main Mar Janaa Likha Tha Woh Apni Apni Qatal Gaahon Ki Taraf Zaroor Nikal Aate, Is Se Garz Yeh Thi Ke Khuda Tumahre Seenon Ki Baatoun Ko Aazmaye Aur Joh Kuch Tumhare Diloun Main Hai Us Ko Khalis Aur Saaf Kar De Aur Khuda Diloun Ki Baaton Se Khoob Waqiif Hai.

155
Joh Loug Tum Main Se Ohod Ke Din, Jab Ke Mominoun Aur Kafiroun Ki Do Jamaatain Aik Doosre Se Guth Gayee, Jung Se Bhaag Gaye Toh Un Ke Baaz Afaal Ke Sabab Shaitan Ne Un Ko Phusla Dia, Magar Khuda Ne Un Ka Qasoor Moaaf Kar Dia Be Shak Khuda Bakhshne Wala Aur Burdbaar Hai.

156
Momino ! Un Logon Ke Jaise Na Hona Jo Kufur Karte Hain , Aur In Ke Musalman Bhai Jab Khuda Ki Raah Main Safar Karain Aur Mar Jaayain Ya Jahaad Ko Niklain Aur Maare Jaayain Toh In Ki Nisbat Kehte Hain Ke, Agar Woh Hamare Paas Rehte, Toh Na Marte Aur Na Mare Jate. In Baton Se Maqsood Yeh Hai Ke Khuda Un Lougon Ke Dilon Main Afsos Paida Kar De, Aur Zindagi Aur Mout Toh Khuda Hi Deta Hai, Aur Khuda Tumahre Sab Kamoun Ko Daikh Raha Hai.

157
Aur Agar Tum Khuda Ke Raaste Main Maare Jao Ya Mar Jao, Toh Joh Maal-O-Mataa Loug Jama Karte Hain Us Se Khuda Ki Bakhshish Aur Rehmat Kaheen Behtar Hai.

158
Aur Agar Tum Mar Jao Ya Maare Jao Khuda Ke Huzoor Main Zaroor Ikhate Kiye Jao Ge.

159
Ae Muhammad.S.A.W. Khuda Ki Meherbaani Se Tumhari Uftaad-E-Mizaaj, Un Lougon Ke Liye Narm Waqe Hui Hai .Aur Agar Tum Bad Khoo Aur Sakht Dil Hote Toh Yeh Tumhare Pas Se Bhaag Khare Hote.Toh Un Ko Moaaf Kar Do, Aur Un Ke Liye Khdda Se Maghfirat Mango.Aur Apne Kaamon Main Un Se Mushawarat Lia Karo.Aur Jab Kisi Kaam Ka Azamm-E-Mussamam (Pakka Irada) Kar Lo Toh Khuda Par Bharosa Rakho.Be Shak Khuda Bharosa Rakhne Walon Ko Dost Rakhta Hai.

160
Aur Khuda Tumahra Madadgaar Hai Toh Tum Par Koi Gaalib Nahi Aa Sakta. Aur Agar Woh Tumhain Chor De, Toh Phir Koun Hai Ke Tumhari Madad Kare Aur Mominon Ko Chahiye, Ke Khuda Hi Par Bharosa Rakhain.

161
Aur Kabhi Nahi Ho Sakta Ke Paighambar Khuda Khayanat Karain. Aur Khiyanat Karne Walon Ko Qiamat Ke Din Khiyanat Ki Hui Chez Khuda Ke Ru Baru Laa Hazir Karni Hogi.Phir Har Shakhs Ko Is Ke Aamaal Ka Poora Poora Badla Dia Jaye Ga Aur Be Insaafi Nahi Ki Jaye Gi.

162
Bhala Joh Shakhs Khuda Ki Khushnoodi Ka Taabe Ho Woh Us Shakhs Ki Tarha Murtakib-E-Khiyanat (Khaiyanat Kare) Ho Sakta Hai Joh Khuda Ki Na Khushi Main Giriftar Ho, Aur Jis Ka Thikana Dozakh Hai,
Aur Woh Bura Thikana Hai.

