sheikh_sudais_surah_yusuf_1_2    

 

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

 

1

Alif Laam Raa. Yeh Kitaab-E-Roshan Ki Aayatain Hain.

 

2

Ham Ne Is Quraan Ko Arabi Main Nazil Kia Hai Taa-Ake Tum Samajh Sako.

 

3

Ae Paigambar S.A.W. Ham Is Quraan Ke Zariye Se Joh Ham Ne Tumhari Taraf Bhaija Hai, Tumhain Aik Nihayat Acha Qissa Sunate Hain Aur Tum Is Se Pehle Be Khabar The.

 

4

Jab Yousuf A.S. Ne Apne Walid (Fater) Se Kaha Ke Abba Main Ne Khuab Main Giyara (11) Sitaroun(Stars) Aur Sooraj (Sun) Aur Chand (Moon) Ko Daikha Hai. Daikhte Kia Hoon Ke Wo Mujhe Sajda Kar Rahe Hain.

 

5

Unhoun Ne Kaha Ke Beta Apne Khuab Ka Zikar Apne Bhaiyoun (Brothers) Se Na Karna Nahi Toh Wo Tumhare Haq Main Koi Fariab Ki Chaal Chalain Ge. Kuch Shak Nahi Ke Shaitaan Insaan Ka Khula Dushman Hai.

 

 

 

6

Aur Issi Tarah Khuda Tumhain Burguzeeda-O-Mumtaaz Kare Ga Aur Khuab Ki Batoun Ki Taabeer Ka Ilm Sikhaye Ga. Aur Jis Tarha Us Ne Apni Naimat Pehle Tumhare Dada, Pardaada Ibrahim A.S. Aur Ishaaq A.S. Par Poori Ki Thi Ussi Tarha Tum Par Aur Aulad –E-Yaqoob A.S. Par Poori Kare Ga. Be Shak Tumhara Parwardigar Sb Kuch Jaan-Ne Wala Aur Hikmat Wala Hai.

 

7

Haan Yousuf A.S. Aur Un Ke Bhaiyon Ke Qisse Main Poochne Waloun Ke Liye Bohot Si Nishaniyan Hain.

 

8

Jab Unhoun Ne Apas Main Tazkara Kia Ke Yousuf A.S. Aur Us Ke Bhai Abba Ko Ham Se Ziada Piyare Hain, Halaanke Ham Jamaat Ki Jamaat Hain. Kuch Shak Nahi Ke Aba Sahreeh Ghalti Par Hain.

 

9

Toh Yousuf A.S. Ko Ya Toh Jaan Se Maar Daalo Ya Kisi Mulk Main Phaink Aao. Phir Abba Ki Tawajoh Sirf Tumhari Taraf Ho Jaye Gi. Aur Us Ke Baad Tum Achi Halat Main Ho Jao Ge.

 

10

Un Main Se Aik Kehne Wale Ne Kaha Ke Yousuf A.S. Ko Jaan Se Na Maro Kisi Gehre Koonwe Main Daal Do, Ke Koi Rahgeer Nikal Kar Aur Mulk Main Le Jaye Ga. Agar Tum Ko Karna Hai Toh Youn Karo.

 

 

 

11

Yeh Mashwara Kar Ke Wo Yaqoob A.S. Se Kehne Lage Ke Abba Jaan Kia Sabab Hai Ke Aap Yousuf A.S. Ke Bare Main Hamara Aitbaar Nahi Karte, Halanke Ham Us Ke Khair Khuah Hain.

 

12

Kal Usse Hamare Sath Bhaij Dijiye Ke Khoob Maiwe (Dry Fruits) Khayain Aur Khaile Koodain. Ham Us Ke Nigehbaan Hain.

 

13

Unhoun Ne Kaha Keh Yeh Amar Mujhe Gamnaak Kiye Deta Hai Keh Tum Usse Le Jao, Yaani Wo Mujh Se Juda Ho Jaye Aur Mujhe Yeh Bhi Khof Hai Keh Tum Khail Main Is Sse Ghaafil Ho Jao Aur Usse Bhairya (Wolf) Kha Jaye.

 

14

Wo Kehne Lage Ke Agar Hamari Mojoodgi Main Keh Ham Aik Taqatwar Jamaat Hain, Usse Bhairya (Wolf) Kha Gaya Toh Ham Bare Nuqsaan Main Par Gaye.

 

15

Garz Jab Wo Us Ko Le Gaye Aur Is Baat Pe Ittifaaq Kar Liya Keh Us Ko Gehre Koowain Main Daal Dain .Toh Ham Ne Yousuf A.S. Ki Taraf Wahi Bhaiji, Ke Aik Waqt Aisa Aaye Ga Ke Tum Un Ke Us Salook Se Aagah Karo Ge Aur Un Ko us Wahi Ki Kuch Khabar Na Hogi.

 

16

Ye Harkat Kar Ke Wo Raat Ke Waqt Baap Ke Paas Rote Hue Aaye.

 

17

Aur Kehne Lage Ke Abba Jaan Ham Toh Dourne (Running) Aur Aik Doosre Se Aage Nikalne Main Masroof Ho Gaye Aur Yousuf Ko Apne Asbaaab Ke Paas Chor Gaye, Toh Usse Bhairya (Wolf) Kha Gaya. Aur Aap  Hamari Baat Ko, Go Ham Sach Hi Kehte Houn Baawar (Believe) Nahi Karen Ge.

