93-Soorah-Ad-Duha-Aayaat-11

Shroo allah ke naam se jo bara meherbaan aur  nihayat rehem farmaane waala hai.

1

Aaftaab ki roshni ki qasam

2

Aur raat ki taareeki ki jab chaa jaye

3

Ae Muhammad s.a.w.w tumhare parwardigar ne naa tumko chora aur naa tum se naraz hua

4

Aur aakhrat tumhare liye pehli halat yaani dunia se kahin behtar hai

5

Aur tumhain parwardigar anqareeb wo kuch ata farmaaye ga ke tum khush ho jaow ge

6

Bhala us ne tumhain yateem paa kar jaga nahi di? Beshak di.

7

Aur raste se naa waqif daikha toh seedha rasta dikhaaya

8

Aur tangdast paaya toh ghani kar dia

9

Toh tum bhi yateem par sitam na karna

10

Aur maangne waale ko jhirki naa dena

11

Aur apne parwardigaar ki naimatoun ka bayaan karte rehna.