163
Un Lougon Ke, Khuda Ke Haan Mukhtalif Muttfawat Darje Hain, Aur Khuda Un Ke Sab Aamaal Ko Diakh Raha Hai.

164
Khuda Ne Mominon Par Bara Ehsaan Kia Hai, Ke Un Main Un Hi Main Se Aik Paighambar Bhaije. Joh Un Ko Khuda Ki Aayatain Parh Parh Kar Sunaate, Aur Un Ko Paak Karte, Aur Khuda Ki Kitaab Aur Danaaaye Sikhate Hain, Aur Pehle Toh Yeh Loug Sareeh Gumrahi Main The.

165
Bhala Yeh Kia Baat Hai Ke Jab Ohod Ke Din Kuffar Ke Hath Se Tum Par Museebat Waqe Hui, Halaanke Jang-E-Badar Main Us Se Do Chand Museebat Tumhare Hath Se Un Par Par Chuki Hai, Toh Tum Chilla (Shout) Uthe, Ke Haye Aafat Ham Par Kahan Se Aa Pari, Keh Do Ke Yeh Tumhari Hi Shamat-E-Aamaal Hai Ke Tum Ne Paighambar Ke Hukum Ke Khilaaf Kia, Beshak Khuda Har Cheez Par Qadir Hai.

166
Aur Joh Museebat Tum Par Dono Jamaaton (Groups) Ke Muqaable Ke Din Waqe Hui, So Khuda Ke Hukum Se Waqe Hui, Aur Us Se Yeh Maqsood Tha Ke Khuda Mominon Ko Achi Tarha Malom Kare.

167
Aur Munafiqon Ko Bhi Maloom Kar Le, Aur Jab Un Se Kaha Gaya Ke Aao Khuda Ke Raste Main Jung Karo Ya Kaafiron Ke Hamloun (Attacks) Ko Roko . Toh Kehne Lage Ke Agar Ham Ko Larayee Ki Khabar Hoti, Toh Ham Zaroor Tumhare Sath Rehte, Yeh Us Din Eemaan Ki Nisbat Kufur Se Ziada Qareeb The. Moon Se Woh Batain Kehte Hain Joh Un Ke Dil Main Nahi Hain. Aur Jo Kuch Yeh Chupate Hain, Khuda Us Se Khoob Waqif Hai.

168
Yeh Khud Toh Jung Se Bach Kar Baith Hi Rahe The Magar Jinhon Ne Raah-E-Khuda Main Jaane(Lifes) Qurbaan Kar Deen, Apne Un Bhaiyon Ke Bare Main Bhi Kehte Hain, Ke Agar Hamara Kaha Maante Toh Qatal Na Hote . Keh Do Ke Agar Sachhe Ho Toh Apne Oopar Se Mout Ko Taal Dena.

169
Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye, Un Ko Mare Hue Na Samjhna, Wo Mare Hue Nahi Hain Balke Khuda Ke Nazdeek Zinda Hain Aur Un Ko Rizq Mill Raha Hai.

170
Joh Kuch Khuda Ne Un Ko Apne Fazal Se Bakhsh Rakha Hai, Us Main Khush Hain . Aur Joh Loug Un Ke Peeche Reh Gaye Aur Shaheed Ho Kar Un Main Shamil Nahi Ho Sake, Un Ki Nisbat Khushiyan Mana Rahe Hain, Ke Qiamat Ke Din Un Ko Bhi Na Kuch Khof Hoga Aur Na Woh Ghamnaak Hounge.