 

18

Aur Un Ke Kurrte (Shirt) Pe Jhoot Moot Ka Lahoo (Blood) Bhi Laga Laaye. Yaqoob A.S. Ne Kaha Ke Haqeeqat Haal Youn Nahi Hai Balke Tum Apne Dil Se Yeh Baat Bana Laye Ho. Acha Sabar, Ke Wahi Khoob Hai. Aur Joh Tum Bayan Karte Ho Us Ke Bare Main Khuda Hi Se Madad Matloob Hai.

 

19

Ab Khuda Ki Shaan Daikho Ke Us Koonwain Ke Qareeb Aik Qaafla Aa Warid Hua Aur Unhoun Ne Paani Ke Liye Apna Saqqa Bhaija . Us Ne Khoowain Main Doul Latkaya To Yousuf A.S. Us Se Latak Gaye. Wo Bola Zahe Qismat Yeh Toh Nihayat Haseen Larka Hai. Aur Us Ko Qeemti Sarmaya Samajh Kar Chupa Liya, Aur Joh Kuch Wo Karte The Khuda Ko Sab Maloom Tha.

 

20

Aur Us Ko Thori Si Qeemat Yaani Moaawze Chand (Few) Darhamoun Par Baich(Sell)Daala .Aur Unahin Un Ke Bare Main Kuch Laalach Bhi Na Tha.

 

 

 

 

 

 

21

Aur Misr (Egypt) Main Jis Shakhs Ne Us Ko Khareeda Us Ne Apni Biwi Se Jis Ka Naam Zulaikha Tha Kaha Ke Is Ko Izzat-O-Ikraam Se Rakho, Ajab Nahi Keh Yeh Hamain Faida De, Ya Ham Isse Beta Bana Lain. Is Tarha Ham Ne Yousuf A.S. Ko Sar Zameen-E-Missr (Egypt) Main Jaga Di Aur Garz Yeh Thi Ke Ham un Ko Khuaab Ki Batoun Ki Taabeer Sikhayen Aur Khuda Apne Kaam Par Gaalib Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jante.

 

22

Aur Jab Wo Apni Jawani Ko Pohonche Toh Ham Ne Un Ko Daanaai Aur Ilm Bakhsha. Aur Naiko Kaaroun Ko Ham Issi Tarah Badla Dia Karte Hain.

 

23

Toh Jis Aurat Ke Ghar Main Wo Rehte The Us Ne Un Ko Apni Taraf Maail (Attract) Karna Chaha Aur Darwaze Band Kar Ke Kehne Lagi Yousurf A.S. Jaldi Aao. Unhoun Ne Kaha Khuda Panaah Main Rahke, Wo Yaani Tumhare Miyaan (Husband) Toh Mere Aaqa (Lord) Hain, Unhoun Ne Mjhe Achi Tarha Se Rakha Hai,  Main Aisa Zulm Nahi Kar Sakta Be Shak Zaalim Loug Falah Nahi Paayen Ge.

 

24

Aur Is Aurat Ne Un Ka Qasad Kia Aur Unhoun Ne Us Ka Qasad Kia. Agar Wo Apne Parwardigar Ki Nishani Na Daikhte Toh Joh Hota, Hota! Youn Is Liye Kia Gaya Ke Ham Un Se Burai Aur Be Hayaee Ko Rouk Dain. Be Shak Wo Hamare Khaalis Bandoun Main Se The.

 

 

 

25

Aur Dono Darwaze Ki Taraf Bhaage Aage Yousurf A.S. Aur Peeche Zulaikha Aur Aurat Ne Un Ka Kurrta (Shirt)peeche se Pakar Kar Joh Khaincha Toh Phaar Daala Aur Dono Ko Darwaze Ke Paas Aurat Ka Khawind Mill Gaya, Toh Aurat Boli Ke Joh Shakhs Tumahari Biwi Ke Sath Bura Irada Kare Us Ki Is Ke Siwa Kia Saza Hai Ke Ya Toh Qaid Kia Jaye Ya Dukh Ka Azaab Dia Jaye.

 

26

Yousuf Ne Kaha Issi Ne Mujh Ko Apni Taraf Maail (Attract) Karna Chaha Tha. Us Ke Qabeele Main Se Aik Faisla Karne Wale Ne Ye Faisla Kia Ke Agar Is Ka Kurrta Aage Se Phata Toh Yeh Sachi Aur Yousuf A.S. Jhoota Hai.

 

27

Aur Agar Kurrta Peeche Se Phata Ho Toh Yeh Jhooti Aur Wo Sacha Hai.

 

28

Aur Jab Us Ka Kurta Daikha Toh Peeche Se Phata Tha Tab Us Ne Zulaikha Se Kaha Ke Ye Tumhara Hi Faraib Hai. Aur Kuch Shak Nahi Ke Tum Aurtoun Ke Faraib Bare Bhari Hote Hain.

 

29

Yousuf A.S. Is Baat Ka Khayal Na Kar.  Aur Zulaikha Tu Apne Gunnah Ki Bakhshish Maang. Be Shak Khata Teri Hi Hai.

