39-Soorah-Az-Zumar-Aayaat-75

 

Table of Contents

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1

Is Kitaab Ka Utaara Jaana Khuda-E-Ghalib Aur Hikmat Wale Ki Taraf Se Hai.

2

Ae Paigambar S.A.W. Ham Ne Ye Kitaab Tumhari Taraf Sachaayee Ke Sath Nazil Ki Hai Toh Khuda Ki Ibadat Karo Yaani Us Ki Ibadat Ko Shirk Se Khalis Kar Ke.

3

Daikho Khalis Ibadat Khuda Hi Ke Liye Zeba Hai Aur Jin Lougon Ne Us Ke Siwa Aur Dost Banaye Hain. Wo Kehte Hain Ke Ham Un Ko Is Liye Poojte Hain Ke Ham Ko Khuda Ka Maqrab Bana Dain. Toh Jin Baatoun Main Ye Ikhtilaaf Karte Hain Khuda Un Main Un Ka Faisla Kar De Ga,  Be Shak Khuda Us Shakhs Ko Joh Jhoota Na Shukra Hai Hidayat Nahi Deta.

4

Agar Khuda Kisi Ko Apna Beta Banana Chahata , Toh Apni Makhlooq Main Se Jis Ko Chahata Hai Intikhaab Kar Leta. Wo Paak Hai Wo Hi Toh Khuda Yakta Aur Ghalib Hai.

5

Ussi Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Tadbeer Ke Sath Paida Kia Hai. Aur Wo Hi Raat Ko Din Par Lapait-Ta Hai Aur Din Ko Raat Par Lapait-Ta Hai, Aur Ussi Ne Sooraj Aur Chaand Ko Bas Main Kar Rakha Hai. Sab Aik Waqt-E-Muqarrar Par Chalte Rahain Ge. Daikho Wo Hi Galib Aur Bakhashne Wala Hai.

6

Ussi Ne Tum Ko Aik Shakhs Se Paida Kia,  Phir Us Se Us Ka Jora Banaya Aur Ussi Ne Tumhare Liye Chaar Paayoun Main Se Aath(8) Jore Banaye. Wo Hi Tumko Tumhari Maaoun(Mothers) Ke Pait Main Pehle Aik Tarha,  Phir Doosri Tarha Teen Andhairoun Main Banata Hai. Ye Hi Khuda Tumhara Parwardigar Hai Usi Ki Baadshaahi Hai Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi, Phir Tum Kahan Phire Jate Ho?

7

Agar Na Shukri Karo Ge, Toh Khuda Tum Se Be Parwah Hai. Aur Wo Apne Bandoun Ke Liye Na Shukri Pasand Nahi Karta Aur Agar Shukar Karo Ge, Toh Wo Us Ko Tumhare Liye Pasand Kare Ga. Aur Koi Uthaane Wala Doosre Ka Bojh Nahi Uthaaye Ga. Phir Tumko Apne Parwardigar Ki Taraf Loutna Hai. Phir Joh Kuch Tum Karte Rahe Wo Tum Ko Bataye Ga. Wo Toh Diloun Ki Posheeda Baatoun Tak Se Aagah Hai.

8

Aur Jab Insaan Ko Takleef Pohonchti Hai Toh Apne Parwardigar Ko Pukaarta, Aur Us Ki Taraf Dil Se Rujoo Karta Hai.  Jab Wo Us Ko Apni Taraf Se Koi Naimat Deta Hai, Toh Jis Kaam Ke Liye Pehle Is Ko Pukaarta Hai Usse Bhool Jaata Hai Aur Khuda Ka Shareek Banane Rakhta Hai,  Taa-Ake Lougon Ko Us Ke Raste Se Gumrah Kare. Keh Do Ke Ae Kaafir-E-Naimat Apni Nashukri Se Thora Faaida Utha Le. Phir Tu Toh Dozakhiyoun Main Hoga.

9

Bhala Mushrik Acha Hai, Ya Wo Joh Raat Ke Waqtoun Main Zameen Par Paishani Rakh Kar Aur Khare Ho Kar Ibadat Karta Aur Aakhrat Se Darta Aur Apne Parwardigar Ki Rehmat Ki Umeed Rakhta Hai.Kaho Bhala Joh Loug Ilm Rakhte Hain Aur Joh Nahi Rakhte Dono Barabar Ho Sakte Hain? Aur Naseehat Toh Wo Hi Pakarte Hain Joh Aqalmand Hain.