171
Aur Khuda Ke Inaamaat Aur Fazal Se Khush Ho Rahe Hain. Aur Is Se , Ke Khuda Mominon Ka Ajaar Zaaya Nahi Karta.

172
Jinhon Ne Bawajood Zakham Khane Ke, Khuda Aur Rasool Ke Hukum Ko Qabool Kia, Joh Loug Un Main Naiko Kaar Aur Parhaizgaar Hain Un Ke Liye Bara Sawab Hai.

173
Jab Un Se Lougon Ne Aakar Biyan Kia, Ke Kuffar Ne Tumhare Muqable Ke Liye Lashkar Kaseer Jama Kia Hai, Toh Un Se Daro. Toh Un Ka Eemaan Aur Ziada Ho Gaya. Aur Kehne Lage Ham Ko Khuda Kaafi Hai Aur Woh Bohot Acha Kaar Saaz Hai.

174
Phir Woh Khuda Ki Naimaton, Aur Us Ke Fazal Ke Sath Khush-O-Khurram Wapas Aaye, Un Ko Kisi Tarha Ka Zarrar Na Pohoncha.Aur Woh Khuda Ki Khushnoodi Ke Taabe Rahe. Aur Khdua Bare Fazal Ka Malik Hai.

175
Yeh Khof Dilane Wala Toh Shaitaan Hain, Joh Apne Doston Se Darata Hai, Toh Agar Tum Momin Ho, Toh Un Se Mat Darna Aur Mujh se Hi Se Darte Rehna.

176
Aur Joh Loug Kufur Main Jaldi Karte Hain, Un Ki Waja Se Ghamgeen Na Hona. Yeh Khuda Ka Kuch Nuqsaan Nahi Kar Sakte, Khuda Chahta Hai Ke Aakhrat Main Un Ko Kuch Hisaa Na De, Aur Un Ke Liye Bara Azaab Taiyaar Hai.

177
Jin Lougon Ne Eemaan Ke Badle Kufur Khareeda Woh Khuda Ka Kuch Nahi Bigaar Sakte, Aur Un Ko Dukh Dene Wala Azaab Hoga.

178
Aur Kafir Loug Yeh Na Khayal Karen, Ke Ham Joh Un Ko Mohlat Diye Jate Hain, Toh Yeh Un Ke Haq Main Acha Hai. Nahi, Balke Ham Un Ko Is Liye Mohlat Dete Hain, Ke Aur Gunnah Kar Lain. Aakhir Kaar Un Ko Zaleel Karne Wala Azaab Hoga.

179
Logo! Jab Tak Khuda Napaak Ko Paak Se Alag Na Kar De Ga, Momino Is Ko Haal Main Jis Main Tum Ho Har Gizz Nahi Rehne De Ga. Aur Allah Tum Ko Gaib Ki Baton Se Bhi Mutlaa(Inform) Nahi Kare Ga. Albatta Khuda Apne Paigambaroun Main Se Jisse Chahata Hai Intikhaab Kar Leta Hai .Toh Tum Khuda Par Aur Us Ke Rasooloun Par Eemaan Lao, Aur Agar Eemaan Lao Ge Aur Parhaiz Gari Karo Ge Toh Tum Ko Ajar Azeem Mile Ga.

180
Joh Loug Maal Main, Joh Khuda Ne Apne Fazal Se Un Ko Ata Farmaya Hai, Bukhul Karte Hain, Woh Us Bukhul Ko Apna Haq Main Acha Na Samjhain .Woh Acha Nahi, Balke Un Ke Liye Bura Hai Woh Jis Maal Main Bukhul Karte Hain, Qiamat Ke Din Us Ka Touq Bana Kar Un Ki Gardanon Main Dala Jaye Ga. Aur Aasmaanon Aur Zameen Ka Wairs Khuda Hi Hai. Aur Joh Amal Tum Karte Ho Khuda Ko Maloom Hai.