30

Aur Sheher Main Aurtain Guftugooain Karne Lageen Ke Aziz Ki Biwi Apne Gulaam Ko Apni Taraf Mail Karna Chahti Hai. Aur Us Ki Mohabbat Us Ke Dil Main Ghar Kar Gai Hai. Ham Daikhti Hain Ke Wo Sareeh Gumrahi Main Hai.

 

31

Jab Zulaikha Ne In Aurtoun Ki Guftugoo Joh Haqeeqat Main Deedaar-E-Yousuf A.S. Ke Liye Aik Chaal Thi Suni Toh Un Ke Paas Daawat Ka Paigaam Bhaija, Aur Un Ke Liye Aik Mehfil Murratab (Arrange) Ki. Aur Phal Taraashne Ke Liye Har Aik Ko Aik Aik Churi Di Aur Yousuf A.S. Se Kaha Ke In Ke Saamne Bahar Aao. Jab Aurtoun Ne Un Ko Daikha Toh Us Ka Roub-e-Hussn Un Par Aisa Chaa Gaya  Ke Phal Taraashte Taraashte Apne Hath Kaat Liye Aur Be Saakhta Bol Utheen Ke Subhaan Allah Yeh Husnn Yeh Aadmi Nahi Koi Buzurg Farishta Hai.

 

32

Tab Zulaikha Ne Kaha Ye Wohi Hai Jis Ke Bare Main Tum Mujhe Taane Deti Theen .Aur Be Shak Main Ne Is Ko Apni Taraf  Maail Karna Chaha Magar Ye Bacha Raha. Aur Agar Ye Wo Kaam Na Kare Ga Joh Main Isse Kehti Hoon Toh Qaid Kar Dia Jaye Ga Aur Zaleel Hoga.

 

33

Yousuf A.S. Ne Dua Ki Ke Parwardigaar Jis Kaam Ki Taraf Ye Mujhe Bulati Hain Us Ki Nisbat Mujhe Qaid Pasand Hai. Aur Agar Tu Mujh Se In Ke Faraib Ko Na Hataye Ga Toh Main Un Ki Taraf Maail Ho Jaaon Ga, Aur Naddaanyon Main Daakhil Ho Jaaon Ga.

 

 

34

Toh Khuda Ne Un Ki Dua Qabool Kar Li Aur Un Se Aurtoun Ka Makkar Dafa Kar Dia. Be Shak Wo Sun-Ne Aur Jaan-Ne Wala Hai.

 

35

Phir Bawajood Is Ke Keh Wo Loug Nishaan Daikh Chuke The Un Ki Raaye Yehi Thehri Ke Kuch Arsa Ke Liye Un Ko Qaid Hi Kar Dain.

 

36

Aur Un Ke Sath Do Aur Jawan Bhi Daakhil-E-Zindaan Hue. Aik Ne Un Se Kaha Ke Main Ne Khuab Daikha Hai, Daikhta Kia Hoon Ke Sharab Ke Liye Angoor Nichor Raha Hoon. Doosre Ne Kaha Ke Main Ne Bhi Khuaab Daikha Hai Main Ye Daikhta Hoon Ke Apne Sar Par Rotiyaan Uthaye Hue Hoon, Aur Janwar Un Main Se Kha Rahe Hain, Toh Hamain In Ki Taabeer Bata Dijiye Ke Ham Tumahin Naiko Kaar Daikhte Hain.

 

37

Yousuf A.S. Ne Kaha Ke Joh Khana Tum Ko Milne Wala Hai Wo Aane Nahi Paaye Ga Ke Main Us Se Pehle Tum Ko Is Ki Taabeer Bata Doon Ga. Ye Un (Baatoun) Main Se Hai Joh Mere Parwardigaar Ne Mujhe Sikhaye Hain, Joh Loug Khuda Par Eemaan Nahi Late Aur Roz-E-Akhrat Se Inkar Karte Hain Main Un Ka Mazhab (Religion) Chore Hue Hoon.

38

Aur Apne Baap Dada Ibrahim A.S. Aur Ishaaq A.S. Aur Yaqoob A.S. Ke Mazhab Par Chalta Hoon. Hamain Shaayaan Nahi Hai Ke Kisi Cheez Ko Khuda Ke Sath Shareek Banayan.Yeh Khuda Ka Fazal Hai Ham Par Bhi Aur Lougon Par Bhi Lekin Aksar Loug Shukar Nahi Karte.

 

39

Mere Jail Khaane Ke Rafeeqo! Bhala Kai Juda Juda Aaqa Ache Ya Aik Khuda-E-Yakta-O-Gaalib ?

 

40

Jin Cheezoun Ki Tum Khuda Ke Siwa Parastish (Worship) Karte Ho Wo Sirf Naam Hi Naam Hain, Joh Tum Ne Aur Tumhare Baap Dada Ne Rakh Liye Hain. Khuda Ne Un Ki Koi Sanad Nazil Nahi Ki. Sunn Rakho Ke Khuda Ke Siwa Kisi Ki Hukumat Nahi Hai. Us Ne Irshaad Farmaya Hai Ke Us Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karo. Ye Hi Seedha Deen Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jante.

