Table of Contents

SHROO ALLAH KE NAAM SE JOH BARA MEHERBAAN AUR NIHAYAT REHEM FARMANE WALA HAI.

81
Haan Joh Bure Kaam Kare, Aur Us Ke Gunah Har Taraf Se Us Ko Ghair Lain Toh Aise Loug Dozakh Main Jaane Wale Hain Aur Who Hamesha Us Main Jalte Rahain Ge.

82
Aur Joh Eemaan Laayen Aur Naik Kaam Karain, Woh Jannat Ke Maalik Houn Ge Aur Hamesha Us Mai Aish Karte Rahain Ge.

83
Aur Jab Ham Ne Bani Israail Se Ehed Liya Ke Allah Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karna Aur Maan Baap Aur Rishta Daaron Aur Yateemon Aur Mohtaajoh Ke Sath Bhalayee Karte Rehna Aur Logun Se Achi Baatain Kehna, Aur Namaz Parhte Aur Zakaat Dete Rehna, Toh Chand(Few) Shakhsoun Ke Siwa Tum Sab Us Ehed Se Moon Phair Kar Phir Baithe(Deny).

84
Aur Joh Ham Ne Tum Se Ehed Liya Ke Apas Main Kusht-O-Khoon Na Karna Aur Apne Ko Un Ke Watan Se Na Nikaalna Toh Tum Ne Iqraar Kar Liya, Aur Tum Is Baat Ke Gawah Ho.

85
Phir Tum Woh Hi Ho Ke Apnon Ko Qatal Bhi Kar Dete Ho Aur Apne Main Se Baaz Logun Par Gunaah Aur Zulm Se Charhayee Kar Ke Unhain Watan Se Nikaal Bhi Dete Ho, Aur Agar Woh Tumhare Paas Qaid Ho Kar Ayen Toh Badla De Kar Un Ko Chura Bhi Lete Ho, Haalane Ua Ka Nikaal Dena Hi Tum Ko Haraam Tha. Yeh Kia Baat Hai Ke Tum Kitaab-E-Allah Ke Baaz Ehkaam Ko Toh Maante Ho Aur Baz Se Inkaar Kiye Dete Ho, Toh Joh Tum Main Se Aisi Harkat Karen, Un Ki Saza Is Ke Siwa Aur Kia Ho Sakti Hai Ke Dunia Ki Zindagi Main Toh Ruswayee Ho Aur Qiamat Ke Din Sakht Se Sakht Azaab Main Daal Diye Jayen Aur Joh Kaam Tum Karte Ho, Allah Us Se Gaafil Nahi.

86
Yeh Woh Loug Hain Jinhon Ne Aakhrat Ke Badle Dunia Ki Zindagi Khareedi. So Na Toh Un Se Azaab Hi Halka Kia Jaye Ga Aur Na Un Ko Aur Tarha Ki Madad Mile Gi.

87
Aur Ham Ne Moosa Ko Kitaab Inayat Ki Aur Un Ke Peeche Yak-E-Baad(One After One) Deeegare Paigambar Bhaijte Rahe Aur Eesa-Ibn-E-Maryam Ko Khulle Nishanaat Bakhse Aur Rooh-Ul-Quddus Yaani Jibraaeel Se Un Ko Madad Di. Toh Jab Koi Paigambar Tumhare Paas Aisi Baatian Le Kar Aye, Jin Ko Tumhara Ji Nahi Chahata Tha, Toh Tum Sarkash Ho Jate Rahe, Aur Aik Girroh (Group Of Aambiya)Ko Toh Jhutlaate Rahe Aur Aik Girroh(Group) Ko Qatal Karte Rahe.

88
Aur Kehte Hain, Hamare Dil Parde Main Hain. Nahi, Balke Allah Ne Un Ke Kufur Ke Sabab Un Par Laanat Kar Rakhi Hai. Pas Ye Thore Hi Par Eemaan Late Hain.

