60-Soorah-al-Mumtahanah-Aayaat-13

Table of Contents

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1

Momino! Agar Tum Meri Raah Main Larne Aur Meri Khushnoodi Talab Karne Ke Liye Makke Se Nikle Ho, Toh Mere Aur Apne Dushmanoun Ko Dost Na Banao. Tum Toh Un Ko Dosti Ke Paighaam Bhaijte Ho Aur Wo Deen-E-Haq Se Joh Tumhare Paas Aaya Hai, Munkir Hain. Aur Is Baais Se Ke Tum Apne Parwardigar Khuda Taala Par Eemaan Laye Ho, Paighamabr Ko Aur Tum Ko Jala Watan Karte Hain. Tum Un Ki Taraf Posheeda Posheeda Dosti Ke Paighaam Bhaijte Ho. Aur Joh Kuch Tum Makhfi Tour Par Aur Joh Allal-Ailaan Karte Ho, Wo Mujhe Maloom Hai. Aur Joh Koi Tum Main Se Aisa Kare Ga Wo Seedhe Raaste Se Bhatak Gaya.

2

Agar Ye Kafir Tum Par Qudrat Paalain Toh Tumhare Dushaman Ho Jayen Aur Eeza Ke Liye Tum Par Hath Bhi Chalayen Aur Zabanain  Bhi Aur Chahte Hain Ke Tum Kisi Tarha Kafir Ho Jao.

3

Qiamat Ke Din Na Tumahare Rishte Naate Kaam Aaye Ge Aur Na Aulad. Us Roz Wo Hi Tum Main Faisla Kare Ga. Aur Joh Kuch Tum Karte Ho Khuda Us Ko Daikhte Hai.

4

Tumhain Ibrahim Aur Un Ke Rufuqa Ki Naik Chaal Chalna Zaroor Hai. Jab Unhoun Ne Apni Qoum Ke Lougon Se Kaha Ke Ham Tum Se Aur Un Buttouin Se, Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa Poojte Ho, Be Taalluq Hain Aur Tumhare Maaboodoun Ke Kabhi Qaail Nahi Ho Sakte Aur Jab Tak Tum Khuda-E-Wahid Par Eemaan Na Lao, Ham Main Tum Main Hamesha Khullam Khulla  Adawat Aur Dushmani Rahe Gi. Haan Ibrahim A.S. Ne Apne Baap Se Ye Zaroor Kaha Ke Main Aap Ke Liye Maghfirat Maangoon Ga Aur Main Khuda Ke Saamne Aap Ke Baare Main Kisi Cheez Ka Kuch Ikhtiyaar Nahi Rakhta. Ae Hamare Parwardigar Tujh Hi Par Hamara Bharosa Hai Aur Teri Hi Taraf Ham Rujoo Karte Hain Aur Tere Hi Hazoor Main Hamain Lout Kar Aaana Hai.

5

Ae Hamare Parwardigar Ham Ko Kaafiroun Ke Hath Se Azaab Na Dilana Aur Ae Parwardigar Hamare,Hamain Moaaf Farma. Be Shak Tu Ghaalib Hikmat Wala Hai.

6

Tum Muslamaanoun Ko Yaani, Joh Koi Khuda Ke Saamne Jane Aur Roz-E-Aakhrat Ke Aane Ki Umeed Rakhta Ho, Usse Un Lougn Ki Naik Chaal Chalni Zaroor Hai. Aur Joh Roo Gardani Kare, Toh Khuda Bhi Be Parwah Aur Saza Waar Hamd-O-Sana Hai.

7

Ajab Nahi Ke Khuda Tum Main Aur Un Lougon Main Jis Se Tum Dushmani Rakhte Ho, Dosti Paida Kar De. Aur Khuda Qaadir Hai Aur Khuda Bakhshne Wala Meherbaan Hai.

8

Jin Lougn Ne Tum Se Deen Ke Baare Main Jang Nahi Ki Aur Na Tum Ko Tumhare Gharoun Se Nikala, Un Ke Sath Bhalayee Aur Insaaf Ka Salook Karne Se,Khuda Tum Ko Mana Nahi Karta. Khuda Toh Insaaf Karne Waloun Ko Dost Rakhta Hai.

9

Khuda Un Hi Lougon Ke Sath Tum Ko Dosti Karne Se Mana Karta Hai, Jinhoun Ne Tum Se Deen Ke Baare Main Larayee Ki Aur Tum Ko Tumahare Gharoun Se Nikala Aur Tumahre Nikaalne Main Auroun Ki Madad Ki. Toh Joh Loug Aisoun Se Dosti Kariange Wo Hi Zalim Hain.

10

Momino! Jab Tumhare Pas Momin Aurtain Watan Chor Kar Aayen Toh Un Ki Aazmaaish Kar Lo Aur Khuda Toh Un Ke Eemaan Ko Khoob Janta Hai. So Agar Tum Ko Maaloom Ho, Ke Momin Hain Toh Un Ko Khuffar Ke Paas Wapas Na Bhaijao. Ke, Na Ye Un Ko Halaal Hain Aur Na Wo Un Ko Jaaiz. Aur Joh Kuch Unhoun Ne Un Par Kharach Kia Ho, Wo Un Ko De Do. Aur Tum Par Kuch Gunnah Nahi Ke Un Aurtoun Ko Meher De Kar Un Se Nikaah Kar Lo Aur Kafir Aurtoun Ki Namoos Ko Qabze Main Na Rakho, Yaaani Kuffar Ko Wapas De Do Aur Joh Kuch Tum Ne Un Par Kharch Kia Ho Tum Un Se Talab Kar Lo Aur Joh Kuch Unhoun Ne Apni Aurtoun Par Kharch Kia Ho Wo Tum Se Talab Kar Lain. Ye Khuda Ka Hukum Hai Joh Tum Main Faisla Kiye Deta Hai Aur Khuda Jaan-Ne Wala Hikmat Wala Hai.

11

Aur Agar Tumahri Aurtoaun Main Se Koi Aurat Tumhare Hath Se Nikal Kar Kaafiroun Ke Paas Chali Jaye Aur Us Ka Meher Wasool Na Hua Ho, Phir Tum Un Se Jang Karo Aur Un Se Tum Ko Ghaneemat Hath Lage, Toh Jin Ki Aurtain Chali Gai Hain, Un Ko Us Maal Main Se Itna De Do, Jitna Unhoun Ne Kharch Kia Tha Aur Khuda Se Jis Par Tum Eemaan Laye Ho Daro.

12

Ae Paigamabar S.A.W. Jab Tumhare Paas Momin Aurtain, Is Baat Par Bait Karne Ko Aayen,  Ke Khuda Ke Sath Na Toh Shirk Karian Gi, Na Chori Karaingi Na Badkaari Karaingi Na Apni Aulad Ko Qatal Karaingi, Na Apne Hath Paaon Main Koi Bohtaan Baandh Laayengi Aur Na Nai Kaamoun Main Tumhari Nafarmani Kariangi Toh Un Se Bait Le Lo Aur Un Ke Liye Khuda Se Bakhsish Mango. Be Shak Khuda Bakhsne Wala Meherbaan Hai.

13

Momino! Un Lougon Se, Jin Par Khuda Ghusse Hua Hai Dosti Na Karo, Kion Ke Jis Tarh Kaafiroun Ko Murdoun Ke Jee Uthne Ki Umeed Nahi, Ussi Tarha Un Lougon Ko Bhi Aakhrat Ke Aane Ki Umeed Nahi.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^