 

41

Mere Jail Khaane Ke Rafeeqo! Tum Main Se Aik Joh Pehle Khuab Bayan Karne Wala Hai Wo Toh Apne Aaqa Ko Sharab Pilaya Kare Ga, Aur Joh Doosra Hai Wo Sooli Dia Jaye Ga Aur Janwar Us Ka Sar Kha Kha Jayen Ge. Jo Amar Tum Mujh Se Poochte The Wo Faisal Ho Chukka Hai.

 

42

Aur Dono Shakhsoun Main Se Jis Ki Nisbat Yousuf A.S. Ne Khayal Kia Ke Wo Rihayee Paa Jaye Ga Us Ne Kaha Ke Apne Aqqa Se Mera Zikar Bhi Karna Lekin Shaitan Ne Un Ka Apne Aaqa Se Zikar Karna Bhula Dia Aur Yusuf Kai Baras Jail Khane Hi Main Rahe

43

Aur Baadshah Ne Kaha Ke Main Ne Khuab Daikha Hai Daikhta Kia Hoon Ke Saat (7) Moti Gaayen (Cow) Hain Jin Ko Saat (7) Dubli Gaayen (Cow) Kha Rahi Hain Aur Saa t(7)Khoshe Sabz Hain Aur Saat Khushk.Ae Sardaaro ! Agar Tum Khuaboun Ki Taabeer De Sakte Ho Toh Mujhe Mere Khuaab Ki Taabeer Bataow.

 

44

Unhoun Ne Kaha Yeh Toh Pareshaan Se Khuab Hain. Aur Hamain Aise Khuaboun Ki Taabeer Nahi Aati.

 

45

Ab Wo Shakhs Joh Dono Qaidiyoun Main Se Rihaayi Paa Gaya Tha Aur Jisse Muddat Ke Baad Wo Baat Yaad Aagai Bol Utha Ke Main Ap Ko Is Ki Taabeer La Batata Hoon Mujhe Jail Khane Jane Ki Ijazat De Dijiye.

 

46

Gharz Wo Yousuf Ke Paas Aaya Aur Kehne Laga Yousuf, Ae Bare Sache Yousf A.S. Hamain Is Khuaab Ki Taabeer Bataiye Ke Sat (7) Moti Gaayoun Ko Saat Dubli Gaayen Kha Rahi Hain. Aur Saat (7)  Khoshe Sabz Hain Aur Saat (7) Sookhe Taa-Ake Main Lougon Ke Paas Wapas Ja Kar Taabeer Bataoon.Ajab Nahi Keh Wo Tumhri Qadar Janain.

 

47

Unhoun Ne Kaha Ke Tum Loug Saat Saal Mutwaatar (Continuesly) Khaiti Karte Raho Geh Toh Joh Galla Kaato Toh Thore Se Galle Ke Siwa Joh Khane Main Aye Usse Khoshoun Main Hi Rehne Dena.

 

 

48

Phir Us Ke Bad Khushk Saali Ke Saat Sakht Saal Aayen Ge Ke Joh Ghalla Tum Ne Jama Kar Rakha Hoga Wo us Sab Ko Kha Jayen Ge .Sirf Wo Hi Thora Sa Reh Jaye Ga Joh Tum Ehtiaat Se Rakh Choro Ge.

 

49

Phir Us Ke Baad Aik Aisa Saal Aaye Ga Ke Khoob Meenh (Rain) Barse Ga Aur Loug Us Main Rass Nichorainge.

 

50

Ye Taabeer Sun Kar Baadshah Ne Hukum Dia Ke Yousuf A.S. Ko Mere Paas Le Aao . Jab Qasid Un Ke Paas Gaya Toh Unhoun Ne Kaha Ke Apne Aaqa Ke Paas Wapas Jao Aur Un Se Poocho Keh Un Aurtoun Ka Kia Haal Hai Jinhoun Ne Apne Hath Kaat Liye The. Be Shak Mera Parwardigar Un Ke Makkroun Se Khoob Waqif Hai.

 

51

Baadshah Ne Aurton Se Poocha Ke Bhala Us Waqt Kia Hua Tha Jab Tum Ne Yousuf A.S. Ko Apni Taraf Maail Karna Chaha. Sab Bol Utheen Ke Haasha-E-Lillah Ham Ne Us Main Koi Burai Maloom Nahi  Ki. Azeez Ki Aurat Ne Kaha Ab Sachi Bat Toh Zahir Ho Hi Gai Hai. Asal Yeh Hai Ke Main Ne Us Ko Apni Taraf Maail Karna Chaha Tha, Aur wo Be Shak Wo Sacha Hai.

 

52

Yousuf A.S. Ne Kaha Ke Main Ne Yeh Bat Is Liye Poochi Hai Ke Aziz Ko Yaqeen Ho Jaye Keh Main Ne Us Ki Peeth Peeche Us Ki Amanat Main Khayanat Nahi Ki Aur Khdua Khayanat Karne Waloun Ke Makkaroun Ko Ru Baraah Nahi Karta.

53

Aur Main Apne Taieen (My Self) Paak Saf Nahi Kehta Kion Ke Nafs-E-Aammara Insaan Ko Burai Hi Sikhata Rehta Hai. Magar Ye Ke Mera Parwardigaar Rehem Kare . Be Shak Mera Parwardigar Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

 

54

Baadshaah Ne Hukum Dia Keh Use Mere Paas Laao Main Usse Apna Masahib-E-Khaas Banaoonga. Phir Jab Un Se Guftugu Ki Toh Kaha Ke Aaj Se Tum Hamare Haan Sahib-E-Manzilat Aur Sahib-E-Aitbaar Ho.