10

Keh Do Ke Ae Mere Bando Joh Eemaan Laaye Ho Apne Parwardigar Se Daro. Jinhoun Ne Is Dunia Main Naiki Ki Un Ke Lyie Bhalayee Hai. Aur Khuda Ki Zameen Khsuhada Hai. Joh Sabar Karne Wale Hain Un Ko Be Shumaar Sawaab Mile Ga.

11

Keh Do Ke Mujh Se Irshaad Hua Hai,  Ke Khuda Ki Ibadat Ko Khalis Kar Ke Us Ki Bandage Karoon.

12

Aur Ye Bhi Irhsaad Hua Hai Ke Main Sab Se Awwal Musalmaan Banoon.

13

Keh Do Ke Agar Main Apne Parwardigar Ka Hukum Na Maanoon Toh Mujhe Bare Din Ke Azaab Se Dar Lagta Hai.

14

Keh Do Ke Main Apne Deen Ko Shirk Se Khalis Kar Ke Us Ki Ibadat Karta Hoon.

15

Toh Tum Us Ke Siwa,  Jis Ki Chaho Parastish Karo. Keh Do Ke Nuqsaan Uthaane Wale Wo Hi Loug Hain, Jinhoun Ne Qiamat Ke Din Apne Aap Ko Aur Apne Ghar Waaloun Ko Nuqsan Main Daala. Daikho Ye Hi Sareeh Nuqsaan Hai.

16

Un Ke Oopar Toh Aag Ke Saaibaan Houge Aur Neeche Us Ke Farsh Hounge. Ye Wo Azaab Hai Jis Se Khuda Apne Bandoun Ko Darata Hai. Toh Ae Mere Bando Mujh Se Darte Raho.

17

Aur Jinhoun Ne Is Se Ijtinaab Kia Ke Butoun Ko Poojain Aur Khuda Ki Taraf Rujoo Kia, Un Ke Liye Bisharat Hai,  Toh Mere Bandoun Ko Bisharat Suna Do.

18

Joh Baat Ke Sunte Aur Achi Baatoun Ki Pairwi Karte Hain. Ye Hi Wo Loug Hain Jin Ko Khuda Ne Hidayat Di Aur Ye Hi Aqal Wale Hain.

19

Bhala Jis Shaksh Par, Azaab Ka Hukum Saadir Ho Chukka. Toh Kia Tum Aise Dozakhi Ko Mukhlasi De Sako Ge.

20

Lekin Joh Log Apne Parwardigar Se Darte Hain, Un Ke Liye Oonche Oonche Mehel Hain, Jin Ke Oopar Baala Khaane Bane Hue Hain. Aur Un Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain. Ye Khuda Ka Waada Hai. Khuda Wade Ke Khilaaf Nahi Karta.

21

Kia Tum Ne Nahi Daikha, Ke Khuda Aasmaanoun Se Paani Nazil Karta, Phir Us Ko Zameen Main Chashme Bana Kar Jaari Karta, Phir Us Se Khaiti Ugaata Hai,  Jis Ke Tarha Tarha Ke Rang Hote Hain Phir Wo Khushk Ho Jati Hai, Toh Tum Us Ko Daikhte Ho Ke Zard Ho Gai Hai, Phir Usse Choora Choora Kar Deta Hai. Be Shak Us Main Aqal Waaloun Ke Liye Naseehat Hai.

22

Bhala Jis Shakhs Ka Sena Khuda Ne Islaam Ke Liye Khol Dia Ho Aur Wo Apne Parwardigar Ki Taraf Se Roshni Par Ho, Toh Kia Wo Sakht Dil Kafir Ki Tarha Ho Sakta Hai,  Pas Un Par Afsos Hai Un Ke Dil Khuda Ki Yaad Se Sakht Ho Rahe Hain Aur Ye Hi Loug Sareeh Gumrahi Main Hain.