89
Aur Jab Allah Ke Haan Se Un Ke Paas Kitaab Aayee Joh Un Ki Aasmaani Kitaab Ki Bhi Tasdeeq Karti Hai, Aur Woh Pehle Hamesha Kaafiron Par Fatah Maanga Karte The, Toh Jis Cheez Ko Woh Khoob Pehcante The, Jab Un Ke Paas Aa Pohonchi Toh Us Se Kaafir Ho Gaye. Pas Kaafiroun Par Allah Ki Laanat.

90
Jis Cheez Ke Badle Unhoun Ne Apne Taieen(Themselves) Baich(Sell) Daala, Woh Bohot Buri Hai, Yaani Is Jalan Se, Ke Allah Apne Bandon Main Se Jis Par Chahta Hai, Apni Meherbani Nazil Se Fermata Hai. Allah Ki Naazil Ki Hui Kitaab Se Kufur Karne Lage Toh Woh Us Ke Gazab Baalaaye Gazab Main Mubtila Ho Gaye. Aur Kaafiron Ke Liye Zaleel Karne Wala Azaab Hai.

91
Aur Jab Un Se Kaha Jata Hai Ke Joh Kitaab Allah Ne Ab Nazil Farmayee Hai, Us Ko Maano. Toh Kehte Hain Ke Joh Kitaab Ham Par Pehle Naazil Ho Chuki Hai, Ham Toh Usi Ko Maante Hain. Yaani Us Ke Siwa Kisi Aur Kitaab Ko Nahi Maaante , Halaanke Woh Sra Sar Sachi Hai Aur Joh Un Ki Aasmaani Kitaab Hai, Us Ki Bhi Tasdeeq Karti Hai. Un Se Keh Do Ke Agar Tum Sahib-E-Eemaan Hote Toh Allah Ke Paigambaroun Ko Pehle Hi Kiyon Qatal Kia Karte.

92
Aur Moosa Tumhare Paas Khule Hue Moojzaat Le Kar Aaye Toh Tum Un Ke Koh-E-Toor Par Jaane Ke Baad Bachre Ko Mabood Bana Baithe Aur Tum Apne Hi Haq Main Zulm Karte The.

93
Aur Jab Ham Ne Tum Logoun Se Ehed Waasiq Liya Aur Koh-E-Toor Ko Tum Par Utha Khara Kia Aur Hukum Dia, Ke Joh Kitaab Ham Ne Tum Ko Di Hai, Us Ko Zor Se Pakro Aur Joh Tumhain Hukum Hota Hai Us Ko Suno, Toh Woh, Joh Tumhare Bare The Kehne Lage Ke Ham Ne Sunn Toh Liya Lekin Maante Nahi. Aur Un Ke Kufur Ke Sabab Bachra(Goyaa)Un Ke Dilon Main Rach Gaya Tha. Ae Paigambar Un Se Keh Do Ke Agar Tum Momin Ho Toh Tumhare Eemaan Tum Ko Buri Baat Bataata Hai.

94
Keh Do Ke Agar Akhrat Ka Ghar Aur Logoun Yaani Musalmanon Ke Liye Nahi Aur Allah Ke Nazdeek Tumhare Hi Liye Makhsoos Hai Toh Agar Sache Ho Toh Mout Ki Aarzoo Toh Karo.

95
Lekin Un Amaal Ki Wajha Se, Joh Un Ke Hath Aage Bhaij Chuke Hain, Yeh Kabhi Us Ki Aarzoo Nahi Karen Ge, Aur Allah Zaalimoon Se Khoob Waaaqif Hai.

96
Balke Un Ko Tum Aur Logoun Se Zindagi Ke Kaheen Harees Daikho Ge, Yahan Tak , Ke Mushrikon Se Bhi. Un Main Se Har Aik Ye Hi Khuahish Karta Hai Ke Kaash Woh Hazaar Baras Jeeta Rahe, Magar Itni Lambi Umar Us Ko Mill Bhi Jaye Toh Usse Azaab Se Toh Nahi Chura Sakti. Aur Joh Kaam Yeh Karte Hain, Allah Un Ko Daikh Raha Hai.

97
Keh Do Ke Joh Shakhs Jibraail Ka Dushman Ho Us Ko Gusse Main Mar Jana Chahiye Us Ne Toh Ye Kitaab Allah Ke Hokum Se Tumhare Dil Par Naazil Ki Hai Joh Pehli Kitaaboun Ki Tasdeeq Karti Hai, Aur Eemaan Walon Ke Liye Hidayat Aur Bishataat Hai.

