90-SOORAH-AL-BALAD-AAYAAT-20

 

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1

Hamain Is Sheher-E-Makkah Ki Qasam.

2

Aur Tum Issi Sheher Main Toh Rehte Ho.

3

Aur Baap Yaani Aadam Aur Us Ki Aulaad Ki Qasam.

4

Ke Ham Ne Insaan Ko Takleef Ki Halat Main Rehne Wala Banaya Hai.

5

Kia Wo Khayal Rakhta Hai Ke Us Par Koi Qaaboo Na Paaye Ga.

6

Kehta Hai Ke Main Ne Bohot Sa Maal Barbaad Kar Dia.

7

Kia Usse Ye Gumaan Hai Ke Usko Kisi Ne Daikha Nahi.

8

Bhala Ham Ne Usko Do Aankahin Nahi Deen?

9

Aur Zabaan Aur Do Hont Nahi Diye.

10

Ye Cheezain Bhi Deen Aur Us Ko Khair-O-Shar Ke Dono Raaste Bhi Dikha Diye.

11

Magar Wo Ghaati Par Se Ho Kar Na Guzra.

12

Aur Tum Kia Smaje Ke Ghaati Kia Hai?

13

Kisi Ki Garden Ka Churana.

14

Ya Bhook Ke Din Khana Khilana.

15

Yateem Rishta Daar Ko.

16

Ya Faqeer-E-Khaaksaar Ko.

17

Phir Un Lougon Main Bhi Dakhil Hua Joh Eemaan Laye Aur Sabar Ki Naseehat Aur Lougon Par Shafqat Karne Ki Wasiyat Karte Rahe.

18

Ye Hi Loug Sahib-E-Sa-Aadat Hain.

19

Aur Jinhoun Ne Hamari Aayatoun Ko Na Maana Wo Bad Bakht Hain.

20

Ye Loug Aag Main Band Kar Diye Jayen Ge.