23

Khuda Ne Nihayat Achi Baatain Nazil Farmaye Hain, Yaani Kitaab Jis Ki Aayatain Baham Milti Julti Hain Aur Dohraaye Jati Hain, Joh Loug Apne Parwardigar Se Darte Hain, Un Ke Badan Ke Is Se Rounghthe Khare Ho Jate Hain. Phir Un Ke Badan Aur Dil Naram Ho Kar Khuda Ki Yaad Ki Taraf Mutawajoh Ho Jate Hain. Ye Hi Khuda Ki Hidayat Hai, Wo Is Se Jis Ko Chahta Hai Hidayat Deta Hai. Aur Jis Ko Khuda Gumhrah Kare,Us Ko Koi Hidayat Dene Wala Nahi.

24

Bhala Joh Shakhs Qiamat Ke Din Apne Moonh Se Bure Azaab Ko Rokta Ho, Kia Wo Aisa Ho Sakta Hai Joh Chain Main Ho Aur Zalimoun Se Kaha Jaye Ga, Ke Joh Kuch Tum Karte Rahe The Us Ke Mazeh Chakho.

25

Joh Loug Un Se Pehle The Unhoun Ne Bhi Takzeeb Ki Thi, Toh Un Par Azaab Aisi Jaga Se Aa Gaya Ke Un Ko Khabar Hi Na Thi.

26

Phir Unko Khuda Ne Dunia Ki Zindagi Main Ruswayee Ka Mazah Chakha Dia. Aur Aakhrat Ka Azaab Toh Bohot Bara Hai. Kaash Ye Samajh Rakhte.

27

Aur Ham Ne Lougn Ke Samjhane Ke Liye Is Quraan Main Har Tarha Ki Misaalain Bayan Ki Hain, Taa-Ake Wo Naseehat Pakrain.

28

Ye Quraan Arabi Hai, Jis Main Koi Aib Aur Ikhtilaaf Nahi Taa-Ake Wo Dar Maanain.

29

Khuda Aik Misaal Bayan Karta Hai, Ke Aik Shaksh Hai, Jis Main Kaiee Aadmi Shareek Hain. Mukhtalif-Ul-Mizaaj Aur Bad Kho Aur Aik Aadmi Khaas Aik Shakhs Ka Gulaam Hai. Bhala Dono Ki Halat Barabar Hai. Nahi Alhamulillah, Balke Ye Aksar Loug Nahi Jaante.

30

Ae Paigambar S.A.W. Tum Bhi Mar Jaao Ge Aur Ye Bhi Mar Jayen Ge.

31

Phir Tum Sab Qiamat Ke Din Apne Parwardigar Ke Samne Jhagro Ge Aur Jhagra Faisal Kar Dia Jaye Ga.

32

Toh Is Se Barh Kar Zalim Koun Joh Khuda Par Jhoot Bole Aur Sachi Baat Jab Us Ke Paas Pohonch Jaye Toh Usse Jhutlaye. Kia Jahannum Main Kaafiroun Ka Thikana Nahi Hai?

33

Aur Joh Shakhs Sachi Baat Le Kar Aaya Aur Jis Ne Us Ki Tasdeeq Ki Wo Hi Loug Muttaqi Hain.

34

Wo Joh Chahain Ge, Un Ke Liye Un Ke Parwardigar Ke Paas Mojood Hai. Naiko Karoun Ka Ye Hi Badla Hai.

35

Taa-Ake Khuda Un Se Buraaiyoun Ko Joh Unhoun Ne Keen, Door Kare De Aur Naik Kaamoun Ka, Joh Wo Karte Rahe, Un Ko Badla De.

36

Kia Khuda Apne Bandoun Ko Kafi Nahi.

Aur Ye Tumko Un Logon Se, Joh Us Ke Siwa Hain, Yaani Ghair Khuda Se Darate Hain. Aur Jis Ko Khuda Gumrah Kare Usse Koi Hidayat Dene Wala Nahi.

37

Aur Jis Ko Khuda Hidayat De Us Ko Koi Gumrah Karne Wala Nahi. Kia Khuda Ghalib Aur Badla Lene Wal Nahi Hai?