98
Joh Shakhs Allah Ka Aur Us Ke Farishtoun Aur Us Ke Paigambaron Ka Aur Jibrail Aur Meekaail Ka Dushman Ho Toh Aise Kaafiron Ka Allah Dushman Hai.

99
Aur Ham Ne Tumhare Paas Suljhi Hui Aayatain Irsaal (Send) Farmayee Hain, Aur Un Se Inkaar Woh Karte Hain Joh Bad Kirdaar Hain.

100
Un Logoun Ne Jab Jab Allah Se Ehed Wasiq Kia Toh Un Main Se Aik Fareeq Ne Us Ko Kisi Cheez Ki Tarha Phaink Dia . Haqeeqat Yeh Hai Ke In Main Aksar Be Eemaan Hain.

101
Aur Jab Un Ke Paas Allah Ki Taraf Se Paighambar-E-Aakhr-Uz-Zamaan Aaye, Aur Woh Un Ki Aasmaani Kitaab Ki Tasdeeeq Bhi Karte Hain Toh Jin Logoun Ko Kitaab Di Gai Thi, Un Main Se Aik Jamaat Ne Allah Ki Kitaab Ko Peeth Peeche Phaink Dia , Goya Woh Jante Hi Nahi.

102
Aur Un (Hazliyaat)Ke Peeche Lag Gaye Ho, Joh Sulaimaan Ke Ehed-E-Saltanat Main Shaiyateen Parha Karte The Aur Sulaimaan Ne Mutliq Kufur Ki Baat Nahi Ki, Balke Shaitaan Hi Kufur Karte The ,Ke Logoun Ko Jaadoo Sikhate The, Aur Un Baton Ke Bhi Peeche Lag Gaye Joh Sheher-E-Babul Main Do Farishtonn Yaani Haroot Aur Maroot Par Utri Theen. Aur Woh Dono Kisi Ko Kuch Nahi Sikhaate The, Jab Tak Ye Na Keh Dete Ke Ham Toh Zariya-E-Aazmaaish Hain. Tum Kufur Main Na Paro. Garaz Loug Un Se Aisa Jaado Seekhe, Jis Se Miyan Biwi(Husband Wife) Main Judayee Daal Dain Aur Allah Ke Hukum Ke Saiwa Woh Us Jadu Se Kisi Ka Kuch Bhi Bigaar Nahi Sakte The. Aur Kuch Aise Mantar Seekhte Joh Un Ko Nuqsaan Hi Pohonchate Aur Faaida Kuch Na Dete . Aur Woh Jaante The Ke Joh Shakhs Aisi Cheezon Yaani Seher Aur Mantar Wagaira Ka Khareedaaar Hoga, Us Ka Aakhrat Main Kuch Hissa Nahi.Aur Jis Cheez Ke Iwz(Inreturn) Uhon Ne Apni Jaanoun Ko Baich Daala, Woh Buri Thi, Kaash Woh Is Baat Ko Jaante.

103
Aur Agar Woh Eemaan Late Aur Parhaiz Gaari Karte Toh Allah Ke Han Se Bohot Acha Sila Milta . Ae Kaash , Woh Is Se Waqif Hote.

104
Ae Ehl-E-Eemaan (Guftugo Ke Waqt Paigambar-E-Allah Se)Raa Ae Na(Raaie Na Is An Arabic Word) Na Kaha Karo.Unnzurna(Arabic Word) Kaha Karo . Aur Khoob Sunn Rakho, Aur Kafiroun Ke Liye Laakh Dukh Dene Wala Azaab Hai.

105
Joh Loug Kaafir Hain, Ehl-E-Kitaab Ya Mushrik, Woh Is Baat Ko Pasand Nahi Karte, Ke Tum Par Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Khair-O-Barkat Naazil Ho. Aur Allah Toh Jis Ko Chahta Hai, Apni Rehmat Ke Sath Khaas Kar Leta Hai Aur Allah Bare Fazal Ka Malik Hai.