 

55

Yousuf Ne Kaha Mujhe Is Mulk Ke Khazanoun Par Muqarrar Kar Dijiey Kion Ke Main Hifazat Bhi Kar Sakta Hoon Aur Is Kaam Se Waqif Hoon.

 

56

Is Tarha Ham Ne Yousuf A.S. Ko Mulk Misr (Egypt) Main Jaga Di Aur Wo Is Mulk Main Jahan Chahate The Rehte The. Ham Apni Rehmat Jis Par Chahte Hain Karte Hain Aur Naiko Kaaroun Ke Ajar Ko Zaaya Nahi Karte.

 

57

Aur Joh Loug Eemaan Laye Aur Darte Rahe Un Ke Liye Aakhrat Ka Ajar Bohot Behtar Hai.

 

58

Aur Yoususf A.S. Ke Bhai Kinnaan Se Misr (Egypt Main Galla Khareedne Ke Liye Aaye, Toh Yusuf A.S. Ke Paas Gaye Toh Yusuf A.S. Ne Un Ko Pehchaan Lia Aur Wo Un Ko Na Pehchaan Sake.

 

59

Jab Yousuf A.S. Ne Un Ke Liye Un Ka Samaan Taiyaar Kar Dia Toh Kaha Ke Phir Aana Toh Joh Baap Ki Taraf Se Tumhara Aik Aur Bhai Hai Usse Bhi Mere Paas Lete Aana. Kia Tum Nahi Daikhte Ke Main Maap Bhi Poori Poori Deta Hoon Aur Mehemaan Daari Bhi Khoob Karta Hon.

 

60

Aur Agar Tum Usse Mere Paas Na Lao Ge Toh Na Tumhain Mere Haan Se Ghalla Mile Ga Aur Na Tum Mere Paas Hi Aa Sako Ge.

 

61

Unhoun Ne Kaha Ke Ham Us Ke Bare Main Us Ke Walid Se Tazkara Karain Ge Aur Ham Yeh Kaam Kar Ke Rahain Ge.

 

62

Aur Yousuf A.S. Ne Apne Khuddam Se Kaha Ke Inko Sarmaya Yaani Ghalle Ki Qeemat In Ke Shaleetoun Main Rakh Do, Ajab Nahi Ke Jab Yeh Apne Ehl-O-Ayaal Main Jayen Ge Toh Isse Pehchaan Lain Aur Ajab Nahi Ke Phir Yahan Aayen.

 

63

Jab Wo Apne Baap Ke Pas Wapas Gaye Toh Kehne Lage Keh Abba Jab Tak Ham Binyameen Ko Sath Na Le Jayen Hamare Liye Ghalle Ki Bandish Kar Di Gai Hai, Toh Hamare Sath Hamare Bhai Ko Bhaij Dijiye Taa-Ake Ham Phir Ghalla Laayen Aur Ham Us Ke Nigehbaan Hain.

 

64

Yaqoob A.S. Ne Kaha Ke Main Us Ke Bare Main Tumhara Aitbaar Nahi Karta Magar Waisa Hi Jaisa Pehle Us Ke Bhai Ke Bare Main Kia Tha. So Khuda Hi Behtar Nigehban Hai. Aur Wo Sab Se Ziada Rehem Karne Wala Hai.

 

65

Aur Jab Unhoun Ne Apna Asbaab Khola Toh Daikha Ke Un Ka Sarmaya Un Ko Wapas Kar Dia Gaya Hai. Kehne Lage Abba Hamain Aur Kia Chahiye, Daikhiye Ye Hamari Poonji Bhi Hamain Wapas Kar Di Gai Hai. Aur Ab Ham Apne Ehl-O-Ayal Ke Liye Phir Ghalla Layen Ge, Aur Apne Bhai Ki Nigehbaani Karen Ge, Aur Aik Bar-E-Shutter Ziada Layen Ge. Ke Yeh Ghalla Joh Ham Laye Hain Thora Hai.

 

66

Yaqoob A.S. Ne Kaha Jab Tak Tum Khuda Ka Ehed Na Do Ke Us Ko Mere Paas Saheeh-O-Salim Le Ao Ge, Main Usse Har Gizz Tumhare Sath Nahi Bhaijne Ka. Magar Ye Ke Tum Ghair Liye Jao, Yaani Be Bas Ho Jao Toh Majboori Hai, Jab Unhoun Ne Un Se Ehed Karaya Toh Yaqoob A.S. Ne Kaha Ke Joh Qoul-O-Qaraar Ham Kar Rahe Hain Us Ka Khuda Zamin Hai.

 

67

Aur Hidayat Ki Ke Beta Aik Hi Darwaze Se Dakhil Na Hona Balke Juda Juda Darwazoun Se Dakhil Hona. Aur Main Khuda Ki Taqdeer Toh Tum Se Nahi Rok Sakta. Be Shak Hukum Ussi Ka Hai Main Ussi Par Bharosa Rakhta Hoon. Aur Ehl-E-Tawakull Ko Ussi Par Bharosa Rakhna Chahiye.