181
Khuda Ne Un Lougon Ka Qoul Sunn Lia Hai, Joh Kehte Hain Ke Khuda Faqeer Hai Aur Ham Ameer Hain. Yeh Joh Kehte Hain Ham Us Ko Likh Lainge.Aur Paigambaron Ko Joh Yeh Nahaq Qatal Karte Rahe Hain, Us Ko Bhi Qalamband Kar Rakhen Ge, Aur Qiamat Ke Roz Kahain Ge Ke Azaab-E-Aatish Soozaan Ke Maze Chakhte Raho.

182
Yeh Un Kaamon Ki Saza Hai, Joh Tumhare Hath Aage Bhaijte Rahe Hain, Aur Khuda Toh Bandon Par Mutliq Zulm Nahi Karta.

183
Joh Loug Kehte Hain Ke Khuda Ne Hamain Hukum Bhaija, Ke Jab Tak Koi Paighambar Hamare Paas Aisi Niyaaz Le Kar Na Aye, Jis Ko Aag Aa Kar Kha Jaye, Tab Tak Ham Us Par Eemaan Na Layain Ge. Ae Paighambar Un Se Keh Do Ke Mujhe Se Pehle Kai Paighambar Tumhare Paas Khuli Hui Nishaniyan Le Kar Aye, Aur Woh Moujza Bhi Laye, Joh Tum Kehte Ho, Toh Agar Sache Ho Toh Tum Ne Un Ko Qatal Kion Kia?

184
Phir Agar Yeh Loug Tum Ko Sacha Na Samjhain, Toh Tum Se Pehle Bohot Se Paighambar Khuli Hui Nishaniyan Aur Saheefe Aur Roshan Kitaabain Le Kar Aa Chuke Hian Aur Lougon Ne Un Ko Bhi Sacha Nahi Samjha.

185
Har Muttnaffis Ko Mout Ka Maza Chakhna Hai Aur Tum Ko Qiamat Ke Din Tumhare Aamaal Ka Poora Poora Badla Dia Jaye Ga. Toh Joh Shakhs Jahanuum Se Door Rakha Gaya, Aur Behshat Main Daakhil Kia Gaya, Woh Muraad Ko Pohonch Gaya Aur Dunia Ki Zindagi Toh Dhoke Ka Samaan Hai.

186
Ae Ehl-E-Eemaan Tumhare Maal-O-Jaan Main, Tumhari Aazmaaish Ki Jaye Gi. Aur Tum Ehl-E-Kitaab Se Aur Un Lougon Se, Joh Mushrik Hain, Bohot Se Aieeza Ki Batian Suno Ge.Toh Agar Sabar Aur Parhiazgaari Karte Raho Ge Toh Yeh Bari Himmat Ke Kaam Hain.

187
Aur Jab Khuda Ne Un Lougon Se, Jin Ko Kitaab Inayat Ki Gai Thi, Iqraar Lia, Ke Is Main Joh Kuch Likha Hai, Usse Saaf Saaf Biayaan Karte Rehna . Aur Us Ki Kisi Baat Ko Chupaana, Toh Unhon Ne Us Ko Pas-E-Pusht Phaink Dia Aur Us Ke Badle Thori Si Qeemat Hasil Ki. Yeh Joh Kuch Hasil Karte Hain Bura Hai.

188
Joh Loug Apne Na Pasand Kaamon Se Khush Hote Hain, Aur Pasandeeda Kaam Joh Karte Nahi, Un Ke Liye Chahahte Hain Ke Un Ki Taareef Ki Jaye, Un Ki Nisbat Khayal Na Karna, Ke Woh Azaab Se Dastgaar Ho Jayen Ge. Aur Unhain, Dard Dene Wala Azaab Hoga.

189
Aur Aasmanon Aur Zameen Ki Baadhsahi Khuda Hi Ko Hai, Aur Khuda Har Cheez Par Qaadir Hai.

190
Beshak, Aasmanon Aur Zameen Ki Paidaaish, Aur Raat Aur Din Ke Badal Badal Ke Aane Jaane Main Aqal Waloun Ke Liye Nishaniyan Hain.