106
Ham Jis Aayat Ko Mansookh Kar Dete Ya Usse Faramosh Kara Dete Hain Toh Us Se Behtar Ya Waisi Hi Aur Aayat Bhaij Dete Hain. Kia Tum Nahi Jaante Ke Allah Har Baat Par Qaadir Hai.

107
Tumhain Maloom Nahi Ke Aasmaanon Aur Zameen Ki Baadshaahat Allah Hi Ki Hai, Aur Allah Ke Siwa Tumhara Koi Dost Aur Madadgaar Nahi.

108
Kia Tum Yeh Chahte Ho Ke Apne Paigambar Se Usi Tarha Ke Sawal Karo, Jis Tarha Ke Sawal Pehle Moosa Se Kiye Gaye The. Aur Jis Shakhs Ne Eemaan Chor Kar Us Ke Badle Kufur Liya , Woh Seedhe Raste Se Bhatak Gaya.

109
Bohot Se Ehl-E-Kitaab, Apne Dil Ki Jalan Se, Yeh Chahte Hain Ke Eemaan La Chukne Ke Baad, Tum Ko Phir Kaafir Bana Dain, Haalaanke Un Par Haq(Truth) Zahir Ho Chukka Hai. Toh Tum Moaaf Kar Do Aur Dar Guzar Karo. Yahan Tak Ke Allah Apna Doosra Hukum Bhaije. Be Shak Allah Har Bat Par Qaadir Hai.

110
Aur Namaaz Ada Karte Raho Aur Zakaat Dete Raho. Aur Joh Bhi Bhalayee Apne Liye Aage Bhaij Rakho Ge, Us Ko Allah Ke Haan Paalo Ge, Kuch Shak Nahi Ke Allah Tumhare Sab Kaamon Ko Daikh Raha Hai.

111
Aur Yahoodi Aur Eesaayee Kehte Hain Ke Yahoodiyon Aur Eesaaiyon Ke Siwa Koi Behshat(Heaven) Main Nahi Jaane Ka.Yeh Un Logoun Ke Khayalat-E-Batil Hain. Ae Paghambar Un Se Keh Do, Ke Agar Sachhe Ho Toh Daleel Paish Karo.

112
Haan Joh Shakhs Allah Ke Aage Garden Jhuka De Yaani Eemaan Le Aaye, Aur Woh Naik-O-Kaar Bhi Ho, Toh Us Ka Sila Us Ke Parwardigaar Ke Paas Hai, Aur Woh Aise Logoun Ko Qiamat Ke Din, Na Kisi Tarhaa Ka Khof Hoga Aur Na Woh Ghamnaak Houn Ge.

113
Aur Yahodi Kehte Hian Ke Eesaayee Raste Par Nahi Aur Eesaayee Kehte Hain Ke Yahoodi Raste Par Nahi. Halaanke Woh Kitaab-E-Ilaahi Parhte Hain. Isi Tarha Bilkul Unhi Ki Si Baat Woh Loug Kehte Haih Joh Kuch Nahi Jaante Yaani Mushrik ,Toh Jis Baat Main Yeh Loug Ikhtilaaf Kar Rahe Hain Allah Qiamat Ke Din ,Us Ka ,Un Main Faisala Kar De Ga.

114
Aur Us Se Barh Kar Zaalim Koun , Joh Allah Ki Masjidon (Mosque)Main Allah Ke Naam Ka, Zikar Kiye Jaane Ko Mana Kare Aur Un Ki Weeraani Main Saayee Ho. Un Logon Ko Kuch Haq Nahi Ke Un Main Daakhil Houn, Magar Darte Hue,Un Ke Liye Dunia Main Ruwswayee Hai Aur Aakhrat Main Bara Azaaab.

115
Aur Mashriq Aur Magrib Sab Allah Hi Ka Hai. Toh Jidhar Tum Rukh Karo, Udhar Allah Ki Zaat Hai .Be Shak Allah Sahib-E-Wussaat Aur Ba Khabar Hai.