 

68

Aur Jab Wo Un Un Maqamaat Se Daakhil Hue Jahan Jahan Se Daakhil Hone Ke Liye Baap Ne Un Se Kaha , Toh Wo Tadbeer Khuda Ke Hukum Ko Zara Bhi Taal Nahi Sakti Thi, Haan Wo Yaqoob Ke Dil Ki Khuahish Thi Joh Unhoun Ne Poori Ki Thi. Aur Be Shak Wo Sahib-E-Ilm The Kion Ke Ham Ne Unko Ilm Sikhaya Tha Lekin Aksar Loug Nahi Jante.

 

69

Aur Jab Wo Loug Yousuf A.S. Ke Paas Pohonche Toh Yousuf A.S. Ne Apne Haqeeqi Bhai Ko Apne Paas Jaga Di Aur Kaha Ke Main Tumhara Bhai Hoon Toh Jo Salook Ye Hamare Sath Karte Rahe Hain Us Par Afsos Na Karna.

 

70

Jab Un Ka Asbaab Taiyaar Kar Dia Toh Apne Bhai Ke Shaleete Main Glass Rakh Dia Aur Phir Jab Wo Abaadi Se Bhar Nikal Gaye Toh Aik Pukarne Wale Ne Awaaz Di Ke Qaafle Walo Tum Toh Chor Ho.

 

71

Wo Un Ki Taraf Mutawajoh Ho Kar Kehne Lage Keh Tumhari Kia Cheez Kho Gai Hai.

 

72

Wo Bole Ke Badshah Ke Paani Peene Ka Glass Kho Gaya Hai Aur Jo Shakhs Us Ko Le Aaye Us Ke Liye Aik Baar-E-Shutter (Gift) inaam ,Aur Main Us Ka Zamin Hoon.

 

 

 

 

73

Wo Kehne Lage Keh Khuda Ki Qasam Tum Ko Maloom Hai Ke Ham Is Mulk Main Is Liye Nahi Aaye Ke Kharabi Karain Aur Na Ham Chori Kia Karte Hain.

 

74

Bole Ke Agar Tum Jhoote Nikle, Yaani Chori Sabit Hui Toh Us Ki Saza Kia.

 

75

Unhoun Ne Kaha Ke Is Ki Saza Ye Ke Jis Ke Shaleete Main Wo Dastiyaab Ho Wo Hi Is Ka Badal Qaraar Dia Jaye, Ham Zalimoun Ko Yeh Hi Saza Dia Karte Hain.

 

76

Phir Yousuf A.S. Ne Apne Bhai Ke Shaleete Se Pehle Un Ke Shaleetoun Ko Daikhna Shoroo Kia Phir Apne Bhai Ke Shaleete Main Se Us Ko Nikaal Liya. Is Tarha Ham Ne  Yousuf Ke Liye Tadbeer Ki,  Warna Badshah Ke Qanoon (Law) Ke Mutabiq Wo Mashiyat-E-Khuda Ke Siwa Apne Bhai Ko Le Nahi Sakte The. Ham Jis Ke Chahte Hain Darje Buland Karte Hian.Aur Har Ilm Wale Se Doosra Ilm Wala Barh  Kar Hai.

 

77

Bradraan-E-Yousuf A.S. Ne Kaha Ke Agar us Ne Chori Ki Ho Toh Kuch Ajab Nahi Ke Us Ke Aik Bhai Ne Bhi Pehle Chori Ki Thi, Yousuf Ne Is Baat Ko Apne Dil Main Makhfi Rakha Aur Un Par Zahir Na Hone Dia, Aur Kaha Ke Tum Bare Ba Qumaash Ho. Aur Joh Tum Bayan Karte Ho Khuda Usse Khoob Janta Hai.

 
78

Wo Kehne Lage  Keh Ae Azeez Is Ke Walid (Father) Bohot Boorhe (Old) Hain Aur Is Se Bohot Mohabbat Rakhte Hain Toh Is Ko Chor Dijiye Aur Is Ki Jaga Ham Main Se Kisi Ko Rakh Lijiye .Ham Daikhte Hain Ke Aap Ehsaan Karne Wale Hain.

 

79

Yousuf Ne Kaha Ke Khuda Panah Main Rakhe Ke Jis Shakhs Ke Paas Ham Ne Apni Cheez Paai Hai Us Ke Siwa Kisi Aur Ko Pakar Lain Aisa Karain Toh Ham Bare Be Insaaf Hain.

 

80

Jab Wo us Se Na Umeed Ho Gaye Toh Alag Ho Kar Salah (Exchange Of Opinion) Karne Lage. Sab Se Bare Ne Kaha Kia Tum Nahi Jante Ke Tumhare Walid (Father) Ne Tum Se Khuda Ka Ehed (Promise) Liya Hai, Aur Is Se Pehle Bhi Tum Yousuf Ke Bare Main Qasoor Kar Chuke Ho, Toh Jab Tak Walid Sahib Mujhe Hukukm Na Dain Main Toh Is Jaga Se Hilne Ka Nahi. Ya Khuda Mere Liye Koi Aur Tadbeer Kare. Aur Wo Sab Se Behtar Faisla Karne Wala Hai.