38

Aur Agar Tum Un Se Poocho Ke Aasmaanoun Aur Zameen Ko Kis Ne Paida Kia, Toh Keh Dain Ge Ke Khuda Ne. Kaho Ke Bhala Daikho Toh, Jisko Tum Khuda Ke Siwa Pukaarte Ho. Agar Khuda Mujh Ko Koi Taleef Pohonchani Chahe, Toh Kia Wo Us Takleef Ko Door Kar Sakte Hain, Ya Agar Mujh Par Meherbaai Karna Chahe Toh Wo Us Ki Meherbaani Ko Rouk Sakte Hain?  Keh Do Ke Mujhe Khuda Hi Kafi Hai. Bharosa Rakhne Wale, Ussi Par Bharosa Rakhte Hain.

39

Keh Do Ke Ae Qoum Tum Apni Jaga Amal Kiye Jaao, Main Apni Jaga Amal Kiye Jata Hoon. Anqareeb Tum Ko Maloom Ho Jaye Ga.

40

Ke Kis Par Azaab Aata Hai Joh Usse Ruswa Kare Ga. Aur Kis Par Hamesha Ka Azaab Nazil Hota Hai.

41

Ham Ne Tum Par Kitaab, Lougon Ki Hidayat Ke Liye, Sachaayee Ke Sath Nazil Ki Hai. Toh Joh Shakhs Hidayat Paata Hai,  Toh Apne Bhale Ke Liye Aur Joh Gumraah Hota Hai Toh Gumhrahi Se Apna Hi Nuqsaan Karta Hai. Aur Ae Paigambar S.A.W. Tum Un Ke Zimme Daar Nahi Ho

42

Khuda Lougon Ke Marne Ke Waqt, Un Ki Roohain Qabz Kar Leta Hai Aur Joh Mare Nahi Un Ki Roohain Sote Main Qabz  Kar Leta Hai, Phir Jin Par Mout Ka Hukum Kar Chukta Hai, Un Ko Rouk Rakhta Hai Aur Baqi Roohoun Ko Aik Waqt-E-Muqarrar Tak Ke Liye Chor Deta Hai. Joh Loug Fikar Karte Hain Un Ke Liye Is Main Nishaaniyan Hain.

43

Kia Unhoun Ne, Khuda Ke Siwa Aur Sifaarshi Bana Liye Hain. Kaho Ke Khuah Wo Kisi Cheez Ka Bhi Ikhtiyaar Na Rakhte Houn Aur Na Kuch Samajhte Hi Houn.

44

Keh Do Ke Sifarish Toh Sab Khuda Hi Ke Ikhtiyaar Main Hai. Ussi Ke Liye Aasmaanoun Aur Zameen Ki Baadshaht Hai, Phir Tum Ussi Ki Taraf Lout Kar Jao Ge.

45

Aur Jab Tanha Khuda Ka Zikar Kia Jata Hai, Toh Joh Loug Aakhrat Par Eemaan Nahi Rakhte, Un Ke Dil Munnqabiz Ho Jate Hain Aur Jab Us Ke Siwa Auroun Ka Zikar Kia Jata Hai Toh Khush Ho Jate Hain.

46

Kaho Ke, Ae Khuda, Ae Aasmaanoun Aur Zameen Ke Paida Karne Wale Aur Posheeda Aur Zahir Ke Jaan-Ne Wale Tu Hi Apne Bandoun Main Un Baatoun Ka, Jin Main Wo Ikhtilaaf Karte Rahe Hain Faisla Kare Ga.

47

Aur Agar Zaalimoun Ke Pas Wo Sab Maal-O-Mataa Ho, Joh Zameen Main Hai Aur Us Ke Sath Ussi Qadar Aur Ho Toh Qiamat Ke Roz Bure Azab Se Mukhlasi Paane Ke Badle Main De Dain. Aur Un Par Khuda Ki Taraf Se Wo Amar Zahir Ho Jaaye Ga, Jis Ka Un Ko Khayal Bhi Na Tha.

48

Aur Un Ke Aamaal Ki Buraaiyan Un Par Zaahir Ho Jaayengi Aur Jis Azaab Ki Wo Hansi Uraate The Wo Un Ko Aa Ghaire Ga.

49

Jab Insaan Ko Takleef Pohonchti Hai Toh Hamain Pukaarne Lagta Hai. Phir Jab Ham Us Ko Apni Tararf Se Naimat Bakhashte Hain, Toh Kehta Hai Ke Ye Toh Mujhe Mere Ilm-O-Danish Ke Sabab Mili Hai. Nahi, Balke Wo Aazmaaish Hai, Magar Un Main Se Aksar Nahi Jaante.