116
Aur Yeh Loug Is Baat Ke Qaail Hain Ke Allah Aulaad Rakhta Hai . Nahi Woh Paak Hai, Balke Joh Kuch Aamsanon Aur Zameen Main Hai, Sab Usi Ka Hai Aur Sab Usi Ke Farmaabardaar(Obedient) Hain.

117
Woh Hi Aasmaanon Aur Zameen Ka Paida Karne Wala Hai. Jab Koi Kaam Karna Chahta Hai Toh Us Ka Irshaad Farma Deta Hai, Ke Ho Ja ,Toh Woh Ho Jata Hai.

118
Aur Joh Loug Kuch Nahi Jaante Yaani Mushrik , Woh Kehte Hain Ke Allah Ham Se Kalaam Kiyoun Nahi Karta.Ya Hamare Paas Koi Nishani Kiyon Nahi Aati. Issi Tarha Joh Loug Un Se Pehle The, Woh Bhi Unhi Ki Si Baatain Kia Karte The. Un Logoun Ke Dil Apas Main Milte Julte Hain.Joh Loug Sahib-E-Yaqeen Hain, Un Ke Samjhane Ke Liye Ham Ne Nishaniyan Biyaan(Explain) Kar Di Hain.

119
Ae Mohammad Ham Ne Tum Ko Sachayee Ke Saath Khush Khabri Sunaane Wala Aur Daraane Wala Bana Kar Bhaija Hai. Aur Ehl-E-Dozakh Ke Bare Main Tum Se Kuch Purrsish(Inquiry) Nahi Hogi.

120
Aur Tum Se Na Toh Yahoodi Kabhi Khush Honge Aur Na Eesaayee, Yahan Tak Ke Un Ke Mazhab Ki Pairwi Ikhtiyaar Kar Lo. Un Se Keh Do Ek Allah Ki Hidayat Yaani Deen-E-Islaam Hi Hidayat Hai. Aur Ae Paigambar Agar Tum Apne Paas Ilm Yaani Wahi-E-Allah Ke Aajaane Par Bhi Un Ki Kuhaahishoun Par Chalo Ge Toh Tum Ko Azaab-E-Allah Se Bachane Wala Na Koi Dost Hoga Aur Na Koi Madadgaar.

121
Jin Logoun Ko Ham Ne Kitaab Inayat Ki Hai, Woh Us Ko Aise Parhte Hain Jaisa Us Ko Parhne Ka Haq Hai. Yeh Hi Loug Us Par Eemaan Rakhne Wale Hain, Aur Joh Us Ko Nahi Maante , Woh Khasara(Loss) Paane Wale Hain.

122
Ae Bani Israeel! Mere Woh Ehsaan Yad Karo, Joh Main Ne Tum Par Kiye Aur Yeh Ke Main Ne Tum Ko Ehl-E-Alam Par Fazeelat Bakhsi.

123
Aur Us Din Se Daro Jab Koi Shakhs Kisi Shakhs Ke Kuch Kaam Na Aye, Aur Na Us Se Badla Qabool Kia Jaye Aur Na Us Ko Kisi Ki Sifarish Kuch Faaida De Aur Na Logoun Ko Kisi Aur Tarha Ki Madad Mill Sake.

124
Aur Jab Parwardigar Ne Chand(Few) Baatoun Main Ibrahin Ki Aazmaish Ki Toh Woh Un Main Poore Utre . Allah Ne Kaha Ke Main Tum Ko Logoun Ka Paishwa Banaoon Ga. Unhoun Ne Kaha Ke Parwardigaar Meri Aulad Main Se Bhi Paishwa Baaiyo. Allah Ne Faramaya Ke Hamara Iqraar Zalimon Ke Liye Nahi Hua Karta.

125
Aur Jab Ham Ne Khana-E-Kaaba(Makkah) Ko Logoun Ke Liye Jama Hone Aur Aman(Peace) Paane Ki Jaga Muqarar Kia Aur Hukum Dia Ke Jis Maqaam Par Ibraheen Khare Hue The, Us Ko Namaz Ki Jagha Bana Lo. Aur Ibraheem Aur Ismaail Ko Kaha Ke Tawaaf Karne Waloun Aur Aitkaaf Karne Walon Aur Rukoo Karne Waaloun Aur Sajda Karne Waaloun Ke Liye Mere Ghar Ko Paak Saaf Rakha Karo.