 

81

Tum Sab Walid Sahib Ke Pas Wapas Jaao  Aur Kaho Ke Abba Aap Ke Sahabzade (Son) Ne Wahan Ja Kar Chori Ki. Aur Ham Ne Apni Danast Ke Mutabiq Aap Se Us Ke le aane  Ka Ehed Kia Tha Magar Ham Gaib Ki Batoun Ko Jaan-Ne Aur Yaad Rakhen Wale Toh Nahi The.

 

82

Jis Basti Main Ham Thehre The Wahan Se Yaani Ehl-E-Misr(Egypt)Se Aur Jis Qaafle Main Aaye Hain Us Se Daryaft Kar Lijiye Aur Ham Is Bayaan Main Bilkul Sache Hain.

 

83

Jab Unhoun Ne Ye Baat Yaqoob A.S. Se Aakar Kahi Toh Unhoun Ne Kaha Ke Haqeeqat Youn Nahi Hai Balke Yeh Baat Tum Ne Apne Dil Se Bana Li Hai Toh Sabar Hi Behtar Hai. Ajab Nahi ke Khuda Un Sab Ko Mere Paas Le Aye . Be Shak Wo Daana Aur Hikmat Wala Hai.

 

84

Phir Un Ke Paas Se Chale Gaye  Aur Kehne Lage Keh Haye Afsos Yousuf A.S. Haye Afsos Aur Ranj-O-Alam Main Un Ki Aankhain Safaid Ho Gayee Aur Un Ka Dil Gham Se Bhar Raha Tha.

 

85

Bete Kehne Lage Ke Wallah Agar Ap Yousuf Ko Issi Tarha Yaad Hi Karte Rahen Ge Toh Ya Toh Bemaar Ho Jayen Ge Ya Jaan Hi De Dain Ge.

 

86

Unhoun Ne Kaha Ke Main Toh Apne Gham-O-Andoh Ka Izhaar Khuda Se Karta Hoon. Aur Agar Khuda Ki Taraf Se Wo Batain Janata Hon Joh Tum Nahi Jate.

 

87

Beta Youn Karo Ke Aik Dafa Phir Jaao Aur Yousuf Aur Us Ke Bhai Ko Talash Karo Aur Khuda Ki Rehmat Se Na Umeed Na Ho. Ke Khuda Ki Rehmat Se Be Eemaan Loug Na Umeed Hua Karte Hain.

88

Jab Wo Yousuf A.S Ke Paas Gaye Toh Kehne Lage Ke Azeez Hamain Aur Hamare Ehl-O-Ayaal Ko Bari Takleef Ho Rahi Hai Aur Ham Thora Sa Sarmaya Laye  Hain Aap Hamain us Ke Iwz Poora Ghalla De  Dijiye Aur Khiaraat Kijiye . Ke Khuda Khairaat Karne Waloun Ko Sawab Deta Hai.

 

89

Yousuf A.S. Ne Kaha Tumhain Maloom Hai Ke Jab Tum Nadaani Main Phanse Hue The Toh Tum Ne Yousuf A.S. Aur Us Ke Bahi Ke Sath Kia Kia Tha.

 

90

Wo Bole Kia Tum Hi Yousuf A.S. Ho? Unhoun Ne Kaha Haan Main Hi Yousuf A.S. Hoon. Aur Binyameen Ki Taraf Ishara Kar Ke Kehne Lage Ye Mera Bhai Hai Khuda Ne Ham Par Bara Ehsaan Kia Hai . Joh Shakhs Khuda Se Darta Aur Sabar Karta Hai Toh Khuda Naiko Kaaroun Ka Ajar Zaaya Nahi Karta.

 

91

Wo Bole Khuda Ki Qasam Khuda Ne Tum Ko Ham Par Fazeelat Bakhshi Hai Aur Be Shak Ham Khata Kaar The.

 

92

Yousuf Ne Kaha Ke Aaj Ke Din Se Tum Par Kuch Aitaab-O-Malamat Nahi Hai. Khuda Tum Ko Moaaf Kare. Aur Wo Bohot Rehem Karne Wala Hai.

 

93

Ye Mera Kurrta Le Jao Aur Isse Walid Sahib Ke Moon Par Daal Do. Wo Beena (Daikhne Lagen Ge) Hojayen Ge. Aur Apne Tamaam Ehl-O-Ayaal Ko Mere Paas Le Aao.

94

Aur Jab Qaafla Misr (Egypt) Se Rawana Hua Toh Un Ke Walid Kehne Lage Ke Agar Mujh Ko Ye Na Kaho Ke Boorha (Old) Behek Gaya Hai Toh Mujhe Toh Yousurf Ki Boo (Smell) Aa Rahi  Hai.

 

95

Wo Bole Ke Wallah Ap ussi Qadeem Ghalti Main Mubtila Hain.

 

96

Jab Khushkhabri Dene Wala Aa Pohoncha Toh Kurrta Yaqoob Ke Moon (Face) Par Daal Dia Aur Wo Beena Ho Gaye Aur Betoun Se Kehne Lage Kia Main Ne Tum Se Nahi Kaha Tha Ke Main Khuda Ki Taraf Se Wo Batain Janta Hoon Joh Tum Nahi Jante.

 

97

Baitoun Ne Kaha, Ke Abba Hamare Liye Hamare Gunnah Ki Maghfirat Maangiye. Be Shak Ham Khata Kaar The.