50

Joh Loug Un Se Pehle The, Wo Bhi Ye Hi Kaha Karte The, Toh Joh Kuch Wo Kia Karte The, Un Ke Kuch Kaam Bhi Na Aaya.

51

Un Par Un Ke Aamaal Ke Wabaal Par Gaye Aur Joh Loug Un Main Se Zulm Karte Rahe Hain, Un Par Un Ke Amaaloun Ke Wabaal Anqareeb Parain Ge. Aur Wo Khuda Ko Aajiz Nahi Kar Sakte.

52

Kia Un Ko Maloom Nahi, Ke Khuda Hi Jis Ke Liye Chahata Hai Rizq Ko Farakh Kar Deta Hai Aur Jis Ke Liye Chahta Hai Tang Kar Deta Hai. Joh Loug Eemaan Laate Hain Un Ke Liye Is Maim Bohot Si Nishaniyan Hain.

53

Ae Paigambar S.A.W. Meri Taraf Se Lougon Se Keh Do, Ke Ae Mere Bando, Jinhoun Ne Apni Jaanoun Par Ziaadti Ki Hai, Khuda Ki Rehmat Se Na Umeed Na Hona. Khuda Toh Sab Gunaahoun Ko Bakhsh Deta Hai. Aur Wo Toh Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

54

Aur Is Se Pehle Ke Tum Par Azaab Aa Waqe Ho, Apne Parwardigar Ki Taraf Rujoo Karo Aur Us Ke Farmabardaar Ho Jao Phir Tum Ko Madad Nahi Mile Gi.

55

Aur Is Se Pehle Ke Tum Par Nagahaan Azaab Aa Jaye Aur Tumko Khabar Bhi Na Ho, Is Nihayat Achi Kitaab Ki, Joh Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se, Tum Par Nazil Hui Hai Pairwi Karo.

56

Ke Mubaada Us Waqt Koi Muttnafis Kehne Lage Ke Haaye Haaye Us Taqseer Par Afsos Hai, Joh Main Ne, Khuda Ke Haq Main Ki Aur Main Toh Hansi Hi Karta Raha.

57

Ya Ye Kehne Lage Ke Agar Khuda Mujh Ko Hidayat Deta Toh Main Bhi Parhaizgaaroun Main Hota.

58

Ya Jab Azaab Daikh Le, Toh Kehne Lage Ke, Agar Mujhe Phir Aik Dafa Dunia Main Jaana Ho, Toh Main Naiko Kaaroun Main Ho Jaaon.

59

Khuda Farmaaye Ga Kion Nahi Meri Aayatain Tere Pas Pohonch Gai Hain, Magar Tu Ne Un Ko Jhutlaya Aur Shaikhi Main  Aa Gaya Aur Tu Kaafir Ban Gaya.

60

Aur Jin Lougon Ne Khuda Par Jhoot Bola, Tum Qiamat Ke Din Daikho Ge Ke Un Ke Moonh Kaale Ho Rahe Hounge. Kia Gharoor Karne Waloun Ka Thikana Dozakh Main Nahi Hai.

61

Aur Joh Parhaizgaar Hain Un Ki Saa-Adat Aur Kaamyabi Ke Sabab Khuda Un Ko Nijaat De Ga, Na Toh Un Ko Koi Sakhti Pohonche Gi Aur Na Ghamnaak Hounge.

62

Khuda Hi Har Cheez Ka Paida Karne Wala Hai. Aur Wo Hi Har Cheez Ka Nigraan Hai.

63

Ussi Ke Pas Aasmanoun Aur Zameen Ki Kunjiyaan Hain. Aur Jinhoun Ne Khuda Ki Aayatoun Se Kufur Kia, Wo Hi Nuqsaan Uthaane Wale Hain.

64

Keh Do Ke Ae Nadaano, Tum Mujh Se Ye Kehte Ho Ke Main Gair Khuda Ki Parastish Karne Lagoon.