126
Aur Jab Ibraheen Ne Dua Ki Ke Ae Parwardigaar , Is Jagha Ko Aman Ka Sheher Bana Aur Is Ke Rehne Waaloun Main Se Joh Allah Par Aur Roz-E-Aakhrat Par Eemaan Laayain, Un Ke Khaane Ko Mewe(Dry Fruits) Ata Farma, Toh Allah Ne Farmaya Ke Joh Kaafir Hoga, Main Us Ko Bhi Kisi Qadar Mutmatte Karoonga , Magar Phir Us Ko Azaab Dozakh Ke Bhugatne Ke Liye Lachaar Karoonga, Aur Woh Buri Jagha Hai.

127
Aur Jab Ibrahim Aur Ismail Bait-Ul-Llah(Bait Allah) Ki Buniyaadain Oonchi Kar Rahe The Toh Dua Kiye Jaate The Ke Ae Hamare Parwardigaar, Ham Se Yeh Khidmat Qabool Farma . Beshak Tu Sun-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.

128
Ae Parwardigaar, Ham Ko Apna Farmaabardaar Banaye Rakhiyo.Aur Hamari Aulaad Main Se Bhi Aik Giroh(Group) Ko Apna Mutee Banate Rehiyo, Aur Parwardigaar Hamain Hamare Tareeqa-E-Ibadat Bata Aur Hamare Haal Par Rehem Ke Sath Tawajoh(Attention) Farma. Beshak Tu Tawajoh Farmane Wala Meherbaan Hai.

129
Ae Parwardigaar, Un Logoun Main Un Hi Main Se Aik Paighambar Maboos Kijiyo Joh Un Ko Teri Aayatain Parh Parh Kar Sunaya Kare Aur Kitaab Aur Daanayee(Intillegenc)Sikhaya Kar E Aur Un Ke Diloun Ko Paak Saaf Kia Kare. Be Shak Tu Gaailb Aur Sahib-E-Hikmat Hai.

130
Aur Ibraahim Ke Deen Se Koun Roo Gardani(Refuse) Kar Sakta Hai, Bajuz(Siwaye) Us Ke Joh Nihayat Nadan Ho.Ham Ne Un Ko Dunia Main Bhi Muntakhib Kia Tha Aur Aakhrat Main Bhi Who Zumra-E-Sulaah Main Se Honge.

131
Jab Un Se Un Ke Parwardigaar Ne Farmaya Ke Islaam Le Aao Toh Unhon Ne Arz Ki Ke Man Rab-Ul-Aalmeen Ke Aage Sar Itaat(Obey) Kham(Jhukata)Karta Hoon.

132
Aur Ibrahin Ne Apne Baiton Ko Isi Bat Ki Wasiyat Ki Aur Yaqoob Ne Bhi Apne Farzindon(Son) Se Yeh Hi Kaha Ke Beta Allah Ne Tumhare Liye Yeh Hi Deen Pasand Farmaya Hai Tum Marna Toh Musalmaan Hi Marna.

133
Bhala Jis Waqt Yaqoob Wafaat Pane(Near To Death) Lage Toh Tum Us Waqt Mojood The, Jab Unhon Ne Apne Beton(Son) Se Pooocha Ke Mere Baad Tum Kis Ki Ibadat Karo Ge, Toh Unhon Ne Kaha Ke Aap Ke Mabood Aur Ap Ke Baap Dada Ibrahim Aur Ismail Aur Ishaaq Ke Mabood Ki Ibadat Karen Ge Joh Mabood Yakta(One)Hai Aur Ham Usi Ke Hukum Bardar Hain.

134
Yeh Jamaat Guzar Chuki. Un Ko Un Ke Amaal(Deeds) Ka Badla Mile Ga Aur Tum Ko Tumahre Amaal Ka Aur Joh Amal Woh Karte The Un Ki Purrsissh Tum Se Nahi Hogi.
135
Aur Yahoodi Aur Eesaayee Kehte Hain Ke Yahoodi Ya Eesaayee Ho Jao To Seeedhe Raste Par Lag Jaao. Ae Paigharmbar Un Se Keh Do , Nahi Balke Ham Deen-E-Ibraheem Ikhtiyaar Kiye Hue Hain Joh Aik Allah Ke Ho Rahe The Aur Mushrikoun Main Se Na The.