 

98

Unhoun Ne Kaha Ke Main Apne Parwardigaar Se Tumhare Liye Bakhshish Maangoon Ga. Be Shak Wo Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

 

99

Jab Ye Sab Loug Yousuf Ke Pas Pohonche Toh Yousuf Ne Apne Waldain Ko Apne Paas Bithaya Aur Kaha Misr (Egypt) Main Dakhil Ho Jaiye Khuda Ne Chaha Toh Khatir-E-Jama Se Reheiye Ga.

 

100

Aur Apne Waaldain Ko Takht Par Bithaya Aur Sab Yousuf A.S. Ke Aage Sajde Main Girr Pare, Aur Us Waqt Yousuf Ne Kaha Abba Jaan Ye Mere Is Khuab Ki Taabeer Hai Joh Main Ne Pehle Bachpan (Childhood) Main Daikha  Tha. Mere Parwardigaar Ne Isse Sach Kar Dia Aur Us Ne Mujh Par Bohot Se Ehsaan  Kiye Hain, Ke Mujh Ko Jail Khane Se Nikala. Aur us Ke Baad Ke Sahitaan Ne Mujh Main Aur Mere Bhaiyoun Main  Fisaad Daal Dia Tha. Aap Ko Gaaon Se Yahaan Laaya .Be Shak Mera Parwardigar Joh Chahta Hai Tadbeer Se Karta Hai.Wo Dana Aur Hikmat Wala Hai.

 

101

Jab Ye Sab Baatian Ho Lee Toh Yousuf Ne Khuda Se Dua Ki Ke Ae Mere Parwrdigar Tu Ne Mujh Ko Hukumat Se Behra Dia Aur Khuaboun Ki Taabeer Ka Ilm Bakhsha. Ae Aasmaanon Aur Zameen Ke Paida Karne Wale, Tu Hi Dunia Aur Aakhrat Main Mera Kaarsaz Hai. Tu Mujhe Dunia Se Apni Itaa-At Ki Halat Main Uthaiyo Aur Aakhrat Main Apne Naik Bandoun Main Daakhil Kijiyo.

 

102

Ae Paigambar S.A.W. Ye Akhbaar-E-Gaib Main Se Hain Joh Ham Tumahri Taraf Bhaijte Hain Aur Jab Biraadran-E-Yousuf Ne Apni Baat Par Ittifaaq Kai Tha Aur Wo Faraib Kar Rahe The To Tum Un Ke Paas  To Na The.

 

103

Aur Bohot Se Aadmi Go Tum Kitni Hi Khuahish Karo Eemaan Lane Wale Nahi Hain.

 

 

 

104

Aur Tum Un Se Is Khair Khuahi Ka Kuch Sila Bhi Toh Nahi Maangte.Ye Quraan Aur Kuch Nahi Tamaam Aalim Ke Liye Naseehat Hai.

 

105

Aur Aasmaan-O-Zameen Main Bohot Si Nishaniyan Hain Jin Par Ye Guzarte Hain Aur Un Se Airaaz Karte Hain.

 

106

Aur Ye Aksar Khuda Par Eemaan Nahi Rakhte.Magar Us Ke Sath Shirk Karte Hian.

 

107

Kia Ye Is Baat Se Be Khof Hain Ke In Par Khuda Ka Azaab Nazil Ho Kar Un Ko Dhaamp Le, Ya Un Par Na Gahaan Qiamat Aa Jaye Aur Unhain Khabar Bhi Na Ho.

 

108

Keh Do Mera Rasta To Ye Hai, Main Khuda Ki Taraf Bulata Hoon Az-Roo-E-Yaqeen-O-Burhaan Samajh Boojh Kar Main Bhi Lougon Ko Khuda Ki Taraf  Bulata Hoon Aur Mere Pairo Bhi. Aur Khuda Paak  Hai. Aur Main Shirk Karne Waloun Main Se Nahi Hoon.

 

109

Aur Ham Ne Tum Se Pehle Bastiyoun Ke Rehne Waloun Main Se Mard Hi Bhaije The Jin Ki Taraf Ham Wahi Bhaijte The. Kia Un Lougon Ne Mulk Main Sair-O-Saiyaahat Nahi Ki, Ke Daikh Lete Ke Joh Loug Un Se Pehle The Un Ka Anjaam Kia Hua. Aur Muttaqiyoun  Ke Liye Aakhrat Ka Ghar Bohot Acha Hai.Kia Tum Samajhte Nahi?

 

110

Yahan Tak Ke Jab Paigambar Na Umeed Ho Gaye Aur Unhoun Ne Khayaal Kia Ke Apni Nusrat Ke Bare Main Joh Baat Unhoun Ne Kahi Thi Us Main Wo Sache Na Nikle Toh Un Ke Paas Hamari Madad Aa Pohonchi . Phir Jisse Ham Ne Chaha Bacha Dia. Aur Hamara Azaab Utar Kar Gunnehgaar Lougon Se Phira Nahi Karta.

 

111

Un Ke Qisse Main Aqalmandoun Ke Liye Ibrat Hai. Ye Quraan Aisi Baat Nahi Hai Joh Apne Dil Se Bana Li Gai Ho Balke Joh Kitaabain Is Se Pehle Nazil Hui Hain Un Ki Tasdeeq Karne Wala Hai, Aur Har Cheez Ki Tafseel Karne Wala Aur Mominoun Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Hai.

 

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

By admin