64-Soorah-al-Taghabun-Aayaat-18

Table of Contents

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

 

1

Joh Cheez Aasmaanoun Main Hai Aur Joh Cheez Zameen Main Hai Sab Khuda Ki Tasbeeh Karti Hai. Ussi Ki Sachi Baadshahi Hai Aur Ussi Ki Taareef La Matnaahi Hai Aur Wo Har Cheez Par Qadir Hai.

 

2

Wo Hi Toh Hai Jis Ne Tum Ko Paida Kia,  Phir Koi Tum Main Kafir Hai Aur Koi Momin. Aur Joh Kuch Tum Karte Ho Khuda Usko Daikhta Hai.

 

3

Ussi Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Mabni Bar Hikmat Paida Kia Aur Ussi Ne Tumhari Sooratian Banayee Aur Sooratain Bhi Pakeeza Banayee. Aur Ussi Ki Taraf Tumhain Lout Kar Jaana Hai.

 

4

Joh Kuch Aasmanoun Aur Zameen Main Hai,  Wo Sab Jaanta Hai Aur Joh Kuch Tum Chupa Kar Karte Ho Aur Joh Khullam Khulla Karte Ho Uss Se Bhi Aagah Hai. Aur Khuda Dil Ke Bhaidoun Se  Waqif Hai.

 

5

Kia Tum Ko Un Lougon Ke Haal Ki Khabar Nahi Pohonchi, Joh Pehle Kafir Hue The, Toh Unhoun Ne Apne Kaamoun Ki Saza Ka Mazah Chakh Liya Aur Abhi Dukh Dene Wala Azaab Aur Hona Hai.

 

 

 

6

Ye Isliye Ke, Un Ke Paas Paigamar Khuli Nishaniyaa Le Kar Aate Toh, Ye Kehte Ke Kia Aadmi Hamare Haadi Bante Hain? Toh Unhoun Ne Un Ko Na Maana Aur Moonh Phair Liya Aur Khuda Ne Bhi Be Parwaaye Ki. Aur Khuda Be Parwa Aur Sazawaar Hamd-O-Sana Hai.

 

7

Joh Loug Kafir Hain Un Ka Aitaqaad Hai Ke Wo Dobarah Har Gizz Nahi Uthaye Jayen Ge. Keh Do Ke Haan Haan, Mere Parwardigar Ki Qasam Tum Zaroor Uthaye Jao Ge,  Phir Joh Joh Kaam Tum Karte Ho Wo Tumhain Bataye Jaye Ge Aur Ye Baat Khuda Ko Asaan Hai.

 

8

Toh Khuda Par Aur Us Ke Rasool Par Aur Noor-E-Qraan Par Joh Ham Ne Nazil Farmaya Hai Eemaan Lao. Aur Khuda Tumhare Sab Aamaal Se Khabardaar Hai.

 

9

Jis Din Wo Tum Ko Ikkhate Hone Yaani Qiamat Ke Din Ikhata Kare Ga, Wo Nuqsan Uthane Ka Din Hai. Aur Joh Shakhs Khuda Par Eemaan Laye Aur Naik Amal Kare, Wo Us Se Us Ki Buraiyan Door Kar De Ga Aur Baaghaaye Behshat Main Jin Ke Naeeche Nehrain Beh Rahi Hain Dakhil Kare Ga. Hamesha Un Main Rahinge Ye Bari Kaamyabi Hai.

 

10

Aur Jinhoun Ne Kufur Kia Aur Hamari Aayatoun Ko Jhutlaya, Wo Hi Ehl-E-Dozakh Hain. Hamesha Us Main Rahainge.Aur Wo Buri Jaga Hai.

 

11

Koi Museebat Nazil Nai Hoti Magar Khuda Ke Hukum Se. Aur Joh Shaksh Khuda Par Eemaan Laata Hai, Wo Us Ke Dil Ko Hidyyat Deta Hai. Aur Khuda Har Cheez Se Bahkahbar Hai.

 

 

12

Aur Khuda Ki Itaa-At Karo Aur Us Ke Rasool Ki Itaa-At Karo. Agar Tum Moon Phair Lo Ge, Toh Hamare Paigamabar Ke Zimme, Toh Sirf Paigaam Ka Khol Khol Kar Pohoncha Dena Hai.

 

13

Khuda Joh Maabood-E-Barhaq Hai Us Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi,  Toh Mominoun Ko Chahiye Ke Khuda Hi Par Bharosa Rakhain.

 

14

Momino! Tumhari Aurtaoun Aur Aulad Main Se Baaz Tumhare Dushaman Bhi Hain, So Un Se Bachte Raho. Aur Agar Moaf Kar Do Aur Dar Guzar Karo Aur Bakhsh Do, Toh Khuda Bhi Bakhshne Wala Meherbaan Hai.

 

15

Tumhara Maal Aur Tumhari Aulad, Toh Aazmaaish Hai. Aur Khuda Ke Haan Bara Ajar Hai.

 

16

So Jahan Tak Ho Sake Khuda Se Daro Aur Us Ke Ehkaam Ko Suno Aur Us Ke Farmabardaar Raho Aur Us Ki Raah Mai Kharach Karo Ye Tumhare Haq Main Behtar Hai. Aur Joh Shakhs Tabiayat Ke Bukhal Se Bahca Liya Gaya Toh Aise Hi Loug Raah Pane Wale Hain.

 

17

Agar Tum Khuda Ko Ikhlaas Aur Niyaat-E-Naik Se Qarz Do Ge, Toh Wo Tum Ko Us Ka Do Chand De Ga Aur Tumhare Gunnah Bhi Moaaf Kar De Ga. Aur Khuda Qadar Shanaas Aur Burdbaar Hai.

 

18

Posheeda Aur Zahir Ka Jaan-Ne Wala Ghalib Aur Hikmat Wala Hai.

 

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.