72-Soorah-Al-Jinn-Aayaat-28

Table of Contents

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1

Ae Paigambar S.A.W. Lougon Se Keh Do Ke Mere Paas Wahi Aayee Hai, Ke Jinnnon Ki Aik Jamaat Ne Us Kitaab Ko Suna, Toh Kehne Lage Ke Ham Ne Aik Ajeeb Quraan Suna.

2

Joh Bhalayee Ka Raasta Batata Hai, So Ham Us Par Eemaan Le Aaye. Aur Ham Apne Parwardigar Ke Sath Kisi Ko Shareek Nahi Banaye Ge.

3

Aur Ye Ke Hamare Parwardigar Ki Azmat Shaan Bohot Bari Hai Wo Na Biwi Rakhta Hai Na Aulaad.

4

Aur Ye Ke Ham Main Se Baaz Be Waqoof  Khuda Ke Baare Main Jhoot Iftiraa Karta Hai.

5

Aur Hamara Ye Khyaaal Tha, Ke Insaan Aur Jinn Khuda Ki Nisbat Jhoot Nahi Bolte.

6

Aur Ye Ke Baaz Bani Adam, Baaz Jinnat Ki Panah Pakra Karte The, Us Se Un Ki Sar Kashi Aur Barh Gai Thi.

7

Aur Ye Ke Un Ka Bhi Ye Hi Aitqaad Tha Jis Tarha Tumhara Tha Ke Khuda Kisi Ko Nahi Jilaye Ga.

8

Aur Ye Ke Ham Ne Aasmaan Ko Tatola, Toh Us Ko Mazboot Choukeedaaroun Aur Angaaroun Se Bhara Hua Paaya.

9

Aur Ye Ke Pehle Ham Wahan Bohot Se Maqamaat Main Khabarain Sunn-Ne Ke Liye Baitha Karte The. Ab Koi Sunn-Na Chahe Toh Apne Liye Angaara Taiyaar Paye.

10

Aur Ye Ke Hamain Maloom Nahi Ke Us Se Ehl-E-Zameen Ke Haq Main Burai Maqsood Hai, Ya Un Ke Parwardigar Ne Un Ki Bhalyee Ka Irada Farmaya Hai.

11

Aur Ye Ke Ham Main Koi Naik Hain Aur Koi Aur Tarha Ke. Hamare Kaiee Tarha Ke Mazhab Hain.

12

Aur Ye Ke Ham Ne Yaqeen Kar Liya Hai, Ke Ham Zameen Main Khuah Kahin Houn Khuda Ko Hara Nahi Sakte Aur Na Bhaag Kar Usko Thaka Sakte Hain.

13

Aur Jab Ham Ne Hidayat Ki Kitaab Suni, Us Par Eemaan Le Aaye. Toh Joh Shakhs Apne Parwardigar Par Eemaan Laata Hai, Us Ko Na Nuqsaan Ka Khof Hai Na Zulm Ka.

14

Au Ye Ke Ham Main Baaz Farmabardaar Hain Aur Baaz Nafarmaan Gunnehgaar Hain. Toh Joh Farmabardaar Hue Wo Seedhe Raste Par Chale.

15

Aur  Joh Gunnhegaar Hue Wo Dozakh Ka Eenadhan Bane.

16

Aur Ae Paigambar S.A.W.  Ye Bhi Un Se Keh Do Ke  Agar Ye Loug Seedhe Raaste Par Rehte Toh Ham Un Ke Peene Ko Bohot Sa Paani Dete.

17

Taa-Ake Us Se Un Ki Aazmaish Karain. Aur Joh Shakhs Apne Parwardigar Ki Yaad Se Moonh Phaire Ga, Wo Us Ko Sakht Azaab Main Dakhil Kare Ga.

18

Aur Ye Ke Masjidain Khaas Khuda Ki Hain,  Toh Khuda Ke Sath Kisi Aur Ki Ibadat Na Karo.

19

Aur Jab Khuda Ke Bande Muhammad S.A.W. Us Ki Ibadat Ko Khare Hue Toh  Kafir Un Ke Girrd Hajoom  Kar Lene Ko The.

20

Keh Do Ke Main Toh Apne Parwardigar Hi Ki Ibadat Karta Hoon Aur Kisi Ko Us Ka Shareek Nahi Banata.

21

Ye Bhi Keh Do, Ke Main Tumhare Haqq Main Nuqsaan Aur Nafa Ka Kuch Ikhtiyaar Nahi Rakhta.

22

Ye Bhi Keh Do Ke Khuda Ke Azaab Se Mujhe Koi Panaah Nahi De Sakta. Aur Main Us Ke Siwa Kahin Jaaye Panaah Nahi Daikhta.

23

Haan Khuda Ki Taraf Se Ehkaam Ka Aur Us Ke Paigaamoun Ka Pohoncha Dena Hi Mere Zimme Hai. Aur Joh Shaksh Khuda Aur Us Ke Paigambar Ki Nafarmaani Kare Ga,  Toh Aisoun Ke Liye Jahannum Ki Aag Hai, Hamesha Hamesha Us Main Rahainge.

24

Yahan Tak Ke Jab Ye Loug Wo Din Daikh Lainge, Jis Ka Un Se Waada Kia Jata Hai, Tab Un Ko Maloom Ho Jaye Ga, Ke Madagaar Kis Ke Kamzor Aur Shumar Kinn Ka Thora Hai.

25

Keh Do Ke Jis Din Ka Tum Se Waada Kia Jata Hai, Main Nahi Janta Ke Wo An Qareeb Aanee Wala Hai, Ya Mere Parwardigar Ne Us Ki Muddat Daraaz Kar Di Hai.

26

Wo Hi Ghaib Ki Baat Jaan-Ne Wala Hai Aur Kisi Par Apne Ghaib Ko Zahir Nahi Karta.

27

Haan Jis Paighambar Ko Pasand Farmaaye, Toh Us Ko Gaib Ki Baatian Bata Deta Aur Us Ke Aage Aur Peeche Nigehban Muqarar Kar Deta Hai.

28

Taa-Ake Maloom Farmaaye Ke Unhoun Ne Apne Parwardigar Ke Paigaam Pohoncha Diye Hain Aur Youn Toh, Us Ne Un Ki Sab Cheezoun Ko Har Taraf Se Qaboo Kar Rakha Hai Aur Aik Aik Cheez Gin Rakhi Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.