136
Muslamano! Kaho Ke Ham Allah Par Eemaan Laaye Aur Joh Kitaab Ham Par Utri, Us Par Aur Joh Saheefe Ibrahin Aur Ismaail Aur Ishaaq Aur Yaqoob Aur Un Ki Aulad Par Nazil Hue Un Par ,Aur Joh Kitabain Moosa Aur Eesaa Ko Ata Hueen, Un Par, Aur Joh Aur Paigambaron Ko Un Ke Parwardigaar Ki Taaraf Se Mileen, Un Par Sab Par Eemaan Laye Hum Un Paigambaron Main Se Kisi Main Kuch Farq Nahi Karte Aur Ham Usi Allah-E-Waahid(One) Ke Farmaanbardaar Hain.

137
Toh Agar Yeh Loug Bhi Usi Tarha Eemaan Le Aayen Jis Tarha Tum Eemaan Le Aye Ho Toh Hidayat Yaab Ho Jaayen Aur Agar Moon Phair Lain Aur Na Maane Toh Woh Tumhare Mukhalif Hain Aur Un Ke Muqaable Main Tumhain Allah Kaafi Hai. Aur Woh Sunnne Wala Aur Jaannne Wala Hai.

138
Keh Do Ke Ham Ne Allah Ka Rang Ikhtiyaar Kar Liya Hai Aur Allah Se Behtar Rang Kisi Ka Ho Sakta Hai. Aur Ham Usi Ki Ibaadat Karne Wale Hain.

139
Un Se Kaho, Kia Tum Allah Ke Bare Main Ham Se Jhagarte Ho, Haalaanke Wohi Hamara Aur Tumhara Parwardigaar Hai Aur Ham Ko Hamare Aamaal Ka Badla Mile Ga Aur Tum Ko Tumhare Aamaal Ka Aur Ham Khaas Usi Ki Ibadat Karne Wale Hain.

140
Ae Yahood-O-Nasaara Kia Tum Us Baat Ke Qaail Ho Ke Ibrahim Aur Ismaail Aur Ishaaq Aur Yaqoob Aur Un Ki Aulad Yahoodi Ya Eesaayee Thi. Ae Muhammad S.A.W Un Se Kaho Ke Phir Tum Ziada Jaante Ho Ya Allah? Aur Is Se Barh Kar Zaalim Koun Hai, Joh Allah Ki Shahadat Ko, Joh Us Ke Paas Kitaab Main Mojood Hai Chupaye. Aur Joh Kuch Tum Loug Kar Rahe Ho, Allah Us Se Gaafil Nahi.

141
Yeh Jamaat Guzarr Chuki.Un Ko Woh Mile Ga Joh Unhon Ne Kia, Aur Tum Ko Woh Joh Tum Ne Kia. Aur Joh Amal Woh Karte The, Un Ki Pursissh Tum Se Nahi Hogi.

142
Ehmaq (Fool) Loug Kahain Ge Ke Muslamaan Jis Qible Par Pehle Se Chale Aate The Ab Us Se Kion Moon Phair Baithe. Tum Keh Do Ke Mashriq Aur Magrib Sab Khuda Hi Ka Hai. Woh Jis Ko Chahta Hai, Seedhe Raste Pe Chalata Hai.

143
Aur Isi Tarha Ham Ne Tum Ko Ummat-E-Motadill(Moderat) Banaya Hai, Taa-Ake Tum Logoun Par Gawah Bano Aur Paigaambar-E- Aakhir-U-Zaamaan Tum Par Gawah Banain. Aur Jis Qible Par Tum Pehle The, Us Ko Ham Ne Isliye Muqarrar Kia Tha Ke Maloom Karain, Ke Koun Hamare Paigambar Ka Taabe (Obedient) Rehta Hai, Aur Koun Ulte Paaoun Phir Jata Hai. Aur Yeh Baat Yaani Tehweel-E-Qibla Logon Ko Giraan Maloom Hui, Magar Jin Ko Allah Ne Hidayat Bakhshi Woh Isse Giraan Nahi Samajhe Aur Allah Aisa Nahi Ke Tumhare Eemaan Ko Yoounhi Kho De. Allah Toh Logoun Par Bara Meherbaan Aur Sahib-E-Rehmat Hai.