65

Aur Ae Muhammad S.A.W. Tumhari Taraf Aur Un Paigambaroun Ki Taraf, Joh Tum Se Pehle Ho Chuke Hain, Ye Hi Wahi Bhaiji Gai Hai. Ke Agar Tum Ne Shirk Kia, Toh Tumhare Amal Barbaad Ho Jaayen Ge Aur Tum Zayaa Karoun Main Ho Jao Ge.

66

Balke Khuda Hi Ki Ibadat Karo, Aur Shukar Guzaaroun Main Ho.

67

Aur Unhoun Ne Khuda Ki Qadar Shanasi Jaisi Karni Chahiye Thi Nahi Ki. Aur Qiamat Ke Din Tamaam Zameen Us Ki Mutthi Main Hogi Aur Aasmaan Us Ke Daahne Hath Main Lipte Hougne. Aur Wo Un Lougon Ke Shirk Se Paak Aur Aali Shaan Hai.

68

Aur Jab Soor Phoonka Jaye Ga, Toh Joh Loug Aasmaan Main Hain Aur Joh Zameen Main Hain Sab Be Hosh Ho Kar Girr Parainge Magar Wo, Jis Ko Khuda Chahe. Phir Doosri Dafa Phoonka Jaye Ga Toh Foran Sab Khare Ho Kar Daikhne Lagen Ge.

69

Aur Zameen Apne Parwardigar Ke Noor Se Jagmaga Uthe Gi, Aur Aamaal Ki Kitaab Khol Kar Rakh Di Jaye Gi Aur Paigamabar Aur, Aur Gawah Hazir Kiye Jayen Ge,  Aur Un Main Insaaf Ke Sath Faisla Kia Jaye Ga Aur Be Insaafi Nahi Ki Jaye Gi.

70

Aur Jis Shakhs Ne Joh Amal Kia Hoga, Us Ko Us Ka Poora Poora Badla Mill Jaye Ga Aur Joh Kuch Ye Karte Hain Un Ko Sab Ki Khabar Hai.

71

Aur Kafiroun Ko Guroh Guroh Bana Kar Jahannum Ki Taraf Le Jaayen Ge. Yahan Tak Ke Jab Wo Us Ke Paas Pohonch Jaayen Ge Toh Us Ke Darwaze Khol Diye Jaye Ge, Toh Is Ke Darogha Un Se Kahain Ge Ke Kia Tumahre Paas, Tum Hi Main Se Paigamabar Nahi Aaye The, Joh Tumko Tumhare Parwardigar Ki Aayatain Parh Parh Kar Sunate Aur Us Din Ke Paish Aane Se Darate The. Kahain Ge Kion Nahi, Lekin Kaafiroun Ke Haq Main Azaab Ka Hukum Mutahaqiq Ho Chukka Tha.

72

Kaha Jaye Ga Ke Dozakh Ke Darwazoun Main Dakhil Ho Jao Hamesha Is Main Raho Ge. Takkabur Karne Waloun Ka Bura Thikana Hai.

73

Aur Joh Loug Apne Parwardiar Se Darte Hain Un Ko Guroh Guroh Bana Kar Behshat Ki Taraf Le Jaayen Ge, Yahan Tak Ke Jab Us Ke Pas Pohounch Jayen Ge Aur Us Ke Darwaaze Khol Diye Jaye Ge, Toh Us Ke Darogha Un Se Kahain Ge Ke Tum Par Salam, Tum Bohot Ache Rahe. Ab Is Main Hamesha Ke Liye Dakhil Ho Jao.

74

Wo Kahain Ge Ke Khuda Ka Shukar Hai Jis Ne Apne Waade Ko Ham Se Sacha Kar Dia Aur Ham Ko Is Zameen Ka Waris Bana Dia Ham Behshat Main Jis Makaan Main Chahain Rahain, Toh Ache Amal Karne Waloun Ka Badla Bhi Kaisa Khoob Hai.

75

Tum Farishtoun Ko Daikho Ge, Ke Arsh Ke Girdd Ghaira Baandhe Hue Hain Aur Apne Parwardigar Ki Taareef Ke Sath Tasbeeh Kar Rahe Hain. Aur Un Main Insaaf Ke Sath Faisla Kia Jaye Ga Aur Kaha Jaye Ga Ke Har Tarha Ki Taareef Khuda Hi Ko Sazawar Hai Joh Sare Jahan Ka Malik Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^