88-SOORAH-AL-GHASHIYAAH-AAYAAT-26

Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1

Bhala Tumko Dhaamp Lene Wali Yaani Qiamat Ka Haal Maaloom Hua Hai.

2

Us Roz Bohot Se Moonh Wale Zaleel Hounge.

3

Sakht Mehnat Karne Wale Thake Maande.

4

Dehekti Aag Main Dakhil Hounge.

5

Aik Kholte Hue Chashme Ka Un Ko Paani Pilaya Jaaye Ga.

6

Aur Khaar Daar Jhaar Ke Siwa Un Ke Liye Koi Khana Nahi Ho Ga.

7

Joh Na Farbahi Laaye Aur Na Bhook Main Kuch Kaam Aaye.

8

Aur Bohto Se Moonh Wale Is Rozshaadmaan Hounge.

9

Apne Aamal Ki Jaza Se Khush Dil.

10

Behshat Bareen Main.

11

Wahan Kisi Tarha Ki Bakwas Nahi Sunain Ge.

12

Us Main Chashme Beh Rahe Hounge

13

Wahan Takht Honge Oonche Biche Hue.

14

Aur Aabkhore Qareene Se Rakhe Hue.

15

Aur Gaao Takiye, Qataar Ki Qataar Lage Hue.

16

Aur Nafees Masnadain Bichi Hui.

17

Ye Loug Oontoun Ki Taraf Nahi Daikhte Ke Kaise Ajeeb Paida Kiye Gaye Hain.

18

Aur Aasmaan Ki Taraf Ke Kaisa Buland Kia Gaya Hai.

19

Aur Paharoun Ki Taraf Ke Kis Tarha Khare Kiye Gaye Hain.

20

Aur Zameen Ki Taraf Ke Kis Tarha Bichayee Gai Hai.

21

Toh Tum Naseehat Karte Raho, Ke Tum Nasheehat Karne Wale Hi Ho.

22

Tum Un Par Daarogha Nahi Ho.

23

Haan Jis Ne Moonh Pahira Aur Na Maana.

24

Toh Khuda Us Ko Bara Azaab De Ga.

25

Be Shak Un Ko Hamare Pas Lout Kar Aana Hai.

26

Phir Ham Hi Ko Un Se Hisaab Lena Hai.