144
Ae Muhammad Ham Tumhara Aasmaan Ki Taraf Moon Phair Phair Kar Daikhna, Daikh Rahe Hain. So Ham Tum Ko Usi Qible Ki Taraf Jis Ko Tum Pasand Karte Ho, Moon Karne Ka Hukum Dainge Toh Apna Moon Masjid-E-Haraam Yaani Khaaan-E-Kaaba Ki Taraf Phair Lo. Aur Tum Log Jahan Hua Karo, Namaz Parhne Ke Waqt Usi Masjid Ki Taraf Moon Kar Liya Karo. Aur Jin Logon Ko Kitaab Di Gai Hai, Woh Khoob Jaante Hain Ke Naya Qibla Un Ke Parwardigaar Ki Taraf Se Haq Hai. Aur Joh Kaam Yeh Log Karte Hain, Allah Un Se Be Khabar Nahi.

145
Aur Agar Tum Un Ehl-E-Kitaab Ke Paas Tamaam Nishaniyan Bhi Le Kar Aao, Toh Bhi ,Yeh Tumhare Qible Ki Pairvi Na Karen.Aur Tum Bhi Un Ke Qible Ki Pairvi Karne Waale Nahi Ho. Aur Un Main Se Bhi Baaz, Baaz Ke Qible Ke Pairwah Nahi . Aur Agar Tum Ba Wajood Us Ke Ke Tumhare Paas Daanish Yaani Wahi-E-Allah Aa Chuki Hai, Un Ki Khuahish Ke Peeche Chalo Ge Toh Zaalimon Main Daakhil Ho Jao Ge.

146
Jin Logon Ko Ham Ne Kitaab Di Hai, Woh In Aakhir Paigambar-E-Aakhir-Uz-Zamaa Ko Is Tarha Pehchante Hain, Jis Tarha Apne Baiton Ko Pechana Karte Hain, Magar Aik Fareeq Un Main Se Sachi Baat Ko Jaan Boojh Kar Chupa Raha Hai.

147
Ae Paigambar, Yeh Naya Qibla Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Haq Hai Toh Tum Har Gizz Shak Karne Walon Main Na Hona.

148
Aur Har Aik Firqe Ke Liye Aik Simt(Direction) Muqarrar Hai Jidhar Woh Ibaadat Ke Waqt Moon Kia Karte Hain. Toh Tum Naikiyon Main Sabqat Haasil Karo. Tum Jahan Ho Ge Allah Tum Sab Ko Jama Kar Le Ga. Beshak Allah Har Cheez Par Qaadir Hai.

149
Aur Tum Jahaan Se Niklo, Namaz Main Apna Moon Masjid-E-Mohtaram Ki Taraf Kar Liya Karo, Be Shak Woh Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Haq Hai. Aur Tum Log Joh Kuch Karte Ho.Allah Us Se Be Khabar Nahi.

150
Aur Tum Jahan Se Niklo Masjid-E-Mohtaram Ki Taraf Moon Karke Namaaz Parha Karo. Aur Musalmano! Tum Jahaan Hua Karo, Usi Masjid Ki Taraf Rukh Kia Karo. Ye Takeed Isliye Ki Gai Hai Ke Log Tum Ko Kisi Tarha Ka Ilzaam Ne De Sakain. Magar Un Main Se Joh Zaalim Hain, Woh Ilzaam Dain Toh Dain So Un Se Mat Darna Aur Mujh Se Darte Rehna. Aur Yeh Bhi Maqsood Hai Ke Main Tum Ko Apni Tamaam Naimatain Bakhsoon Aur Yeh Bhi Ke Tum Raah-E-Raast Par Chalo.

—Continued—

By admin