191
Joh Khare Aur Baithe, Aur Laite Har Haal Main Khuda Ko Yaad Karte, Aur Aasmaan Aur Zameen Ki Paidaaish Main Gor Karte, Aur Kehte Hain Ke Ae Parwardigaar! Tu Ne Is Makhlooq Ko Be Faaida Nahi Paida Kia, Tu Paak Hai Tu Qiamat Ke Din Hamain Dozakh Ke Azaab Se Bachiayo.

192
Ae Parwardigar Jis Ko Tu Ne Dozakh Main Dala Usse Ruswa Kia, Aur Zalimon Ka Koi Madaad Gaar Nahi.

193
Ae Parwardigar Ham Ne Aik Nida Karne Wale Ko Suna, Ke Eemaan Ke Liye Pukaar Raha Tha. Yaani Apne Parwardigaar Pe Eemaan Laao, Toh Ham Eemaan Le Aye, Ae Parwardigaar Hamare Gunnah Moaaf Farma , Aur Hamari Buraiyoun Ko Ham Se Mehev Kar, Aur Ham Ko Dunia Se, Naik Bandon Ke Sath Utha.

194
Ae Parwardgar Tu Ne Jin Jin Cheezoun Ke, Ham Se Apne Paighabaron Ke Zariye Se Waade Kiye Hain, Woh Hamain Ata Farma, Aur Qiamat Ke Din Hamain Ruswa Na Kijiyo, Kuch Shak Nahi Ke Tu Khilaaf-E-Waada Nahi Karta.

195
Toh Un Ke Parwardigaar Ne, Un Ki Dua Qabool Kar Li, Aur Farmaya, Ke Main Kisi Amal Karne Wale Ke Amal Ko, Mard Ho Ya Aurat, Zaaya Nahi Karta, Tum Aik Doosre Ki Jins Ho, Toh Joh Loug Mere Liye Watan Chor Gaye , Aur Apne Gharon Se Nikaale Gaye, Aur Sataye Gaye Aur Lare Aur Qatal Kiye Gaye, Main Un Ke Gunnah Door Kar Doonga, Aur Un Ko Behshaton Main Dakhil Karoonga, Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain, Yeh Khuda Ke Haan Se Badla Hai Aur Khuda Ke Haan Acha Badla Hai.

196
Ae Paighambar Kafiron Ka Shehron Main Chalna Phirna, Tumhain Dhoka Na De.

197
Yeh Dunia Ka Thora Sa Faaida Hai, Phir Aakhrat Main Tu Un Ka Thikana Dozak Hai, Aur Woh Buri Jagha Hai.

198
Lekin Joh Loug Apne Parwardigaar Se Darte Rahe, Un Ke Liye Baagh Hain, Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain, Aur Un Main Hamesha Rahain Ge, Yeh Khuda Ke Haan Se Un Ki Mehmaani Hai, Aur Joh Kuch Khuda Ke Haan Hai, Woh Naiko Kaaron Ke Liye Bohot Acha Hai.

199
Aur Baaz Ehl-E-Kitaab Aise Bhi Hain Joh Khuda Par, Aur Us Kitaab Par Joh Tum Par Nazil Hui, Aur Us Par Joh Un Par Nazil Hui Eemaan Rakhte Hain, Aur Khuda Ke Aage Aajzi Karte Hain, Aur Khuda Ki Aayaton Ke Badle Thori Si Qeemat Nahi Lete, Yeh Hi Loug Hain Jin Ka Sila Un Ke Parwardigaar Ke Haan Taiyaar Hai, Aur Khuda Jald Hisaab Lene Wala Hai.

200
Ae Ehl-E-Eeman! Kuffar Ke Muqable Main Sabit Qadam Raho Aur Istiqamat Rakho, Aur Morchoun Par Jame Raho, Aur Khuda Se Daro Taa-Ake Muraad Haisl Karo.

Sadaqallah-ul-Azeem

By admin